24-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (26-Aug-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:11:41
holand mein gustakhana khakay banaye gaye ispe hum musalmano ko kya karna chahiye ?
00:13:21
kya imam Hasan (rz) ne 120 shadiyan ki thi ? imam Hasan (rz) ko kisne qatal karwaya tha, mufti tariq masood ko jawab ?
00:41:15
bukhari muslim aur baqi kitabon ke tarjumay tamam maktaba fikar ke ulma ne kiye hein lekin jab koi aam admi kisi ko koi hadees dikhaye to wo aage se kehte hein aap baray aalim hein ya wo baray aalim hein ? ulma apni ghalati highlight hone peh naraz kyu hote hein ?
00:45:52
kya janabat ki halat mein ya aurat haiz ki halat mein quran choo sakti hai aur qurani duaaen aur zikar azkaar parh sakti hai ? agar rozay ki halat mein aurat ko haiz aa jaye to roza toot jaye ga ? agar koi shakhs janabat ki halat mein toliya pakr le to kya toliya napak ho jaye ga ?
01:06:58
sahih bukhari 5069 mein hai ke is ummat mein achay log wohi hein jinki biwiyan zeyada hein, is hadees ka mafhoom kya hai ? kya ibadat mein ghalow karna islam mein jaiz hai, 3 sehaba ka Nabi saw ki ghair mojoodgi mein Rasool Allah saw ki ibadat ke baray mein poochna ?
01:12:46
aisi buzurg jinhon ne deen ke naam peh ghalat baten batai inke sath kaisa rawaiyya hona chahiye ?
01:14:30
quran mein Allah ne hamara naam muslim rakha hai to aap apne aap ko ilmi kitabi muslim kyu kehte hein ? kya ilmi kitabi ka lafz quran hadees se sabit hai ?
01:18:52
kya Allah ko bhi kisi cheez ka khauf hota hai, aap ne ek ayat ka tarjuma kiya agar Allah ko is baat ka dar na hota, kya Allah ko bhi dar lagta hai ? quran mein hai ke Allah qasam khata hai jabke Allah to khana khanay se paak hai ?
01:22:36
aisi mehfil jahan barelvi, deobandi, ahle hadees ya shia bhai mojood hon waha aapki konsi video refer karni chahiye ke unki islah ho jaye aur kis topic peh baat karni chahiye ? kya in sab ki islah keliye common terms peh baat karna dawat ki key hai ?
01:38:50
ghair muslims ka sawal hai ke agar Allah sabko rizq deta hai to itne log aur chotay bachay bhookay kyu mar jate hein kya ye Allah ki taraf se aazmaish hoti hai ? kya Ali mirza ko molviyon se khatra hai ?
01:43:58
kya farz namaz ke baad ijtemai duaa karwana sabit hai ? kya waseela aur tawassul ke tor peh ijtemai duaa karwai ja sakti hai ?
01:44:31
kya moonchen moondh sakte hein ?
01:44:55
masqat mein abazi firqa hai kya unke peeche namaz ho jati hai ?
01:45:48
dawat o tableegh keliye sab se behtreen kitab konsi hai ? kya quran sab se asan kitab hai ulma farmate hein ke quran mushkil kitab hai ? kis kitab se deen ka dars dena chahiye ?
01:49:44
laundi aur islam, aur political system of islam peh behtreen kitab konsi hai ?
01:51:25
ibadat mein khushu khuzu hasil karne keliye kya karna chahiye ?
01:52:15
naqsh o nigar design wale musallay peh namaz parhna kaisa ? kay jis musallay peh khana kabah ki tasweer bani ho uspe namaz parhna jaiz hai ?
01:53:20
Allah ki riza marzi aur mashiyat mein kya farq hai ? kya Allah banday se khud gunah karwata hai ya ispe banday ka apna qasoor hai ? hum koi gunah Allah ki marzi se karte hein ya uski ijazat se karte hein, mas'alah taqdeer ka hal ?
02:02:10
india pakistan bangladesh ke buzurgon ko saleheen keh sakte hein kyu ke quran mein zikar hai Allah hamen saleheen aur shohda ka sath naseef farmaye ?
02:04:43
sar sadi ke aaghaz mein ek mujadid hota hai jo deen ki tajdeed karta hai, mujadid ki pehchan kya hai ? kya umar bin abdul aziz (rz) islam ke pehle mujadid hein ? kaali daarhi wale naujawan haq qabool karte hein ya sufaid daarhi wale boorhay log ? kya sehaba ne jawani mein haq baat qabool karli thi aur Nabi saw ki wafat ke waqt sehaba ki umren kitni thin ?
02:08:12
Allah ne 6 din mein kainaat ko paida kiya aur dusri jaga aata hai Allah ne 6 din mein zameen o aasman ko banaya ? kun fayakun ka matlab kya hai ?
02:10:38
kya jummah ke din masjid mein dakhil ho kar do rakat tahiyya tul masjid parhna zaruri hai ? sunnat e moakkida aur ghair e moakida kitni hein aur maghrib se le kar isha tak nawafil parhna ?
02:11:43
agar pehli 3 rakat nikal jayen aur imam ke sath 4thi rakat mein ja ke milein to namaz puri hone ke baad uthte huwe rafa yadain karna hai ya direct kharay ho jayen ?
02:13:05
agar namaz ke doran sar se topi gir jaye to kya hath se utha sakte hein ? namaz ke doran agar mobile ki ringtone baje to kya namaz ki halat mein mobile band kar sakte hein ? namaz ki halat mein idhar udhar (left right) dekh sakte hein ?
02:14:26
siri namaz mein fateha mukammal hone se pehle imam ruku mein chala jaye to muqtadi fateha kab parhe ?
02:15:05
kya tashahud ki duaaen dohrai ja sakti hein yani tashahud mein duaaon ko bar bar parh sakte hein ?
02:15:41
imam ka namaz ke aakhir mein lamba salam phairna jabke muqtadi imam se pehle salam phair le to kya namaz ho jaye gi ? jab akele namaz parh rahe hon to salam phairte waqt assalam o alaikum kyu kehte hein jabke hum akele hote hein aur alaikum jama ka seegha hai ?
02:16:47
kya musafir par jamaat ke sath namaz parhna wajib hai ya musafir akele bhi namaz parh sakta hai ? kya jamaat ke baghair namaz ho jati hai ? kya musafir peh qurbani hai ?
02:18:54
dusray sajday ke baad baith kat yani jalsa istirahat kar ke jab kharay honge to kya alag se takbeer Allaho akbar kahen gy ?
02:20:15
kya namaz mein paon se paon aur kandhay se kandha milana aur oonchi aameen kehna sunnat hai ? kya sirf imam shafai ka muqallid hi rafa yadain kar sakta hai warna nehi ? hum ne Nabi saw ke naam ka kalma parha hai ya imamon ke naam ka ?
02:28:50
namaz ki pehli rakat mein auzu billah aur bismillah parhi jati hai kya ruku aur sajdon mein bhi ye parh sakte hein ? auzu billah agar naiki ka kaam hai to ye hum azan se pehle kyu nehi parhte kya ye bidat hoga ? kya Nabi saw ne ummat ko adhoori azan sikhai hai (nauzubillah) ? kya hum Nabi saw ke taleem kiye huwe alfaz badal sakte hein ?
02:31:45
kya imam ko follow karne se kya murad hai imam ki pairvi kaise ki ja sakti hai, agar koi imam rafa yadain se namaz nehi parhata to kya hamen bhi rafa yadain ke baghair namaz parhni chahiye taakay imam ki pairvi ho sake ?
02:33:08
namazi ke aagay se guzarna jaiz hai ? agar hamare peechay koi namaz parh raha ho to kya hum dayen bayen (left right) khisak kar nikal sakte hein ?
02:36:08
kya azan se pehle ya azan ke doran sunnaten parh sakte hein ? agar zohar ka waqt dakhil ho jaye to sunnat e moakkida parh sakte hein ? azan ke doran paishab ki hajat ho to washroom ja sakte hein ?
02:37:19
namaz istasqaa mein Nabi saw ne ultay hath se duaa farmai kya aam admi barish keliye hath ultay kar ke duaa maang sakta hai ?
02:37:35
agar Eid ki namaz ki pehli rakat nikal jaye aur dusri rakat mein pohnchay to namaz e Eid kaise puri kare ?
02:38:10
Nabi saw ya khulfa rashideen ke daur mein azan masjid mein hoti thi ya dusri azan bazar mein hoti thi, aur kya jummah ki dusri azan Usman (rz) ne shuru karwai thi ? kya masjid mein azan dena haraam hai ? masjid mein rakhe huwe chanda box peh molviyon ke heelay baziyan ?
02:43:03
hanafi imam arabi khutbay se pehle urdu mein khutba dete hein aur daleel dete hein ke abu hurrairah (rz) jummah ke khutbay se pehle waaz o nasihat kiya karte thay ? jummah ka khutba kharay hoke dena chahiye ya baith kar ?
02:43:55
choti masjid ko gira kar wahan public place bana sakte hein aur us masjid ko shift kar ke kahin aur bari masjid bana sakte hein ?
02:44:23
kya hum hanafiyon ki masjid mein rafa yadain aur oonchi aameen is waja se kehna chor sakte hein ke log hamen wahabi samjhen gy ? kya molvi ke shar se bachne keliye rafa yadain aur Aameen bil jahar chor sakte hein ?
02:46:29
Ali bhai ek taraf aap kehte hein jamat ke sath namaz parhna farz hai aur dusri taraf kehte hein namazen jama ki ja sakti hein, to namazen jama karne keliye akele namaz parhni pare gi kyu ke duniya mein aisi koi masjid nehi jahan imam namazen jama karta ho ? mutnafil yani nafil wale ke peechay farz namaz ki niyat ho jati hai ?
02:48:15
agar isha ki namaz dair se parhna afzal hai to kya ye fazeelat hasil karne keliye hum jamat chor kar isha ki namaz aakhri waqt mein ghar parh sakte hein ?
02:48:42
kya aise imam ke peechay namaz ho jati hai jo duaa mein kehta ho ya Rasool Allahi unzur halana, kya mushrik imam ke peechay namaz ho jati hai ?
02:49:42
agar witr ki namaz mein duaa e qanoot yaad na ho to konsi duaa parhi ja sakti hai ?
02:50:01
aisa dupatta jisme sar ke baal nazar aate hon kya aisi aurat ki namaz ho jaye gi ?
02:50:31
ahle hadees farz namaz ke baad duaa nehi karte ? kya farz namaz ke baad ijtemai duaa karwana sabit hai ?
02:51:32
kya wazu ki tarteeb zaruri hai aur kya sirf wazu ke faraiz ada karne se wazu ho jata hai ?
02:51:45
kya jisam ke ghair zaruri baal blade ke ilawa kisi aur cheez se saaf kiye ja sakte hein jaise hair removing cream, powder ya ustray se ? aur kya baghlon ke baal ukhairna jaiz hai ?
02:53:10
qurbani apne watan mein karo, kya aisi koi hadees mojood hai ?
02:53:23
ijtemai qurbani ki sharai haisiyat kya hai aur kya gaaye (cow) ki qurbani mein saat hissay karna zaruri hai ya is se kam ya zeyada bhi kar sakte hein ? fiqah haafi mein qurbani ka gosht taqseem karne ka anokha tarika ?
02:55:42
kya hum paise de kar apni ghair hazri mein qurbani kar sakte hein yani neyabat karwa sakte hein ?
02:55:48
kisi ghareeb aadmi ko qurbani keliye koi janwar gift kar sakte hein taakay wo qurbani kar le ? kya kisi ghareeb aadmi ko hajj umrah karwa sakte hein ?
02:56:06
qurbani ka gosht kitna arsa tak store kiya ja sakta hai yani qurbani ka gosht kitnay arsay tak khaya ja sakta hai ? qurbani ki khaalen kisko deni chahiye ?
02:57:56
kya qarz le kar qurbani ki ja sakti hai kyu ke pakistan mein har banda sawa lakh ka maqrooz hai ?
02:59:06
kya haji 2 janwaron ki qurbani kare ga ek qurbani hajj ki aur dusri qurbani Eid ki alag se karne hogi ?
03:00:09
kya hajj mein tawaf e afadah 10 zilhajjah ke baad kiya ja sakta hai ?
03:01:21
kya mayyat ko qabar mein dafan karke qabar par azan dena sabit hai ?
03:01:27
agar koi rishtadar khud hi hum se taluq na rakhna chahay to kya us se qata taluq kar dena chahiye ?
03:01:45
india mein log apne watan ko dharti maa aur gaaye (cow) ko gaao mata kehte hein, kya ye jaiz hai ?
03:03:04
barkat keliye gaari ke front ya back side peh qurani ayat ya koi hadees likhwa sakte hein ? gaari ke peechay kya likhwana chahiye ?
03:04:21
kya bara bhai apne chotay bhai ko maar peet sakta hai yani baray bhai chotay bachon par zulm o sitam karte hein ?
03:04:51
baalon ki khareed o farokht ka karobar karna halal hai ? insani baalon ki wig pehnna aur baal transplant karwana kaisa ?
Icon this is notification panel