13-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (10-Jun-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:03:55
Naarah, bay gunah bay khata moaviah moaviah (rz), reply to ilyas qadri barelvi, hazrat Ali (rz) ko banu umayyiyah ke daur mein gaaliyan di jati thin (nauzubillah) ?
00:12:30
moaviah (rz) peh lanat karna haraam hai, apne murdon ko gaali mat do wo apne anjam ko pohnch chuke, kya kisi ki ghalati beyan karna haraam hai, kya Ali mirza ke dil mein moaviah (rz) ka bughz hai ?
00:46:00
mushajrat e sehaba peh baat karna aur sehaba ke apas ke ikhtilafat beyan karna haraam hai ?
01:03:24
Ammar bin yasir (rz) ka qatil kon, kya moaviah (rz) ki khata ijtehadi thi imam badr ud din aini ke comments ?
01:24:48
mere sehaba ko bura mat kaho hadees ki detail aur hazrat Ali (rz) peh mimbron peh sabb o shatam yani lanat ki jati thi (nauzubillah) ?
01:34:00
bugh z e Ali (rz) aur hubb e Ali (rz) & bughz e moaviah (rz) aur ka mohawrah ?
02:01:15
khulfa rashdeen ke naamon ke sath Aleh salam kyu lagate hein jabke ye protocol ambia (as) ke sath khas hai, aleh salam aur razi Allah anho kisi ko bhi keh sakte hein ?
02:16:08
kya surah al maidah ayat 15 Noor se murad Nabi saw hein, noor o bashar ka mas'alah ?
02:19:06
darood wali hadees mein ahle bait ka zikar hai ya Aal e Muhammad saw ka, aur Aale Muhammad se murad puri ummat hai ya nabi saw ke ghar wale murad hein ?
02:22:51
hadees ki term mein turq aur tareeq kise kehte hein ?
02:24:54
kya hazrat hussain (rz) ne shahadat ke baad asar ki namaz nabi saw ke sath jannat mein ada ki thi, jabke marne ke baad to ibadat ki kya zarurat hai, kya koi momin qabar mein bhi namaz parhta hai jabke nama amaal ka silsila band ho jata hai ?
02:28:00
nabi saw ne namaz ke doran bachay ke ronay ki awaz suni to namaz mukhtasar kar di thi ? kya namaz mukhtasar parhni chahiye ? nabi saw ki namaz kitni lambi hoti thi ?
02:29:47
witr ke baad 2 rakat nafil parhne se tahajud ke barabar sawab ? kya witr, tahajud, taraweeh aur qeyam ul lail ek namaz ke mukhtlif naam hein ? taraweeh 8 rakat ya parhen ya 16 rakat taraweeh bhi parh sakte hein ?
02:33:43
kya nabi saw ki tareef mein naat parhna Allah ki ibadat hai ?
02:35:11
log apne behnon ko baap ki wirasat se hissa nehi dete aur kehte hein inko jahaiz de dia tha, kya behnen apna hissa maaf kar sakti hai, aulad ke sath ek jaisa salooq karna aur waris keliye wasiyat karna kaisa ?
02:39:27
ek taraf aap kehte hein ulma se panga na lein aur dusri taraf khud kehte hein goongay shaitan na banen kya ye khula tazad nehi hai ? ulma ko unki ghalati kaise highlight karen ? kya ulma se kisi cheez ka reference puchna ulma ki tauheen hai ?
02:43:22
aap ne ek lecture mein kaha mujhe guftagu ke doran Allah ki taeed hasil hoti hai jabke Allah ki taeed to Ambia (as) ko hasil hoti hai ?
02:46:15
namaz mein imam ke 2 saktay hote hein kya pehle saktay mein fateha parhi ja sakti hai agar imam ruku se pehle sakta yani waqfa na karta ho ?
02:46:53
agar tashahud mein ghalati se fateha parh li kya sajda sehaw wajib ho jaye ga ? agar ruku ki tasbeehat sajdon mein aur sajday ki tasbeehat ruku mein kar li to sajda sehaw wajib ? ruku aur sajdon mein qurani duaaen mangna ?
02:48:23
aksar mulkon mein roads par aftari packets diye jate hein agar wo zakaat ke paison ki aftari ho to khai ja sakti hai ? kya ghair muslim roza aftar karwa sakta hai ?
02:51:53
kya bay namazi roza rakh sakta hai jabke jaan boojh kar namaz chornay wala kafir hai ? kya daarhi wale ka gunah zeyada bara ho jata hai ?
02:53:14
kya aurat haiz ke dinon mein chootay huwe rozon ki qaza shawal ke 6 rozon mein de sakti hai ya shawal ke rozay alag se rakhne honge ? ramzan mein chootay huwe rozon ki qaza kab di ja sakti hai ?
02:56:36
sehat mand aur baghair sharai uzzar ke roza chornay wale ka kffarah kya hoga ?
02:57:31
kya teeka (injection) lagwane se roza toot jata hai ? rozay ki halat mein baalon mein tail lagana, tooth paste karna, handiya ka zaiqa chakhna ? rozay ki halat mein saans ka mareez inhaler use kar sakta hai ? kya sugar patient insulin lay kar roza rakh sakta hai ?
03:00:09
kya shab e qadar ko hasil karne keliye puri raat jagna zaruri hai ?
03:01:32
kya rozay keliye aurat ka sharai pardah zaruri hai, kya bay pardah aurat ko uska roza faida de ga ?
03:02:23
sehri ka waqt khatam ho jaye to kya azan ke doran kha pi sakte hein ? sehri khaye baghair roza rakhna kaisa ?
03:03:43
ghareebon aur maskeenon ko zakaat ke paison se aftari karwa sakte hein ? ali bhai kya apko academy mein aftari karwane keliye paise de sakte hein ?
03:04:48
ramzan mein namazen parhnay wala pura saal namazon peh istiqamat kaise ikhtyar kare ?
03:05:32
kya ghair muslim ko fitrana sadqa khairat aur aqeeqay ka gosht de sakte hein ?
03:06:23
kya eid ke din galay milna bidat hai ? kya eid peh bacho ko eidi ke paise dena bidat hai ?
03:07:50
daarhi farz hai ya sunnat hai aur kya moonchen past karna zaruri hai ?
03:10:50
kya hujaam ke kaam mein daarhi shave karna haraam hai ?
03:12:00
umrah ke doran mard apne baal katwane se pehle apni biwi ke baal khud kaat sakta hai ? kya umrah ke baad apne baal khud kaat sakte hein moondh sakte hein ?
03:12:51
namaz e janazah ke baad mayyyat ka chehra dekhna aur mayyat ko bosa dena aur kya aurat apne khawind ki mayyat ko bosa de sakti hai ?
03:13:48
chand doston ne milkar ghareebon ko kapray dene keliye paise jama kiye unme se ek dost ne no profit no loss peh apni dukan se kapra de diya kya ye jaiz hai ? taqwah aur fatwa mein faraq, shariyat mein sirf zahir peh fatwa lagta hai batin peh nehi ?
03:16:14
aaj kal ke daur mein shadi karna itna mushkil ho gya hai ke tamam rishtedaron ko kapray dene parte hein mehnga khana dena parta hai aise rasm o riwaj ke hote huwe ek aam ghareeb admi kaise shadi kare ?
03:17:50
gaari book karwane keliye kuch mahinay pehle advance raqam di jati hai jab gaari mil jati hai to company wale advance paison ka sood ka check ki shakal mein ghar bhejte hein, kya sood ke paise ghar mein rakh sakte hein sood ke paison ka kya karen kya sood ke paise aag mein jala dein zaya kar dein ya kisi ghareeb ko baghair sawab ki niyat se de sakte hein ?
03:19:08
nabi saw ko meraj jismani tor peh hui thi ya rohani tor peh ?
03:21:34
bahir ke mulkon ke resturant mein sharab aur khinzeer ka gosht serve karna parta hai kya ek musalman aise resturant mein job kar sakta hai ?
03:22:36
haqooq ullah aur haqooq ul ibaad mein faraq karne ki daleel kya hai ? kya Allah bandon ke haqooq maaf karde ga ? rizq e halal kamana ibadat hai isliye namaz parhne ki zarurat nehi rehti ?
03:24:36
Ali bhai aap quran ko tarumay se parhne ki targheeb dilaty hein jabke aapki academy mein baghair tarjumay ke quran paray huwe hein ?
03:25:36
kya sunnat fiqah ke baghair na mukamal hai ? har saal umrah karne ki bajaye kisi ghareeb ki bachi ki shadi karwai ja sakti hai ya kisi ghareeb ki madad ki ja sakti hai ?
03:27:48
ulma e deoband ka dawa hai ke inke kisi aalim ke khilaf koi sawal nehi utha sakte, kya purane buzurg apas mein lartay thy ? jis aurat ka shohar gum jaye wo kinti mudat tak shohar ka intzar kare gi kya hanafi imam abu hanifa ke har fatway peh amal karte hein ?
03:29:30
agar jandar ki tasweer banana jaiz nehi to computer mein video games khelna sahi hai jisme insani shakal ke players hote hein ?
03:30:00
games mein shart lagana, haar jeet peh sharten lagana ke konsi team jeetay gi kya ye jaiz hai ? kya cricket ground ke bahir koi dukan kholna aur wahan kaam karna jaiz hai ?
03:30:46
kya vote dalna zaruri hai ? kya jamhuriyat (democracy) kufar hai ?
03:36:42
kya deen ke ilawa english literature parhna jaiz hai ?
03:36:53
ramzan ke mahinay mein hakumat bazaron mein sar e aam khane peene ki cheezen baichnay peh pabandi laga deti hai kya ye jaiz hai ? kya hakumat zabardasti tax wasool kar sakti hai ?
03:40:13
tableeghi jamaat ka chilla lagana aur apne biwi bacho ko 4 mahinon keliye chor kar tableegh keliye nikal jana sahi hai ?
03:43:46
kya maola Ali mushkil kusha kehna shirk hai ?
03:44:21
masjid peh kisi maslak ka naam likhna bidat hai ?
03:44:32
kisi retired bande ke paas raqam save ho to kya us saving peh zakaat hai ? rent a car peh zakaat, kiraye ke makan peh zakaat, agar koi makan banane ki niyat se paise jama kare to kya usay zakaat ada karni hogi ?
03:45:58
kya aurat namaz e janazah ki imamat karwa sakti hai ?
03:46:26
nabi saw ne apna sara maal Allah ki raah mein khairat kar diya tha jabke nabi saw ne khud hukam dia hai ke ek tehai se zeyada maal Allah ki raah mein khairat nehi kar sakte ? kya nabi saw ne kabhi zakaat di hai ?
03:47:14
jummah ke din zawaal ka waqt konsa hai ?
03:47:30
quran mein Allah aur uske Rasool saw ki ataat ka hukam hai to imamon ki ataat aur taqleed karna kaisa ?
03:47:54
kya nabi saw kisi ko jannat se dozakh tak aur dozakh se jannat tak le kay aa sakte hein ?
03:48:12
qareeb ul marg yani marte huwe bande ko kalma parhnay ki talqeen karna ?
03:48:37
galay mein zanjeer aur hath mein kara pehnna kaisa ?
03:48:42
masnoon daarhi kitni honi chahiye masnoon daarhi aur farz daarhi mein kya faraq hai, kya choti daarhi rakhna jaiz hai ?
Icon this is notification panel