25-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (02-Sep-2018)

Questions

00:23:45

al salat o khair um min al naom ki hadees pe islam 360 android app mein international numbering ka mas'alah ?

00:28:57

kya qadiyani ek firqa hai ya mazhab, kya qadiyani ahle sunnat ka firqa hai, mazhab, maslak, fiqah aur taqleed mein kya farq hai part 1 ?

01:20:16

mazhab ka lafz , mazhab , maslak , fiqah aur taqleed mein faraq part 2 ?

01:15:52

Haram ki hadood mein kisi bhi masjid mein namaz parhna masjid ul haraam mein namaz parhna shumar hoga ?

01:32:17

: agar wazu ke doran kulli karte waqt masooron se khoon aa jaye to kya wazu toot jaye ga ?

01:40:19

Kya eisa (as) masjid e nabwi mein nabi saw ke sath dafan honge ?

01:49:58

Qeyamat ke din jab faraiz mein kami nikle gi to kya witar, tahiyya tul wazu tahiyya tul masjid aur mannat ke nawafil se faraiz ki kami ko pura kar dia jaye ga ?

02:13:27

Kya masjid mein jate huwe ghar se wazu kar ke jana chahiye, kya wash basin pe wazu karna khilaf e sunnat hai ?

02:16:58

Masjid e haraam ki hadood kahan tak hai jahan namaz parhnay se das hazar namazon ka sawab milay ga, haram ki hadood, aur masjid e haraam ke qareeb hotel mein namaz parhna ?

02:24:12

Kya taneem meqaat hai yani log masjid e ayesha se bar bar aa ke umrah karte hein, kya ek safar mein ek umrah hi ho sakta hai ?

02:58:27

Wazu kar ke juraben pehan li aur phir utaar kar wazu tootnay se pehle dobara pehan li to kya uspe masah ho jaye ga, aur jurabon peh masah ki muddat ?

00:31:05

Agar koi imam masjid apne peechay namaz parhnay se mana kare ke aap mere peechay namaz na parhen to kya karna chahiye ?

00:58:13

Kya abdullah bin mubarak ne ibne masood ki rafa yadain wali hadees se ruju kar liya tha, rafa yadain peh abdullah bin mubarak aur abu hanifa ka munazrah aur imam wakee ke comments ?

00:30:18

Islam 360 mein mishkat ul masabeeh aur musnad e ahmad kab tak aye gi ?

00:31:09

Hadees mein aya hai ke Eisa (as) ko damishq ki masjid ke minaar pe utara jaye ga aur wo seerhi ke waseelay se neechay utren gy iska matlab waseela zaroori hai ?

00:49:42

Masjidon mein haq chaar yaar likha hota hai iska ka matlab hai, aur panj tan paak kehna kaisa, aur kya hazrat Ali (rz) ne hazrat hasan (rz) ko khaleefah namzad kiya tha ?

01:09:57

Agar masjid e haraam hoto kya phir bhi aurat ka ghar mein namaz parhna afzal hai ya masjid mein parhni chahiye ?

01:40:49

Ruku aur sajdon mein kon konsi duaaen maang sakte hein aur tashahud ki masnoon duaaen konsi hein ?

01:42:25

Kya fiqahi masail ki ahadees beyan karna sirf ulma ka kaam hai ya ye kaam aam admi bhi kar sakta hai ?

02:27:24

Office mein kaam karne wale office ki masjid mein namaz parhen ya bahir masjid mein ja kar parhni hogi ?

00:16:45

Dr Iqbal ka shair, bay khatar kood para aatish e namrood mein ishq aqal hai mehway tamasha lab e baam abhi, kya is shair mein ilm aur aqal ki tauheen nehi ?

00:43:59

Agar tamam masaalik apni Ghlatiyon ko theek nehi karte to kya jannat ke haqdar honge ?

00:45:38

Khud ko kaise parkha jaye ke main maslak e haq peh hon ?

00:47:55

Kya zakaat ke paisay imam masjid ko de sakte hein kyu ke uski tankhwa 8, 10 hazaar hoti hai ?

01:14:00

Pagri par masah karna aur kya aurat hijab par masah kar sakti hai ?

01:45:24

Kya sarkari zameen par qabzah kar ke wahan masjid banana jaiz hai kya aisi masjid mein namaz ho jaye gi ?

01:16:44

Qbrastan ko khatam kar ke wahan masjid banana jaiz hai aur qabrastan mein namaz parhna kaisa ?

01:27:42

Qabrsatan mein masjid hoto kya us masjid mein namaz parhna jaiz hai ?

00:55:45

Kuch ulma youtube peh apke khilaf videos upload karte hein reply to engineer muhammad ali mirza likh kar, kya istarha sabko mashoor hone ki ijazat hai ?

01:14:27

73 firqon wali hadees ki roshni mein hanafi maalki shafai aur hambali firqay mein shumar honge ya maslak mein, firqa aur maslak mein kya faraq hai part 1 ?

01:35:19

Agar masjid bananay ki khuwahish hoto kis firqay peh masjid ka naam rakhen ?

00:00:53

Meer dard ka mashoor shair, dard e dil ke wastay paida kiya insan ko warna ataat keliye kuch kam na thay karro beyan ki sharai haisiyat kya hai, shair o shairi ki sharai haisiayat kya hai, aur haqooq ul ibaad maaf honge ya nehi ?

00:17:34

Fateha khalf ul imam, imam ke peechay fateha parhnay ka sahih mas'alah, detail moaqaf ?

00:49:38

Hanafiyon ki masjid mein jumma ka arabi khutba bilkul end peh hota hai agar hum arabi khutbay se pehle masjid mein dakhil ho jayen to kya farishton ke register mein hamara naam likha jaye ga yani sawab milay ga aur jumma ki rakaten kitni hein ?

01:37:28

Masjid e aqsa mein Nabi saw ne tamam ambia (as) ki imamat karwai jabke wahan to itni jagah hi nehi hai itni choti jagah peh 1 lakh ambia kaise aa gaye ?

01:23:07

Kya nabi saw ko murdah kehna kalma kufar hai, wafat un nabi saw ka aqeedah lafz wafaat bolna chahiye ya wisaal, imam ghazali aur yazeed peh lanat ka mas'alah, reply to BOL tv ulma ?

00:38:50

Kya nazool e maseeh (as) ka inkar aur imam mahdi (as) ka inkar kufriya aqeedah hai kya inka inkar kar ke insan dayerah islam se kharij ho jata hai ?

02:09:32

Agar imam masjid jaan boojh kar masjid mein dair se aye to kya imam ka intzar karna zaruri hai ?

02:18:24

Quran o hadees mein masoom ka lafz nehi hai to phir ambia (as) ko masoom kyu kaha jata hai, asmat e ambia (as) ka aqeedah aur ambia (as) ki masoomiyat ka aqeedah ?

00:12:40

Ambia (as) ke darmyan tafzeel aur tazleel ka mas'alah yani konse nabi ki fazeelat kis nabi se zeyada hai, tafzeel bain al rusul aur tafreeq bain al rusul mein faraq ?

00:16:49

Mufti tariq masood ka zubai ali zai peh ilzam ke sehaba ke zamane mein jhoot bola jata tha, tabaeen ke zamane mein jhooti hadeesen ghari gai aur sehaba ke daur mein hazrat Ali (rz) pe lanat hoti rahi, sahih muslim ka muqaddma aur zaeef ahadees ka fitna aur meethi meethi baten karne wale waizeen ?

02:16:08

kya surah al maidah ayat 15 Noor se murad Nabi saw hein, noor o bashar ka mas'alah ?

03:03:43

ghareebon aur maskeenon ko zakaat ke paison se aftari karwa sakte hein ? ali bhai kya apko academy mein aftari karwane keliye paise de sakte hein ?

03:44:21

masjid peh kisi maslak ka naam likhna bidat hai ?

03:48:42

masnoon daarhi kitni honi chahiye masnoon daarhi aur farz daarhi mein kya faraq hai, kya choti daarhi rakhna jaiz hai ?

01:40:24

agar ambia (as) masoom hote hein to quran mein unki ghalatiyan kyu beyan hui hein ? asmat e ambia (as) ka sahi aqeedah kya hai ? kya nabi saw ki har baat wahi hoti hai ?

01:59:58

agar jamaat nikal jaye to usi masjid mein dusri jamaat karwa sakte hein ? mutnafil yani nafil wale ke peechay farz namaz ki niyat ki ja sakti hai ? imam aur muqtadi ki niyat mein farq ? ek farz namaz ko dobara parhna ?

02:08:05

agar farz namaz ke baad ijtemai duaa karna bida hai to aap kyu karwate hein ? kya imam masjid ko duaa karwane keliye keha ja sakta hai ?

00:00:42

kya nabi saw ki qabar Allah ke arsh se bhi afzal hai reply to BOL tv ulma & mufti tariq masood ? kya machli ka pait jisme younus (as) rahe Allah ke arsh se afzal hai ? nabi saw ki shan mein ghaluw aur tauheed ka beyan ?

00:36:15

kya nabi saw ne kabhi kisi sehabi ke peeche namaz parhi hai ? imam ko luqma denen ka tarika ? mozon jurabon aur hijab par masah karna ?

01:26:39

agar english toilet mein pani na ho to tissue paper se istinja kiya ja sakta hai ? jootiyon aur mozon par masah ? jootiyan pehen kar namaz parhna aur jurabon peh masah ki mudat kitni hai ?

01:45:31

kya abdullah bin masood (rz) nabi saw ki wafaat ke baad namaz mein assalam o alanabi parhtay thy ?

01:50:36

islam aur aqal ka taluq ek hai ? Ali (rz) ka qaul hai ke deen aqal par hota to masah paon ke nichay hota kyu ke matti paon ke nichay lagti hai ? kya deen ko aqal peh parkhna sahi hai ?

01:56:26

ahle hadees aur ahle sunnat mein kya farq hai ? agar ahle hadees bhi ahle sunnat hein to apni masjid ke bahir ahle sunnat kyu nehi likhte ?

02:01:04

Ambia (as) masoom hote hein kya koi ghair e nabi bhi masoom ho sakta hai jaise umar (rz) se shaitan darta tha ? kya umar (rz) se kabhi koi ghalati nehi hui ?

02:13:23

ali bhai apke aksar masail ahle hadees wale hein jaise tauheed aur buzurgon ko bura bhala kehna, aap tamam maktaba fikar ke buzrugon ki ghalatiyan nikalte hein lekin ahle hadeeson ke buzurg ki ghalati nehi bataty ?

02:31:39

aap ne to aurat ka pardah itna mushkil kar diya hai ke ek naujawan ko pata hi nehi chal sakta ke aurat kya cheez hai ? kya mard kisi aurat se deen ki taleem hasil kar sakta hai jaise sehaba ayesha (rz) se masail pucha karte thy dr farhat hashmi se ?

02:42:35

haiyya alal khair al amal sabit hai aur matam ka mas'alah ?

02:53:39

kya rafa yadain ke dono tarikay sabit hein ? mufti tariq masood kehte hein ahista ahista rafa yadain mansookh huwa tha ?

02:05:54

kya ek masjid mein ek se zeyada jamaat karwa sakte hein ? ek musallay pe dusri jamaat karwana ?

03:18:39

agar Ambia (as) ki wirasat taqseem nehi hoti to unho ne Allah se apna waris kyu maanga tha ? Ambia (as) ne maali waris maanga tha ya ilmi waris maanga tha ? bagh e fadak ka mas'alah ?

04:03:00

qaza namaz ghar mein parh sakte hein ya masjid mein hi ja ke parhni hogi ?

00:29:00

awam mein mashoor hai jisne ek dafa bhi kalma parha wo jannat mein chala jaye ga kya jannat itni sasti hai ?

01:09:00

agar hajr e aswad ko choomna ghalat hai to mazaron ki chokhat ko bosa dena kaise ghalat ho gya ? pakistan mein bahishti darwaza aur shairullah mein farq ? islam mein tawahmaat ki haisiyat ? sajda tazeemi ka mas'alah aur tauheed ka beyan ? nabi saw ke tabarrukat ?

01:51:47

wazu mein gardan ka masah karna sabit hai aur agar koi bhool kar gardan ka masah kar le to kya gunah hoga ? kya wazu se pehle bismillah parhna zaruri hai ?

01:56:20

agar mohallay mein kisi dusre maslak ki qareebi masjid ho to usay chor kar ddor wali masjid mein jana chahiye ya qareeb wali masjid ka zeyada haq hai ?

02:02:51

agar maghrib ki namaz nikal jaye aur isha ki namaz ki dusri rakat mein masjid mein pohnchen to pehle konsi namaz parhi jaye gi, kya namaz ko tarteeb se parhna zaruri hai ?

02:11:26

aaj kal imam masjid aqamat se pehle hi musallay par baitha hota hai jabke hadees mein ata hai jab tak mujhe aata huwa na dekh lo kharay na huwa karo ? aqamat mein kis waqt khara hona chahiye ?

02:12:11

kya masjid mein rakhi hui kursi (chairs) peh namaz parhna bidat hai kyu ke is se church ki mushabehat hoti hai ?

02:38:16

kya charon imam apas mein nafrat karte thy ? Ali bhai aap har waqt chotay chotay fiqahi masail ke peechay kyu pare rehte hein ?

01:16:25

kya hum bhi sahih bukhari 6265 hadees ke mutabiq namaz ke tashahud mein assalamo alaika alan nabi parh sakte hein jese abdullah bin masood (rz) parhte thy ? kya hamen Nabi saw ke taleem farmaye huwe alfaz tabdeel karne ki ijazat hai ?

01:32:17

ahle sunnat ki hadees ki kitaben kitni hein aur hadees ki kitabon ke naam ? Ali bhai aap mishkat ul masabeeh ko itna zeyada reffer kyu karte hein ?

01:12:29

qabrastan se qabron ko khatam kar ke wahan masjid banana jaiz hai ?

01:20:23

namazon ka time fix hone ke bawajood agar imam masjid late aye to kya karna chahiye ?

01:49:21

kya masjid mein siyasi baten discuss karna jaiz hai ?

01:53:58

mustaamal yani istemal shuda pani ka mas'alah, agar pani ki balti mein hath lag jaye to sara pani napak ho jata hai ? talaab mein ghusal ho sakta hai ? kya ghusl e janabat ko delay kiya ja sakta hai ?

02:22:54

ikhtilaf ummat keliye rehmat hai ? kya ikhtilaf naimat hai ? kya ikhtilafi masail peh guftagu karna ek dusray peh keechar uchalna aur ek dusray ki ghalatiyan nikalna jaiz hai ? kya namaz jaise marzi tarikay peh parhen har tarika sahi hai ? ulma aakhir Ali mirza ko ikhtilafi masail peh baat karne se mana kyu karte hein isme kya raaz hai kya ulma Ali mirza se darte hein ?

01:17:53

kya jannat ka lalach aur dozakh ke dar se Allah ki ibadat karna jaiz hai kyu ke baaz log Moosa (as) aur rabeya basri ke waqeyaat se isko tauheed ke munafi samajhte hein ? maolana masnavi roomi ke jhootay waqeyaat ? hamen qeyamat ke din madina chahiye ya jannat ul firdaus, reply to ilyas qadri ?

02:14:57

makan ki sang e buniyad rakhne keliye quran o sunnat ki roshni mein kya tarika hai, yani khair o barkat keliye quran khuwani karwana kala bakra zibah karna kaisa ? kya surah baqarah ki recording tilawat ghar mein laga sakte hein ? aur masjid e bait ?

00:00:40

kya maolana maududi ki kitab khilafat o malukiyat mein tahreef ho chuki hai ? khilafat o malukiyat ka difaa deoband ke ulma ne kiya, mufti tariq masood ko jawab ?

01:07:46

paon peh zakham hai patti bandhi hai wazu kaise karen, kya zakhmi paon peh masah kiya ja sakta hai ?

01:26:38

ek safar mein kitne umray kiye ja sakte hein kya masjid e ayesha se wapas aa kar umrah kia ja sakta hai ? kya masjid e ayesha meqaat hai ?

01:33:17

agar masjid chat ya tay khana (basement) khali ho to wahan dukanen bana kar kiraye (rent) peh de sakte hein ? aur kya iska kiraya sirf masjid ke akhrajaat puray karne keliye istemal hoga ?

01:48:46

kya Aatta ki shakal mein fitrana de sakte hein kyu ke gaon mein gandum ya jo ko masheeno mein piswa lete hein lekin shehron mein daanon ki bajaye aatta de sakte hei ?

01:59:29

aitikaf ki niyat kya hai ? kya masjid mein likh kar lagana ke yahan hamare maslak ke ilawa kisi aur ko dars dene ki ijazat nehi hai kya ye jaiz hai ?

02:05:38

masjid ul haraam ke qareeb hotel mein masjiden bani hui hein aur inki jamaat hotel ki jamaat ke sath hoti hai kya hotel ki masjid mein namaz parhne ka sawab masjid ul haraam jitna mile ga ?

02:07:43

zakaat aur fitrana gaon ki masjid mein dena lazmi hai ? qurbani ka gosht rishtedaron ko pehle dena chahiye ?

02:13:16

har masjid mein aftar ka time alag alag hai kya pehli azan peh roza aftar kar sakte hein ?

02:15:32

taraweeh ek hi masjid mein hi parhni chahiye ya alag alag masjidon mein bhi parh sakte hein ?

02:31:51

agar umrah mein saee nehi ki sirf tawaf kiya hai aur baad mein masjid e ayesha se ehraam bandh kar umrah mukammal kiya to kya dam wajib ho jaye ga ? kya na baligh bacha peh dam hota hai ?

02:35:04

jab tak imam namaz ke baad apna mooh muqtadiyon ki taraf na phair le masjid se uth kar nehi ja sakte ?

02:47:54

kya jummah ke din masjid mein take laga ke baithna mana hai ?

00:57:21

ghar ki sab se qareeb wali masjid mein jana chahiye aur door ki masjid mein nehi jana chahiye, kya islam mein aisi koi pabandi hai ?

01:01:03

Ali bhai aapne mufti taqi usmani ki tareef ki jo mezan bank ke mutaliq sood ki ghalat fehmi thi wo unho ne hal ki, to kya taqi usmani baqi masail mein bhi theek hein jaise taqleed, namaz aur deoband ke aqaid aur qabron se faiz ka aqeedah ? kya mufti taqi usmani ke sare masail sahi hein ?

01:20:14

moaviah (rz) Nabi saw ke peeche sawari par baithay thay aur bar bar apna pait Nabi saw ke sath mass karte thay taakay dozakh ki aag se bach jayen, kya ye hadees sahi hai ? kya aakhrat mein amaal ke baghair Nabi saw ki nisbat kaam aa sakti hai ?

01:40:32

masjid mein jamaat chor kar akele namaz parhna kaisa ? baaghi aur bidati imam ke peechay namaz ka hukam ?

01:43:12

agar masjid mein jamaat ka time nikal jaye to kya ghar mein namaz parhna afzal hai ya masjid mein ja kar hi parhni hogi ?

00:13:21

kya imam Hasan (rz) ne 120 shadiyan ki thi ? imam Hasan (rz) ko kisne qatal karwaya tha, mufti tariq masood ko jawab ?

01:44:55

masqat mein abazi firqa hai kya unke peeche namaz ho jati hai ?

01:53:20

Allah ki riza marzi aur mashiyat mein kya farq hai ? kya Allah banday se khud gunah karwata hai ya ispe banday ka apna qasoor hai ? hum koi gunah Allah ki marzi se karte hein ya uski ijazat se karte hein, mas'alah taqdeer ka hal ?

02:10:38

kya jummah ke din masjid mein dakhil ho kar do rakat tahiyya tul masjid parhna zaruri hai ? sunnat e moakkida aur ghair e moakida kitni hein aur maghrib se le kar isha tak nawafil parhna ?

02:38:10

Nabi saw ya khulfa rashideen ke daur mein azan masjid mein hoti thi ya dusri azan bazar mein hoti thi, aur kya jummah ki dusri azan Usman (rz) ne shuru karwai thi ? kya masjid mein azan dena haraam hai ? masjid mein rakhe huwe chanda box peh molviyon ke heelay baziyan ?

02:43:55

choti masjid ko gira kar wahan public place bana sakte hein aur us masjid ko shift kar ke kahin aur bari masjid bana sakte hein ?

02:44:23

kya hum hanafiyon ki masjid mein rafa yadain aur oonchi aameen is waja se kehna chor sakte hein ke log hamen wahabi samjhen gy ? kya molvi ke shar se bachne keliye rafa yadain aur Aameen bil jahar chor sakte hein ?

02:46:29

Ali bhai ek taraf aap kehte hein jamat ke sath namaz parhna farz hai aur dusri taraf kehte hein namazen jama ki ja sakti hein, to namazen jama karne keliye akele namaz parhni pare gi kyu ke duniya mein aisi koi masjid nehi jahan imam namazen jama karta ho ? mutnafil yani nafil wale ke peechay farz namaz ki niyat ho jati hai ?

01:37:37

hanafi maslak ke mutabiq sar ka masah 1/3 karna chahiye ? quran mein wazu ke faraiz ?

01:50:38

kya maolana maududi hanafi maslak se thay ? log tafheem ul quran peh aitraz karte hein ke maududi ne jagah jagah peh likha hai "main ye kehta hon, meri ye raaye hai" kya maolana maududi imamon ko ki raaye nehi mante thay ? kya qazi ka tazeer ke tor peh saza dena jaiz hai jaise ek siyasi karkun ne kisi ko thapar mara to pakistan ke chief justice ne usay 30 lakh ka jurmana daal diya kya ye jaiz hai ?

02:40:00

aurat public place peh mardon ke darmiyan namaz parh sakti hai ? aurat ki sab se afazal namaz ghar mein hai ya masjid mein ? aurten kaise namazen jama kar sakti hein ?

02:27:56

aqeeqah wale din bachay ke sar se baal utarwaye jate hein kya iske wazan ke barabar chandi ke paise masjid mein diye ja sakte hein ? kya sadqa ke paise se quran khareed kar masjid mein rakhwa sakte hein ?

02:41:14

maolana masnawi roomi ki kitab quran ki tarha hai ? tawaf ke doran wahabiyon ko gaaliyan dena sawab ka kaam hai ? awais qarni ka daant tornay wala waqeya ? mufti ahmad yaar naeemi ki kitab jaa al haq mein Nabi saw ki gustakhi ? noor ud din zangi ka waqeya ?

03:11:42

poday (plants) darakht lagane ki fazeelat aaj ke mahol mein phailti hui pollution ki waja kya hai ? kisi ki zameen par na haq qabza karna, najaiz jagah par masjid banana aur masjid ki bijli chori karna ?

03:18:08

hanafiyon ki masjid mein majburan double aqamat kehni parti hai kya dugni aqamat kehne ka sawab mile ga ?

03:40:10

kya aise ulma se deeni masail mein istifada kiya ja sakta hai jo ghareeb se krore pati ban gaye hon jabke zahiri tor peh unka koi karobar bhi na ho ?

03:52:17

murda bacha paida ho ya chotay bachay ki namaz janazah aur ghusal kafan aur tadfeen ka mas'alah ?

04:12:56

rukhsati se pehle ghair e madkhula ko di gai teen talaq aur ruju ka mas'alah ? kya SMS aur khat ke zariye talaq ho jati hai ?

01:44:40

jummah ki namaz keliye jo awwal waqt mein aye usay oont ki qurbani ka sawab milta hai aur isi tarha end peh anda sadqa karne ka sawab hai uske baad farishte register band kar dete hein jabke quran mein aya hai jab jummah ki azan kahi jaye to masjid ki taraf doro aur karobar chor do, wazahat farma dein ?

00:57:05

agar imam bukhari ne ahle bait ke naamon ke sath aleh salam likha hai to hum iske paband kyu hein kyu ke Nabi saw ne to unke naamon ke sath aleh salam nehi lagaya ? kya razi Allah anho aur aleh salam kisi ko bhi keh sakte hein ? deoband ki masjidon ke naam mein ghausiya masjid kyu nehi likha hota kya deobandi shaikh abdul qadir jilani ko nehi maante ?

01:32:46

agar maut ka waqt muqarrar hai jo tabdeel nehi ho sakta to umar mein barkat ki duaa kyu ki jati hai ? mas'alah taqdeer ka hal ? kya aazmaishon ka aana taqdeer mein likha hota hai ?

01:27:07

talaq dete waqt gawahon ki mojoodgi zaruri hai ya khat aur text massage ke zariye bhi talaq di ja sakti hai ?

02:01:46

ek behen ka sawal hai ke mera khawind munkareen e hadees ho gya hai wo 5 waqt ki namaz aur rozay ki farziyat ko nehi manta to kya mera nikah toot chuka hai aur kya mujhe tajdeed e nikah karne ki zarurat hai ? agar miyan biwi mein se ek apna maslak tabdeel kar le to uske liye kya hukam hai kya nikah batil ho jata hai ? agar koi ghair muslim jora islam qabool kar le to unhe tajdeed e nikah karne ki zarurat hai ?

00:00:32

gustakh e Rasool Aasia maseeh ky hawale se suprime court ka faisla ?

01:28:23

ishraq ki namaz parhne keliye fajar ki namaz jamat ke sath parhna zaruri hai ? jiski fajar ki sunnaten reh jayen kya wo talu e aftab tak masjid mein baith rahe ya ghar ja kar bhi sunnaten parh sakta hai ?

01:42:17

kya office ki masjid mein do dafa jummah ki namaz karwana sahi hai aur ikhtilaf ki waja se ek masjid mein do dafa jummah ki namaz karwana kaisa ?

01:50:01

agar mard masjid mein jamat ke sath namaz parh kar aye to kya apne biwi bachon ko ghar mein jamat karwa ke namaz parha sakta hai ? mutafal ke peeche yani nafil ke peeche farz namaz ki niyat ki ja sakti hai ? imam ke peeche bachon aur aurton ki saff konsi hoti hai ? agar miyan biwi jamat karwa rahe hein to aurat pichli saff mein khari hogi ya imam ke sath ?

01:48:10

masjid e Nabwi ke 3 mehrab konse hein ?

00:00:00

JURABON (Socks) peh MASAH kernay ki SUNNAT aur imam abu hanifa ka ruju Reply to Hanafi ULMA ? detail clip , pagri aur hijab par masah kiya ja sakta hai ? kya Nabi saw ne kisi sehabi ke peechay namaz parhi hai ?

00:21:51

Kia Imam-e-KABAH bhi Muqallid & HAMBALI hain ? kabah mein 4 musallay kyu thay aur taqleed ka radd, detail clip reply to mufti tariq masood ? kya hazrat Eisa (as) duniya mein aa kar fiqah hanafi peh amal karen gey ? hanafi aalim ibne aabdeen shami ki Quran ki shadeed gustakhi aur ghulam rasool saeedi barelvi ke comments ? harmain mein 20 taraweeh kyu hoti hai aur kya 20 taraweeh pe ijma hai ?

01:06:30

ghair muslims aur hindu ke tehwar HOLI ya Dewali wish karna ya christmas ki mubarak baad dena jaiz hai ? ghair muslim ke sath ek bartan mein khana kha sakte hein ? mazaron aur darbaron peh Allah ke naam ki niyaz ka khana khana halal hai ? kya tie, pant coat, pent shirt, galay mein sleeve latkana, sindoor lagana, hath mein raakhi bandhna ya sikhon wala kara pehnna kafiron ki mushabehat hai ?

01:20:24

kya najaiz jagah par bani hui masjid ya madrasay ko girana mismar karna jaiz hai ?

01:36:58

kya Yousuf (as) ko unke maa baap aur bhaiyon ne sajda kiya tha, kya us waqt sajda tazeemi haraam nehi tha ? kya sajda tazeemi ki hurmat quran se sabit hai ? qabron ke mutaliq ahmad raza barelvi ki taleemat kya hein aur kya ahmad raza barelvi ki masjid mein farz namaz ke baad buland awaz se kalma parha jata hai ?

03:16:12

kya aurten swimming pool mein naha sakti hein jahan mardon ki mixed gatherings na ho ? aur aaj ke daur mein aurat masjid mein aitikaf kar sakti hai ?

02:21:37

saudia mein ulma ko jummah ka khutba tahreeri shakal mein diya jata hai phir sare imam masjid wohi likhi hui taqreer beyan karte hein aur hukmaran ko defend karte hein kya ye jaiz hai ? jummah ke khutbay ka ahel kon hai ?

02:47:21

masjid mein aksar namazi mobile band karna bhool jate hein isliye imam masjid ne saza rakhi hai ke jis namazi ka mobile namaz ke doran baje ga usko jurmana hoga kya ye jaiz hai ? bijli ka bill jama na karwane peh jurmana aur traffic signal torne pe jurmana ?

03:02:57

harmain mein ghair muslim ka dakhila mana hai kya aam masjid mein bhi ghair muslim dakhil nehi ho sakta ?

03:18:17

masjid e Quba mein rozana 2 nafal parhnay se har dafa hajj o umrah ka sawab mile ga ?

01:31:49

kya kisi dusray maslak ki mayyat ka janazah parhnay se nikah toot jata hai aur agar ghalati se parh liya to kya tajdeed e nikah karna hoga ?

02:25:43

awam ki gumrahi ki asal waja kya hai ? kya barelviyon ke peechay namaz nehi hoti reply to mufti tariq masood sab ?

02:23:02

agar masjid mein jamat nikal jaye to kya ghar mein namaz parhi ja sakti hai kya ghar mein namaz ho jati hai ?

02:17:39

zameen suraj ke gird ghoomti hai ya suraj zameen ke gird ghoomta hai ? kya zameen sakin hai ? bari umar ki rizaat ka mas'alah aur ulma e arab ka fatwa ?

02:07:09

pakistan mein masjiden zeyada honi chahiyen ya school aur hospital zeyada hone chahiyen ? school mein tarbiyat keliye kaisi taleem honi chahiye ?

01:44:39

kya Allah ne kuch jaga Hazrat Umar (rz) ke mashwaray se quran nazil kiya tha ?

01:05:52

al mashoor data Ali hajweri ki kitab kashaf al mahjoob mein imam abu hanifa par jhoota aur gustakhana khuwab mansoob ke abu hanifa Nabi saw ki qabar se haddiyan jama kar rahe hein (nauzubillah) ? kya Nabi saw ke jisam mubarak par matti nehi lagti thi ?

01:54:59

kya koi aurat Dr. Farhat hashmi ki tarha lecture record kar ke youtube peh upload kar sakti hai kyu ke Ayesha (rz) bhi tabaeen ko dars deti thin aur masail batati thin ? Allah ne kisi aurat ko Nabi kyu nehi banaya koi aurat Nabi kyu nehi hai ?

01:04:15

aap kehte hein imam masjid ka tankhuwah lena haraam hai aur dusri taraf kehte hein imam masjid ki tankhuwah hakumat ko deni chahiye, kya ye khula tazad nehi ?

01:38:32

surah muzammil mein aya hai Quran ko thehar thehar kar parho lekin hanafiyon ki masjidon mein taraweeh bohat tezi se parhtay hein kya ye Quran ki toheen nehi hai ? fiqah hanafi ke buzurg ki Quran ki shadeed gustakhi aur Ghulam Rasool saeedi barelvi ke comments ?

01:48:23

kya masjid ke bahir namaziyon se jootiyan rakhne ke paise lena jaiz hai ?

02:22:23

agar paon par zakham ho to wazu ki bajaye sirf masah kiya ja sakta hai ya paon dhona zaruri hai ? agar fajar ke waqt ehtlaam ho jaye to tayammum kar ke namaz parhi ja sakti hai agar pani na ho to ?

00:20:19

HELLO Bolnay peh ULMA ka DHOKA ? ISLAMIC Terminologies ka USE ? kya masjid keliye mosque ka lafz bolna sahi hai ? samad lafz ka matlab bay niyaz hai chattan ? kya Rafa yadain is liye hota tha ke munafiqeen baghlon mein but rakh ke aate thay ?

00:40:00

dajjal ko maseeh kyu kaha jata hai jaise Eisa (as) ko maseeh kaha jata hai ?

01:56:23

NAMAZI ka SUTRAH ? NAMAZI kay aagay say GUZERNAY kay Masail ? kya masjid mein sunnaten aur nawafil parh sakte hein ? maghrib se pehle 2 rakat parhna sunnat hai ?

02:19:33

NAMAZI ka SUTRAH ??? NAMAZI kay aagay say GUZERNAY kay Masail part 2 ?

02:54:53

shaaz lafz ka matlab kya hai jaise Abdullah bin Masood (rz) ke mutaliq kaha jata hai inka qaul shaaz hai ?

01:17:48

hum barelviyon ki masjid namaz kaise parhen wahan to ajeeb harkaten aur bidaten hoti hein to kya unki masjid mein namaz parhna chor dein ? kya dawat o tableegh karna puri ummat ki zimadari hai ?

02:28:54

masajid ke minaron lakhon rupay kharch karna kya ye fazool kharchi hai ? oonchay oonchay minaar banana aur masjidon mein araish karna jaiz hai ?

00:34:00

kya tariq jameel ke aqaid al mohannad ala al mofannad wale hein reply to mufti tariq masood ? hanafiyon ki taraf se muhammad bin abdul wahab par najdi hone ka jhoota ilzam ? kya barelvi deobandi ek dusray ko musalman mante hein ? jo imam ki bait ke baghair mara wo jailiyat ki maut mara is hadees ka sahi mafhoom kya hai ?

18:05:52

mufti tariq masood ka kitab o sunnat ke manne walon ko taana ke batao kis hadees mein likha hai aurten ahista awaz mein talbiya kahen gi aur aurat ramal nehi karen gi ? aur ijma ka munkir kaha hai ? ijma ki hujjiyat aur ijtehad ? khana kabah mein 4 musallay aur char imamon ki taqleed pe shah wali ullah ke comments ?

09:46:52

kya Abdullah bin masood (rz) Nabi saw ki wafat ke baad tashahud mein assalam o alannabi parhte thay ?

02:14:18

kapron aur jisam se kutta tuch ho jaye to wazu toot jata hai aur kapray napaak ho jate hein ? fiqah hanafi mein kutta utha kar namaz parhnay ka mas'alah ?

02:26:10

Ali bhai aap ulma ki baton ka jawab diye baghair apni dawat e haq ko jari rakhen in sha Allah puri ummat jhoom jhoom kar kahe gi " Na main wahabi na main babi, main hon Muslim ilmi kitabi" ? kya tamam ikhtilafi masail Ali bhai ne aa kar highlight kiye hein ya ye sab pehle se mojood thay ?

03:08:16

Ali bhai aapki video "Qadiyaniyon se Lain Dain" par tamam Ulama ki taraf se shadeed Radd e amal aya hai lehaza please apne moaqif par Nazar saani farmayen taakay ummat ko qadiyani fitnay ki shiddat ka ba khubi andaza ho sake ? Qadiyani Murtad aur wajib ul Qatal hein ? kya Ali Mirza imam masjid rakhne ke bhi qabil nehi hai ?

02:30:34

Ali bhai aapki videos ki categories kon konsi hein, Quranic Lectures, Mas'alah numbers ya ilmi majlis ?

02:05:59

Qur'an mein 2 Farishton Harut aur Marut ka zikr aur unkay mutaliq public mein mashhoor gustakhiyon walay waqiyat ki haqeeqat?

01:22:55

Coronavirus se Bachnay kay liyay agar Mooh (Chehre) par Mask Pehan kar Namaz Parhi jaye to Kahan tak durust Hogi?

01:01:00

Kia koi doctor protective mask pahnany ke liye darhi mundwa sakta hai?

01:17:54

Coronavirus se marny walo ke Ghusl, Tajheez-o-Takfeen, Namaz-e-Janaza aur Tadfeen ka sha'rai masla kiya hai?

01:46:02

Ramadan Kareem Say Related Ali Bhai Kay Detailed Lectures Ke Mas'alah Numbers?

01:52:44

Ramzan k fazail aur ahkamo masail k hawalay se jo lecture hain woh bta den aur number bhi bta den.

01:30:29

(female)BIN DUPATTE KE WUZU KARNA, HIJAB PAR MASA, ZIKR KARNA, QURAN PADNA{BEST DUA OF YONUS(AS)}.

01:24:15

Gumshuda cheezon ka Masjid me Ailan krna kaisa hai?

02:27:51

Kya Masjid ko Guzar Gah (Guzarnay ka rasta) banana jaiz hai?

02:25:51

Qasar namaz ka sahi masla?

02:39:16

Pakistan ke Deeni Masalik Book ka review??

01:52:44

Ramzan k fazail aur ahkamo masail k hawalay se jo lecture hain woh bta den aur number bhi bta den.

02:21:51

Kya Mushtzani (Masturbation) se Roza toot jata hai??

01:23:19

Kya Ahle Sunnat ke yhan Mashajarate Sahaba (Yani Sahaba ke beech ke Ikhtelaf) par Guftagu karna Haram hai?? Kya Mashajarate Sahaba par baat karne wala Shakhs Rafzi ho

01:26:35

Shikar [Hunting] Karne Ka Sahi Masla kya hai?

00:36:06

Masjid Aur Imam Bargah me kya Faraq hai?

02:24:32

Masjid mein Shirkiya Naat aur Mankabt parhna kaisa hai?

00:00:43

Kya nai masjid ka naam baitullah rakha jaa sakta hai? (Nai Masjid k liye Ali bhai ki kuch bahtreen advice)?

00:13:50

Kya hanafi (Barelvi, Deobandi) masajid mein fasaad aur tano tishni say bachnay ki khatir rafa yadain tarak kya jaa sakta hai?

00:39:28

Face app jismein insan ki umar barha k dikhai jaati hai iski shrai haisiyat kya hai? (Ali bhai ka clean shaved ko darhi mein khud ko dekhnay ka mashwara).

01:38:20

Ali bhai aksar lecture k agaz mein jo khutba parhtay hain woh mishkatul masabeh k foot note mein zaif hai. Iske baray mein bta den.

01:49:36

Multan k ek mashoor sufi buzurf jo khud ko silsila idreesia se btatay hain onke mureeden ajeeb o ghareeb daway kertay hain. Onke zeray ahtamam Pakistan k mukhtalif shahroo mein mahfile zikar bhi hoti hai. Inn sheikh sahab se mtaliq logo ko educate karain?

00:49:10

Ali bhai aap ne PAkistan ke baray baray shehron mein mazeed academies kyu nehi banai hein aur na hi koi masjid banai hai, sirf ek hi academy par iktifa kyu kar liya hai ?

02:30:34

Ali bhai aapki videos ki categories kon konsi hein, Quranic Lectures, Mas'alah numbers ya ilmi majlis ?

01:48:49

App kabhi kabhar apni video mein Alaihissalam, Alaihimassalam aur kabhi Alahimussalam kahtay hain. In mein se sahi lafz bta den?

00:19:15

hussain a.s. aur yazeed k maslay k baray mein qayamat mein poocha hi nahi jaye ga to is par behes mein ulajhne ka kya faida hai? is par sukoot ikhtiyar karna chahiye.

00:49:31

ahle sunnat k han ye mashhoor hai k yakum(1st) muharram ul haram ko hazrat umar r.a. ki shahadat hui. aap ne muharram ul haram k introduction mein iska koi zikr kyun nahi kia?

01:40:00

ahle sunnat ki janib se haq chaar yaar ka nara lagaya jata hai. jabke doosri jabi ahle tashayyu israr karte hain k panj tan paak ka nara lagaya jaey. aik aam musalman kis taraf jaey aur kiski sunay? aur makkah mein aik shakhs panj tan paak k nara laganay ko kafir kehta hai jabke usko haq chaar yaar se koi masla nahi. iski kya daleel hai?

02:00:14

Spain mein ek imam masjid logo k rush ki wajah se 2 khutbay aur 2 jamaten karwata hai, kya yeah durust hai? Critical Question on Homosexuality:

01:14:56

Mein Germany main rahta hun yahan log faaltu purana saaman maslan maiz kursi ghar ke bahar phenk dete hain mein uski marammat karwa ke farokht kar deta hu kya mera ye business halal hai?

01:59:15

Hamaray han zyada baarishen rukwane kay liye masajid se azaanein dilwayi jaati hain kya ye amal sunnat se saabit hai?

02:06:39

Agar Ali Bhai shia ki masajid mein hath khol kar namaz perh sakty hein to sunni masajid mein zair e naaf hath bandh kar namaz kiyun nahin parhtay?

01:29:07

Ali bhai aik bndy ka sawal hai kuch din pehly namaz e fajar k bad masjid sy wapsi py mujy aik note mila jo 200-dirham ka tha in peson ka kya krun masjid main daal dunn, rakh loon etc kiyun keh maalik ko dhondna takriban na mumkin hai?

02:57:21

Kia Mard ya Aurat napaaki ki halat mein durood shareef parh sakte hain maslan halat e janabat ya auraton ke makhsoos ayyam mein aur yeh bhi bata dein ki kya namaz ki tarah durood shareef parhne ke liye bhi ba wudhu hona parega ?

00:09:08

KIA KOI MUSALMAN HUKUMAT APNI MUSALMAN RIAYA KAY TAXES KA PAISA ISTAMAL KARKE GHAIR MUSLIMS KI IBADATGAHEIN MASLAN GIRJA, GURUDWARA YA MANDIR WAGHAIRA BANWA SAKTI HAI?

01:02:16

KIA SAR KE BAALON KO MANAGE KARNAY KAY LIYE GEL KA ISTAMAAL JAIZ HAI AUR AISI HALAT MEIN WUZU KA KIA BANEGA KYONKI SAR KA MASAH BHI ZAROORI HAI?

01:24:11

AAP NE FARZ NAMAZ KE BAAD AUR SUBAH-SHAAM KE AZKAR KE BLUE AUR GREEN CARD KO SUNNAT AZKAR KA NAAM DIYA HAI HALANKEH ISS KAY LIYE AAPKO MASNOON AZKAR LAFZ ISTAMAAL KARNA CHAHIYE?

01:18:16

Aitakaf ki halat main masjid ki kis kis jaga nahi ja saktay?

01:51:00

Saudia Arab main mashhoor Wadi-e-Jinn hai?? Is ski kya haqeeqat hai.

02:18:05

Shia masjid main deobandi molvi ki namaz ki imamat kese.

01:54:30

Pakistani Dramas aur in main Hinduwana Rasumat or but بت waghaira ka istaimal gair Islami hain phr kyn promote kiya ja rha hai?

01:41:28

Haal hi mein showbiz ki aik mash-hoor shaksiyat Hamza Ali Abbasi ne dramo aur filmon ki dunya ko hamesha ke liye khair aabad keh kar ALLAH ka raasta chun liya hai ab Ali bhai Hamza bhai ke liye kya suggest karengey?

02:15:03

Ali bhai nay aik video main virasat kay mas’alay mein virasat ko aisey takseem kiya tha jo sirf teen larkiyan aur aik biwi chor kar mara tha uss main Ali bhai nay ghalati say keh diya keh baitiyon ka 2/3 hissa baaqi bachnay walay maal se hoga jab keh Quran e Hakeem mein baaqi ki jagah mutlakan ka zikr aaya hai?

02:20:30

Kya kisi ghair muslim mulk mein rahne wala musalman shehri kya us ghair muslim mulk ki fouj mein shamil ho sakta hai Maslan European countries ya phir India aur USA waghairah?

02:23:32

Ghamidi sahab kay nazdeek Nafaz e Shariat kay liay kisi musalman par zabardasti nhi kar saktay maslan aurat say parda karwana, Mard ka khatna karana etc. Aap kay nazdeek nafaz e shariat ka kia mutalba hai?

01:34:59

Ali bhai say guzarish hai ke Quran Class rozana record karwayi jaaye ta-keh Qur’an Majeed jald say jald complete ho jaaye aur hamari jaan films aur dramas se bhi bachi rahey kyonki Ali bhai ke 10-10 hrs ke lectures bhi hum baghair thakaan aur boriyat ke dekhtey hain?

01:27:22

Jab Koi Gair Muslim Islam Mein Daakhil Honay Lagay To Ussay Kia Kuch Karna Hoga Maslan Kalma Parhna, Namaz Parhna, Ghusal Karna, Tajdeed e Nikah Karna Waghairah Waghairah Aur Phir Islam Kay Baad Uss New Muslim Ko Kia Kia Step Uthanay Hongay Meharbani Karkay Iska Detailed Jawab Dein Taaki Hum Muslim Bhi New Muslims Ki Rahnumai Kar Sakein?

02:02:33

Qur'an aur Hadees Kay Mutabiq Humein Sirf Teen Tarah Ki Makhlooqat Ka Pata Chalta Hai Insaan, Faraishtay aur Jinnat Kia In Kay Alawa Bhi Aur Makhlooqat Hain Maslan Aliens Waghairah Agar Haan To Un Ki Daleel Kia Hai?

02:48:45

Firqah-wariyat Ki Wajah Say Ummat-e-Muslimah Mein Barbaadi aur Zawaal Aa Raha Hai Toh Iskay Urooj Aur Behtari Kay Liye Ali Bhai Kia Mashwara Dein Gey?

03:06:26

Government Aajkal Islamiyat Subject Kay Curriculum Mein Reformation Kar Rahi Hai Par Doosray Subjects Maslan English Ya Urdu Mein Kai Ghair Islami Batein aur Aqaid Maujood Hain To Kia Aap Ko Nahin Lagta Keh Islamiyat Ke Curriculum Mein Reformation Laanay Se Kuch Nahi Hoga Jab Tak Complete Education System Mein Reformation Na Laya Jaaye?

01:26:29

Aap ulama kay baray main ye kehte hai kay woh Quran direct phrne se roktay hain?? Jab kay Madras aur Masajid bhari pari hai jin main Quran ki taleem de jati hai; Iss kay baray main wazahat farma dein?

01:37:23

Ali bhai ne apnay naziriyat bari chalaki se logon mein transfer kar diyay hain tau plz khul kr maidan mein ayein aur apnay firqay ka naam announce kar dein aur Masajid bana'ne ka bhi silsela shuro krdein?

02:23:04

Aik aur mashoor waqia sunte a rhe hain k abo bakar ki maiyat per unke liya rasool allah swa kay hujre ka darwaza khud khula?

02:46:34

Fiqah Hanfi ka mashoor or maroof masla hai keh pehle tashahud main agar bhool kar darood parh lein tau sajdah e sahw krega?

03:01:47

Maulana Room nay masnavi Shareef mein likha hai Musa as hawalay say jo gosht wala waqiya likha hai woh agar kisi hadees ki kitab mein hai tu plz bata dein?

03:11:28

Fiqah Hanfi ki imam e masjid ki 2 shart kay baray main wazahat krdein?

04:27:17

Kayee Buzurgon kay baray main mashoor hai keh woh jab namaz phrhate the tu unke peeche namaz phrnay walay sab hafiz ho jatay thay aisay buzrug aaj kal kaha hain?

04:48:21

Kia masjid mein dosri Jamat krwana gunnah hai?

01:10:52

Qunoot-e- witar ki masnoon dua aur iska mukamal reference?

01:38:52

Routine long route driver k liye namaz qasar aur namazain jama karne ka masala?

03:08:18

Khwateen ka mukhtalif mehkamon mein kaam karna maslan Education, Medical, Defence ya banking departments me jobs karna to iska shariat mein kia hukm hai?

00:56:03

SIR k baal na hone ki waja se wig lagana aur wig laga k ghussal karna aur wudu kartay waqt artificial (masnooye) daant k sath kiya wudu ho jata hai?

01:51:01

Istinja Ka Sahih Tareeqah? Tissue Paper Ka Istamaal? Peshab Kay Qatron Ka Mas'alah?

01:28:48

Agar apni haq halal ki kamai say masjid ta'meer karwana chahein tau kis Firqay ki Masjid bnaein aur uss Masjid ka Imam kis Firqay ka rakhein?

00:52:21

Online Qurbani aur uss sey mutaliq Fiqahi Masa'il? Non-Muslim Countries mein Qurbani?

01:08:36

Ulma say mutaliq 2 Mashhoor Ahadith Ki Sehat Par Behas? Ulma ambiya (a.s) kay misal? Ulma kay qalam ki siyahi shaheed kay khoon say afzal?

01:09:57

Ambiya علیھم السلام ki Ismat ka Aqeedah? Ambiya a.s. ki Ijtehadi Khataein aur Gunaahon Se Masoomiyat?

00:00:40

Ibn e Arabi, Javaid Ahmad Ghamidi, aur Qadiyani ka Mas'alah? A Critical Analysis By Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai.

01:04:25

Agar Imam say muqtadi naraz hon aur wo zabardasti Imam bana ho tau kia uss Imam kay peechay Namaz darust ho gi? Imam Masjid Ke Liye 4 Sharait?

Icon this is notification panel