23-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (19-Aug-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:30
9 zilhajjah yaum e arafah ka roza saudia ke hisab se rakha jaye ga ya apne ilaqay ka chaand dekh kar rakha jaye ga kyu ke laal rumal wale kehte hein arafah ka roza saudia ke mutabiq rakha jaye ga kyu ke maidan e arafaat saudi arab mein hai ? zilhajjah ke das dino ki takbeerat ?
00:31:57
hajj ki niyat ki lekin meqaat se ehraam bandhna bhool gaye kya dam wajib ho jaye ga ? kya ek safar mein ek umrah hi kar sakte hein ? chori chupay hajj karna kaisa ?
00:35:36
qubani ke 3 din hein ya 4 din hein, kya 4th din qurbani karna bidat hai ?
00:37:14
quran mein Allah ne kitni martaba Nabi saw ke aakhri nabi ya Rasool hone ka zikar kiya hai ? qadiyaniyon ko dawat e islah ?
00:39:25
kya sadqa ke paison se mehmano ko khana khila sakte hein ? kon konsi cheezen sadqa mein shamil hein ?
00:40:55
ahadees mein asmaa o rijal ka ilm, nasikh o mansookh, jirah o tadeel, tahkeem takhreej, sahih aur zaeef, mozoo mangharat, shaaz illat, munfarid aur adme zikar, in sari terms ko ek aam aadmi kaise samjhe ? deen kitabon mein hai ya shakhsiyaat mein, kyu ke quran mein hai ke ay Allah hamen naik logon ke raste peh chala ? Nabi saw ne hajja tul widaa peh ummat ko kitabon ke hawale kiya tha ya baabon ke hawale ? kya quran mushkil hai ? Nabi saw ki total ahadees kitni hein ?
00:52:45
ghar mein jis jagah pehle bathroom tha ab ghar dobara tameer kar ke bathroom wahan se hata diya hai kya ab wahan namaz parh sakte hein ? kya sehaba ne ahista ahista deen learn kiya tha ya unko sab kuch pehle se pata tha ?
00:57:21
ghar ki sab se qareeb wali masjid mein jana chahiye aur door ki masjid mein nehi jana chahiye, kya islam mein aisi koi pabandi hai ?
00:58:23
jisko arabi nehi aati wo quran ka tarjuma apni zuban mein parh sakta hai jaise urdu hindi ya english mein ?
00:59:28
ghareeb admi apne bache ka aqeeqah kaise kare kya ghurbat ki waja se bache sari zindagi girwi rahe gi ?
01:00:25
Allah ke khauf se rone wale ko qeyamat ke din Allah ke arsh ka saya naseeb hoga ?
01:01:03
Ali bhai aapne mufti taqi usmani ki tareef ki jo mezan bank ke mutaliq sood ki ghalat fehmi thi wo unho ne hal ki, to kya taqi usmani baqi masail mein bhi theek hein jaise taqleed, namaz aur deoband ke aqaid aur qabron se faiz ka aqeedah ? kya mufti taqi usmani ke sare masail sahi hein ?
01:04:42
ghamidi aur maolana ishaq ke aqeedat mand kehte hein ke jab tak islam koi ghair soodi system mutaraf nehi karwata tab tak kisi bhi bank se maamlat kar sakte hein jab tak iska koi mutbadal nehi ata ?
01:06:51
hadees mein ata hai ke tum par kala habshi bhi hukmran bana diya jaye ti uski ataat karo, to ab is hadees ko khilafat ke daur keliye samjhen ya aaj ke halaat keliye bhi ye hadees hai ? hazrat hussain (as) ne yazeed bin moavia ke khilaf khurooj kyu kiya tha ?
01:09:10
Ali bhai aap ne Ali (rz) ki fazeelat mein haroon wali hadees batai, istarha ki riwayat Umar (rz) ke bare mein bhi hai uski bhi tafseel bata dein ke mere baad koi nabi hota to wo umar hota ?
01:10:28
kya shia ki hadees ki kitaben sahih hein, kya inpe aitmad kiya ja sakta hai, hum shia ko dawat o tableegh kaise karen ?
01:14:00
bahir ke mulk mein job karne walon ko agar company namaz ki ijazat na de to kya wo namazen jama kar sakte hein ? namazen jama karne ke 3 tarikay konse hein kya zohar ke sath asar ya asar ke sath zohar mila ke parh sakte hein ? kya fajar aur zohar jama kar sakte hein ? kya zohar ka waqt dakhil hone se lekar gharoob e afatab tak zohar aur asar jama ho sakti hein ?
01:15:33
mere sehaba sitaron ki manind hein jiski bhi pairvi karo gy falah pao gy, kya ye hadees sahi hai ?
01:15:43
kya qeyamat ke din Allah ke wali istarha phir rahe honge jaise akharay mein pehlwan phirta hai aur apne mureedon ki bakhshish karwayen gy jabke tamam Ambia (as) nafsi nafsi kar rahe honge ? kya qeyamat ke din Allah ke naik banday bhi shafaat karen gy part 1 ?
01:19:12
kya abdul qadir jilani ne 11 saal baad doobi hui kashti bahir nikali thi ?
01:19:44
kya Umar (rz) ne Fatimah (rz) ka ghar jalaya tha ?
01:20:14
moaviah (rz) Nabi saw ke peeche sawari par baithay thay aur bar bar apna pait Nabi saw ke sath mass karte thay taakay dozakh ki aag se bach jayen, kya ye hadees sahi hai ? kya aakhrat mein amaal ke baghair Nabi saw ki nisbat kaam aa sakti hai ?
01:35:44
kya tamam sehaba ke naamo ke sath razi Allah anho keh sakte hein ya sirf baiat e rizwan wale sehaba ko razi Allah anho kaha jaye ga ? razi Allah anho aur aleh salam kisi ko bhi keh sakte hein ? ek majlis mein ek dafa darood parhna wajib hai ?
01:37:15
kya sirf chaar imam hein kya ulma imam jafar sadiq (rz) ko nehi mante kyu ke ulma hamesha 4 imamon ka naam lete hein ? kya in imamon ne firqay banaye thay ya sharah ya faqahi ahkam waghera ?
01:38:21
kya kisi firqay ke sath jurna zaruri hai yani koi firqa join karna zaruri hai ya sirf aam sada sa musalman kehlana chahiye kyu ke baghair taqleed ke logon ko gumrah kaha jata hai ? kya aaj ke daur mein apne aap ko muslim kehna gunah hai ?
01:40:32
masjid mein jamaat chor kar akele namaz parhna kaisa ? baaghi aur bidati imam ke peechay namaz ka hukam ?
01:43:12
agar masjid mein jamaat ka time nikal jaye to kya ghar mein namaz parhna afzal hai ya masjid mein ja kar hi parhni hogi ?
01:43:38
kya isha ki namaz ko delay kar ke fajar ka waqt dakhil hone se pehle parh sakte hein ? isha ki namaz ka waqt kab tak rehta hai ?
01:43:52
agar islam mein firqa banana haraam hai to jinho ne firqay banaye hein in sabko azab hoga ?
01:44:47
agar koi kisi ko na haq qatal karta hai ya kabeerah gunah ka murtakib hota hai to kya ye hukam sehabi keliye aur ek aam aadmi keliye ek jaisa hoga ?
01:45:09
kya Allah aur uske Rasool saw ki nafarmani karna shirk hai ? jo shariyat mili hai usko chor kar kehte hein hamara aqeedah to ye hai aur hamare ulma to ye farmate hein, to agar unki baat quran o sunnat ke khilaf hai to kya ye jumlay bolna bhi shirk hai ? kalma go mushrik aur kafir mushrik mein farq karna chahiye ?
01:45:54
jab imam mahdi (rz) ayen gy aur puri duniya mein islam phaile ga aur sab musalman honge, lekin dusri hadees mein ata hai qeyamat us waqt tak qaim nehi hogi jab tak zameen peh ek bhi Allah Allah karne wala mojood hai ?
01:47:08
namaz ke doran ya neend ki halat mein shaitani waswasa aane se kya banda gunahgar hoga jabke wo iske tasawur mein bhi na ho ?
01:47:33
tauheed beyan karna itna mushkil kyu hai, koi hamen gustakh e Rasool kehta hai koi sehaba ka gustakh kehta hai, kya koi Allah ka gustakh bhi hota hai ? kya Allah ki tauheed beyan karne se Ambia (as) ki gustakhi hoti hai ?
01:50:58
agar kisi ki maut is halat mein hui ho ke woshirk na karta ho lekin bay namazi ho rozay na rakhta ho to kya uski bakhshish ho jaye gi kya uski aulad uske liye duaa e maghfirat kar sakti hai ? kya Allah kalma go mushrik maaf kar de ga ?
01:52:18
shia ka moaqaf hai ke qaleen par namaz nehi hoti live zameen par namaz parhna sunnat hai ?
01:52:55
kya qeyamat ke din sab log arabi zuban mein guftagu karen gy jabke hamen to arabi nehi aati to kaise seekhen gy ?
01:53:35
kya jannat mein insan ke ilawa koi aur makhlooq bhi jaye gi jaise kisi ka kutta kisi ki billi bhi jannat mein jaye gi ? kya saleh (as) ki oontni, uzair (as) ka gadha, younus (as) wali machli aur ashab e kahaf ka kutta bhi jannat mein jaye ga ?
01:55:30
jisko haq baat ka pata chal jaye lekin phir bhi wo duniadari aur apne firqay ki mukhalfat ke darr se haq baat qabool na kare to uskeliye kya hukam hai, kya wo dozakh mein jaye ga ?
01:55:55
tamam umul momineen (rz) mein se sab se afzal nabi saw ki biwi kon hein ? kya khadeeja (rz) sab se pehle musalman hui thin ?
01:56:53
surah al raad ayat 7 mein haadi se murad kon hai ?
01:57:52
kya Nabi saw ne Allah se shikayat ki thi ke log meri dawat qabool nehi karte aur mujhe bura bhala kehte hein ? kamiyabi keliye chaar sharait konsi hein ?
01:59:32
hadees e shafaat mein hai ibraheem (as) aur dusray Ambia (as) nafsi nafsi kar rahe honge to wahan hum jaise aam logon ka kya haal hoga, part 2 ? kya jannat mein dakhil hone keliye kisi peer ka mureed hona lazmi hai ? part 2
02:01:14
kya namaz ka waqt dakhil hone se 510 minutes pehle namaz parhi ja sakti hai ?
02:01:29
jamaat ke sath namaz parhte huwe agar tashahud mein ghalati se attahiyat parhna bhool gaye aur koi surat parh li to sajda sehaw wajib ho jaye ga ?
02:01:54
qurbani ki khaal baich kar bijli ka bil ada kiya ja sakta hai ?
02:02:35
qurbani ka janwar zibah karte waqt konsi duaa parhen ?
02:02:43
Ali mirza buzurgon ka mazaq uratay hein jabke un buzurgon ne india pakistan mein islam phailaya aur unki bohat khidmaat hein ? hum tak bukhari muslim buzurgon ne pohnchai hai ya angraizon ne ? angrzaizon ki khidmaat zeyada hein ya buzurgon ki ?
02:06:22
kya aam halaat mein bhi Nabi saw ki har baat wahi hoti thi jabke zeyada tar wahi ka silsila band rehta tha ? dusray firqay ke ulma har ghalat cheez ko barelviyon ke sath mansoob kyu karte hein ?
02:09:09
qurbani ke oont aur gaaye mein kitne hissay hote hein, saat hissay ya das hissay aur ispe fiqa hanafi kya kehti hai ?
02:10:14
kya joint family system mein ek hi qurbani kafi hai ?
02:10:23
hajj ke azkaar mein sirf subhan Allahi wabi hamdihi adada khalqihi ka zikar tamam azkaar keliye kafi hai ? hajj ki duaaen konsi hein ?
02:10:56
agar jamaat mein kisi namazi ka wazu toot jaye to namaz tor kar dobara wazu kar ke namaz bhi dobara parhni hogi ? imam ke peechay aisi log kharay hon jinko quran ka ilm zeyada hai taake agar imam ka wazu toot jaye to koi aagay barh kar namaz mukammal karwa de ?
02:12:11
kya majburi ki halat mein sood par qarz liya ja sakta hai ?
02:12:32
agar qurbani ka janwar kharidnay ke badlay kisi ghareeb ki madad kardi jaye to kya shariyat mein iski ijazat hai ?
02:12:44
mere maamu ne mujhe khoon diya tha kya is se khooni rishta qaim ho jata hai jabke ab main apne maamu ki beti se nikah karna chahta hon aur wo kehte hein hamara khooni rishta ban gya hai lehaza tum meri beti se shadi nehi kar sakte ye haraam hai ?
02:22:15
tariq jameel kehte hein naujawan mubaligheen ne awam se Rabb cheen liya hai aur Allah ko thanedar bana kar paish kiya hai ? khuda ka sahih taaruf kya quran wala khuda aur hai aur india pakistan bangladesh wala khuda koi aur hai ? Allah kin logon keliye ghafoor o raheem hai aur Allah ki rehmat kin logon keliye hai ? kya naza ke aalam mein maut ke waqt taubah qabool hoti hai ?
Icon this is notification panel