47-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (27-Jan-2019)

Questions

00:58:13

Kya abdullah bin mubarak ne ibne masood ki rafa yadain wali hadees se ruju kar liya tha, rafa yadain peh abdullah bin mubarak aur abu hanifa ka munazrah aur imam wakee ke comments ?

00:45:08

baaz log ali bhai ki mohabbat mein ulma ko gaaliyan dete hein kya iski zimadari ali mirza peh aati hai ? abdullah bin saba ne hazrat Ali (rz) keliye aluhiyat claim ki thi ?

01:14:04

hadees mein hai ke abdullah bin abbas (rz) kehte qareeb hai aasman se pathar barsen main tumhen nabi saw ki hadees sunata hu aur tum kehte ho abu bakr aur umar (rz) ye khete hein, sawal ye hai ke hajj e tamatto peh pabnadi to umar (rz) ne lagai thi to ibne abbas ne abu bakr (rz) ka naam kyu liya ? kya kuch sehaba ne lashkar e usama (rz) bhejne peh aitraz kia tha ?

01:45:31

kya abdullah bin masood (rz) nabi saw ki wafaat ke baad namaz mein assalam o alanabi parhtay thy ?

02:00:09

kisi shakhs ne abdullah bin umar (rz) se pucha witr sunnat hai farz hai ya wajib hai to unho ne jawab dia Nabi saw parhtay thy isliye hum bhi parhtay hein, kya is hadees ko samne rakhte huwe hamen fiqahi behson mein nehi parna chahiye ?

02:20:45

kya imam wakee rafa yadain nehi karte thy ? kya imam abu hanifa ke shagird abdullah bin mubarak aur ataa bin abi rabah ne apne ustad imam abu hanifa ko chor dia tha ?

03:24:35

abdullah bin mubarak ka qaul hai ke moaviah (rz) ke ghoray ke paon ko jo khak lagi ho us khak ke zarray ke barabar bhi koi nehi pohnch sakta ?

01:03:25

jaise quran hamare liye hai wese hi nabi saw keliye hai yani kya nabi saw bhi shariyat ke paband hein ? muhammad bin abdullah iman laye muhammad Rasool Allah saw par ?

01:16:25

kya hum bhi sahih bukhari 6265 hadees ke mutabiq namaz ke tashahud mein assalamo alaika alan nabi parh sakte hein jese abdullah bin masood (rz) parhte thy ? kya hamen Nabi saw ke taleem farmaye huwe alfaz tabdeel karne ki ijazat hai ?

02:54:07

Abdullah bin umar (rz) chotay bachon ke galay mein taweez latkate thay aur baray bachon ko duaaen yaad karwate thay ?

02:06:44

Abdullah bin umar (rz) ka qaul ke jisne Nabi saw ki namaz dekhni hai wo Abdullah bin zubair (rz) ki namaz dekh le ?

02:37:06

hujjaj bin yousuf ne Abdullah bin zubair (rz) ko kyu shaheed kiya tha ?

02:56:52

Abdullah bin Abbas (rz) jang e jamal aur jang e saffeen mein kiske sath thay moaviah ke sath ya maola Ali (as) ke sath ? kya mushajrat e sehaba wali hadeesen beyan karna haraam hai ?

02:59:15

Abdullah bin Zubair (rz) puri zindagi Aal e Umayyah ke khilaf thay lekin phir bhi shia unko pasand kyu nehi karte ?

03:06:56

Abdullah bin Umar (rz) ne Hazrat Ali (rz) ki bait nehi ki aur dusri taraf wo yazeed ki bait tornay ko ghalat samjhte thay ? Abdullah bin Umar (rz) aur hazrat Hussain (rz) ki natures mein faraq ? hazrat Hussain (as) ko jannati naujawano ke sardar ka title kis waja se mila tha ?

02:54:53

shaaz lafz ka matlab kya hai jaise Abdullah bin Masood (rz) ke mutaliq kaha jata hai inka qaul shaaz hai ?

01:01:01

; Ali bhai aap ne Tariq jameel ke hath choomay aur unki tazeem ki lehaza aap taubah karen kyu ke bidati ki tazeem karne se mana kiya gya hai ? hath choomna aur do hath se musafah karna ? Tariq jameel se mulaqaat par ulma ki sazish aur propaganda ? kya Abdullah bin umar (rz) ne bidati ke salam ka jawab nehi diya tha ?

09:46:52

kya Abdullah bin masood (rz) Nabi saw ki wafat ke baad tashahud mein assalam o alannabi parhte thay ?

02:20:19

Imam Ibn Al Jawzi ki kitab Yazeed bin Moaviah sey mutaliq ka PDF aur Imam Abdullah bin Muhammad bin Abdul Wahab ki Book Mukhtasar Seerat ul Rasool ka PDF kaisay mil sakta hai?

03:16:57

Kya Abdullah bin Umar rz ne Yazeed ki bait ki aur logo ko bait todne se roka tha ??

03:19:50

kya abdullah ibn umar ne yazeed ki bait ki thi aur doosro ko bhi aisa karne ka kehte thay?

03:40:05

ahle sunnat ki kitabon mein imam mahdi ka naam muhammad bin abdullah aya hai, jabke shia kitabon mein unka naam muhammad bin hasan hai. kya is ikhtilaf pe baat karni chahiye?

02:53:06

Abdullah bin Umar R.A. ne ek aadmi ko cheenk ke jawab mein Alhamdullillah ke sath Wasalamu Ala RasoolAllah ﷺ parhne par mana kiya tha par Ali bhai to baar baar apnay lectures mein durood shareef parhwate hain kya unka yeh amal bhi bid'dat mein shumaar hoga ?

04:05:07

Humne bachpan se hi apnay buzrugo se suna hai kay Mushrikeen e Makkah ALLAH ko nahi mante the tau phir nabi kareem swa kay walid ka naam Abdullah kyn tha?

01:30:05

Sayyiduna Abdullah bin Umar r.a. Ki Age (Umar) aur sunn-e-wafat Kay Baaray Mein Confusion aur Uski Clarification?

Icon this is notification panel