99-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (19-Jan-2020)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:13:16
Javed Ahmad Ghamidi Sb. Ka Yeh Iqrar Karna Ki Khulafa-e-Rashideen Kay Baad Banu Ummaiyya Kay Badshah Hazrat Muawiyah r.a. Kay Daur e Malookiyat Mein Islami Nizaam Ko Nuqsan Pahuncha , Ghamidi Sb. Kay Nazariye Mein Yeh Badlaav Kaise Aaya?
00:57:13
Haal Hi Mein Aapki Academy Ki Jaanib Say ILMI Kitaabi Package Jaari Kiya Gaya Hai Jis main Kitaabon Ki Qeemat Kaafi Kam Hai aur Isme Aap Ne Pakistan Ki Sabse Mehangi Postal Service TCS Ka Intakhab Kiya Hai Itna Sab Kuch Manage Karnay Kay Liye Aapkay Paas Funds Kahan Say Aaatay Hain?
01:07:50
26 Jan 2020 Ko ILMI-o-Tahqeeqi Majlis Ki Platinum (100th) Jublee Honay Jaa Rahi Hai Jisme Karachi aur Door Door Say Log Shirkat Karna Chah Rahay Hain Baraye Meherbani Iss Special Majlis ki Tafseelaat Share Kar Dein?
01:20:52
Dunya Kay Tamaam Islami Bhaiyon aur Islami Bahnon aur Ali Bhai Kay Students aur Iss Jahan Kay Tamaam Musalmanon Kay Liye Dua e Khair.
01:26:25
Hazrat Ba-Yazeed Bustami Kay Baray Mein Barelvi Aalim Dr.Suleman Misbahi Ka Ruju?
01:48:53
Agar Koi Aurat Junubi Hai aur Ghusal e Janabat Say Pahlay usay Period aa Jaye To Kia Woh Ghusal e Janabat Karegi Ya Phir woh Period Khatam Honay Tak Ghusal e Janabat Ko Delay Bhi Kar Sakti Hai?
02:02:33
Qur'an aur Hadees Kay Mutabiq Humein Sirf Teen Tarah Ki Makhlooqat Ka Pata Chalta Hai Insaan, Faraishtay aur Jinnat Kia In Kay Alawa Bhi Aur Makhlooqat Hain Maslan Aliens Waghairah Agar Haan To Un Ki Daleel Kia Hai?
02:15:05
Adaliya (Judiciary) Mein Corruption aur Jhoot aur Advocates aur Judges Ka Pesha Haram Hai Ya Halaal iss Baray Mein Ali Bhai Ka Kia Moaqqaf Hai?
02:32:41
Aik Taraf To Hamari Universities aur Colleges Bay-Hayai Ki Taraf Zyada Maiel Hain aur Dosri Taraf Mazhabi Jamatein Students Ko Apni Taraf Itna Pressure Dete Hain Keh Wo Apni T’aleem Bhi Mukammal Nahin Kar Patay aur Apnay Class fellows aur Teachers say Debate Kartay Hain Iss Hawalay Say Ali Bhai Students ko Kuch Naseehat Zaroor Karein?
02:48:45
Firqah-wariyat Ki Wajah Say Ummat-e-Muslimah Mein Barbaadi aur Zawaal Aa Raha Hai Toh Iskay Urooj Aur Behtari Kay Liye Ali Bhai Kia Mashwara Dein Gey?
02:59:21
Chotay Bachchay Jinki Age 8-10 Saal Hain Unko Aqeedah-e-Tawheed Kaise Samjhaya Jaye, Ali Bhai Unkay Waldain aur Baray Bhai Bahnon Kay Liye Kuch Advice Dein?
03:06:26
Government Aajkal Islamiyat Subject Kay Curriculum Mein Reformation Kar Rahi Hai Par Doosray Subjects Maslan English Ya Urdu Mein Kai Ghair Islami Batein aur Aqaid Maujood Hain To Kia Aap Ko Nahin Lagta Keh Islamiyat Ke Curriculum Mein Reformation Laanay Se Kuch Nahi Hoga Jab Tak Complete Education System Mein Reformation Na Laya Jaaye?
Icon this is notification panel