35-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (04-Nov-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:32
gustakh e Rasool Aasia maseeh ky hawale se suprime court ka faisla ?
00:44:29
kya sehaba ek dusray ko rehimahullah ya rehmatullah kehte thay ? kya aleh salam aur razi Allah anho kisi ko bhi kaha ja sakta hai ?
00:52:06
kya bayen hath (left hand) se janwar zibah kiya ja sakta hai kyu ke kai logon ke left hand mein zeyada taqat hoti hai ? kya har kaam dayen hath (right hand) se hi karna sunnat hai ? janwar zibah karne keliye wazu hona aur Allaho akbar ki takbeer parhna zaruri hai ?
00:58:29
hujjaj bin yousuf kon tha quran par airaab kisne lagwaye thay ? kya umar bin abdul aziz (rz) islam ke pehle mujadid hein, detail ?
01:19:04
Allah ne sab se pehle kis makhlooq ko paida kiya, pani ko, arsh ko ya Qalm ko ? hawadis ke qadeem hone peh imam ibne taimiyah ka aqeedah aur shaikh Albani ke comments ?
01:23:00
islam aakhri zamane mein ajnabi ho jaye ga ghareeb ho jaye ga kya aisi koi hadees mojood hai ? ghareeb hadees aur mutwatar hadees kya hoti hai ?
01:25:27
kya tahajud ki namaz parhne se pehle sona zaruri hai ? witr ke baad do nafil parhne ka sawab aur kya baith kar namaz parhne se aadha sawab milta hai ?
01:28:23
ishraq ki namaz parhne keliye fajar ki namaz jamat ke sath parhna zaruri hai ? jiski fajar ki sunnaten reh jayen kya wo talu e aftab tak masjid mein baith rahe ya ghar ja kar bhi sunnaten parh sakta hai ?
01:30:37
ramzan mein isha ki namaz jamat ke sath nehi parhi to kya taraweeh mein imam ke peechay isha ki niyat ki ja sakti hai ? mutanfal ke peechay yani nafil wale ke peechay farz namaz ki niyat kar sakte hein ? taraweeh 8 rakat hai 16 rakat hai 20 rakat hai ya taraweeh 40 rakat hai ? taraweeh ka asal maqsad kya hai ?
01:35:14
har waqt maut ka khauf laga rehna kya ye nafsiyati bimari hai ? kya maut ka waqt muqarrar hai ? kya namazen parhne se aur naik logon par takaleef aur aazmaishen nehi aati ?
01:42:17
kya office ki masjid mein do dafa jummah ki namaz karwana sahi hai aur ikhtilaf ki waja se ek masjid mein do dafa jummah ki namaz karwana kaisa ?
01:43:52
quran ki tilawat ke doran agar paon peh kharish kar li to kya usi hath se quran ko choo sakte hein ? tuch screen mobile mein bay wazu quran parh sakte hein ?
01:46:28
jaidad mein wirasat ki taqseem ke waqt behnen apna hissa bhaiyon ko chor deti hein, to agar baad mein bhai acha salook na karen to adalat ke zariye behne dobara apna hissa wapas le sakti hein ? diya huwa gift wapas lena kaisa ?
01:50:01
agar mard masjid mein jamat ke sath namaz parh kar aye to kya apne biwi bachon ko ghar mein jamat karwa ke namaz parha sakta hai ? mutafal ke peeche yani nafil ke peeche farz namaz ki niyat ki ja sakti hai ? imam ke peeche bachon aur aurton ki saff konsi hoti hai ? agar miyan biwi jamat karwa rahe hein to aurat pichli saff mein khari hogi ya imam ke sath ?
02:00:34
baghair ijazat kisi ka Wifi ka password khol kar istemal karna jaiz hai ?
02:02:54
imam bukhari aur imam muslim ke mazar kyu banaye gaye jabke ye inki taleemat nehi thi aur aaj kal mazaron peh jo khurafat aur bay hayai ke kaam ho rahe hein kya buzurgon ne kaha tha ? kya fiqah shafai aur shia ki fiqah mein mazar banana haraam hai ?
02:07:40
kya Nabi saw ki qabar par surkh chadar daali gai thi ?
02:09:23
agar shaikh abdul qadir jilani ko ilme ghaib tha to unho ne apni kitab mein Nabi saw ki wiladat ki tareekh das moharram kyu likhi, kya Allah buzurgon ko ghaib ka ilm ataa farmata hai ?
02:15:37
agar tawaf ke doran pehle chakar mein kandha nanga karna bhool jaye to kya tawaf dobara shuru karna hoga, kya dam wajib ho jaye ga ?
02:16:33
kya quran mein kisi sehabi ka naam aya hai aur quran mein khulfa rashdieen ke naam kyu nehi aye ? kya quran Nabi saw ki Biography ki book hai ?
02:19:10
quran mein Nabi saw ke khatim un Nabiyyeen hone ka zikar hai lekin kya ye zikar hai ke quran aakhri kitab hai ?
02:20:50
Allah ne kisi aurat ko Nabi paighambar kyu nehi banaya yani kisi aurat ko nabuwat kyu nehi mili ?
02:25:07
sunnat e moakida aur ghair e moakida ki terms kab banai gai ? kya farz namaz ki teesri aur 4thi rakat mein fateha ke sath surat milai ja sakti hai ? darmiyane tashahud mein darood parhne se sajda sehaw wajib ho jata hai ? imam abu hanifa ki taraf mansoob jhoota khuwab ?
02:30:37
kya puri zindagi baghair shadi ke guzara karna aur kabhi nikah na karna jaiz hai ? ibadat mein ghalow karna jaiz hai ?
02:32:40
kya khudkushi wale ka janazah aur kunwaray boorhay aadmi ka janazah parhna jaiz hai kyu ke suna hai jiski shadi na ho uska janazah jaiz nehi hota ?
02:35:58
agar imam abu hanifah ki koi kitab sabit nehi ti itni bari fiqah kaise wajood mein aa gai ? kya imam ibne abi shaiba bukhari muslim ke ustad thay ?
Icon this is notification panel