06-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (29-April-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:48
Agar kisi ko tauheed ki dawat dein ya bukhari muslim se namaz ka tarika rafa yadain ke sath batayen to wo agay se kehta hai aap wahabi ho to hum usay kya jawab dein ?
00:09:28
Baaz ulma kehte hein Ali mirza ko mat suno warna gumrah ho jao gy sabko sunlo lekin Ali mirza se bach ke raho Ali mirza is daur ka sab se bara fitna hai ?
00:16:45
Dr Iqbal ka shair, bay khatar kood para aatish e namrood mein ishq aqal hai mehway tamasha lab e baam abhi, kya is shair mein ilm aur aqal ki tauheen nehi ?
00:23:38
Kya abu hurrairah (rz) ahle bait ke dushman aur ahle bait se bughz rakhtay thay aur kya hazrat umar (rz) ne abu hurrairah par hadees beyan karne peh pabandi laga rakhi thi ?
00:34:33
Kya imam bukhari naasbi thay ahle sunnat ke mohaddiseen ne naasbiyon se ahadees kyu li jese marwan bin hakam naasbi se ?
00:38:00
Kya imam bukhari ne ayesha (rz) ki tauheen ki hai ke unho ne ek tabai ke samne ghusal kar ke dikhaya jabke unke darmeyan sirf chadar ka pardah hail tha ?
00:40:49
Kya nabi saw haiz ki halat mein apni biwiyon ke sath mubashrat yani humbistri karte thay ?
00:42:06
Kya ambia (as) ke ilawa kisi aur ko kashaf o ilhaam ho sakta hai ?
00:42:46
Hanafi namaz ke tarikay mein kya khaami hai bazahir to ye aajizana tarika lagta hai ?
00:43:59
Agar tamam masaalik apni Ghlatiyon ko theek nehi karte to kya jannat ke haqdar honge ?
00:44:28
Maarfat ke kya ma'ani hein ?
00:45:04
Istikharah karne ka sahi tarika ?
00:45:38
Khud ko kaise parkha jaye ke main maslak e haq peh hon ?
00:46:15
Istawa alal arsh Allah apne arsh peh mustawi huwa jaisa ke uski shan ke laiq hai ?
00:47:55
Kya zakaat ke paisay imam masjid ko de sakte hein kyu ke uski tankhwa 8, 10 hazaar hoti hai ?
00:48:15
Aurton ke kapron ka karobar karna kaisa jisme bareek kapray bhi baichnay partay hein jiski waja se bay hayai phailti hai ?
00:49:45
Nabi saw aur sehaba jab quran parhtay thay to unke dil kaanp uthtay thay aur jab hum quran parhtay hein to na dil kaanpta hai na aakhrat ki yaad aati hai ?
00:50:39
Bahir ke mulkon mein fahashi aur bay hayai aam hai in halaat mein hum apne nafs peh qabu ki hifazat kaise karen aur apni khuwahishat peh qabu kaise rakhen ?
00:52:14
Nabi saw ne hamza ke qatil wahshi ko apne samne aane se mana kar dia tha to kya hum bhi agar kisi se naraz hon to usay apne ghar mein aane se mana kar sakte hein ?
00:53:13
Agar aurat ko ghusal e janabat karne se pehle haiz aa jaye to kya haiz aur janabat ka ek hi ghusal kafi hai ya alag se ghusal karna hoga ?
00:53:28
Qabar khuwab gaah hai insan qabar mein kya khuwab dekhta hai quran mein aya hai ke hamen hamari khuwab gaahon se kisne utha dia ?
00:54:08
Fitnah ki hadees ka kya matlab hai kya ye hadees aaj ke daur peh fit hoti hai ?
00:54:59
Koray khaye huwe zaani ki koray khaye hui zaaniya se shadi ho sakti hai ?
00:55:07
Log puri zindagi dil ein nafrat rakhtay hein jab koi mar jata hai to har banda usay maaf kar deta hai to kya aisa karne se murday ko faida hoga kya marne wale ki bakhshish ho jaye gi ?
00:56:07
Kya aurat ki iddat apne khawind ke janazay ke neechay se guzarnay par khatam ho jati hai ?
00:56:46
Mooh se tor kar kutta khata hai kya istarha kha sakte hein ?
00:57:10
Qeyamat ke din Allah Adam (as) se kahe ga har hazaar mein se 999 dozkhi alag karo aur ek jannati hoga ?
00:58:12
Kya farz namaz ke baad sunnaten jagah badal kar parhna zaroori hai ?
01:00:48
Agar maut ka waqt muqarrar hai to umar mein barkat aur umar kaise daraaz ho jati hai ?
01:01:42
Kya aurten Eid gaah ja kar Eid ki namaz parh sakti hai ?
01:02:11
Commercial plots ki zakaat kitni hai ?
01:02:45
Zakaat ki raqam puray saal mein thori thori kar ke de sakte hein ya ikathi deni hogi yani kya qiston mein zakaat ada ki ja sakti hai ?
01:03:24
Agar koi zakaat ka mustahiq na ho aur phir bhi zakaat wasool kare to kya ye jaiz hai ?
01:05:22
Professional degree ki sharai haisiyat kya hai, kya doctor ka clinic kholne keliye degree hona zaroori hai ya koi qualified dispenser jo tajurba rakhta ho wo apna clinic khol sakta hai ?
01:07:57
Agar imam saktay na kare to muqtadi fateha kab parhay kya aisi halat mein khamoshi se qiraat suni ja sakti hai ?
01:09:48
Kya haq mehar talaq ki surat mein diya jata hai ya biwi apna haq mehar kabhi bhi maang sakti hai aur agar rukhsati se pehle talaq ho jaye to haq mehar aadha hoga ?
01:10:40
Hamari ijtemai zimadari kya hai ?
01:11:16
Qibla awwal khana kaabah hai ya bait ul muqaddas ?
01:13:05
Adam (as) ko jis jannat se nikala gya kya wo jannat duniyawi thi ya koi aur jannat thi jahan hum marne ke baad jayen gy aur kehte hein hum jannat ke waris hein ?
01:14:00
Pagri par masah karna aur kya aurat hijab par masah kar sakti hai ?
01:14:37
Kya witar ke baad 2 rakat nafil parhna sunnat hai ?
01:15:10
Makrooh auqaat aur zawaal ke waqt ibadat karna kyu mana hai ?
01:16:18
Surah al maidah 116 & 117 mein hai ke Allah Eisa (as) se puchay ga kya tu ne kaha ke mujhe mabood bana liya jaye to wo inkar karen jabke wo duniya mein wapas aa rahe hein aur dekh kar to jayen gy reply to jawed ahmad ghamidi ?
01:19:25
Aab zamzam kharay hoke peena sunnat hai aur kharay ho ke pani peena kaisa ?
01:20:11
Nafil namaz baith kar parhna kaisa kya baith kar namaz parhnay se aadha sawab milta hai ?
01:20:45
Kya nabi saw abdul muttalib ke deen par rhay kya khana kaabah mein banu hashim ka koi but nehi tha aur kya banu hashim shirk nehi karte thay ?
01:21:30
Kya geyarhwen ke khatam ki niyaz khana jaiz hai aur ghairullah ke naam ki niyaz khana kaisa ?
01:23:10
Kya zaboor kitab ki copy duniya mein is waqt mojood hai ?
01:23:34
Nabi saw ka jisam mubarak mehfooz hai kya nabi saw ko qeyamat ke din isi badan se uthaya jaye ga ?
01:24:12
Kya na baligh bacha marne ke baad baghair hisab o kitab jannat mein jaye ga ?
01:25:00
Nooh (as) ne 35, 40 naslein dekhi iska matlab sirf Nooh (as) ki umar lambi thi baki sabki umren hamare jitni thin ?
01:25:25
Jehad mein qatal hone wala chota shaheed aur deen ki dawat dene wala bara shaheed hai ?
01:26:56
Whatsapp ke groups mein ab videos share nehi ki jati sirf links share kiye jate hein ?
01:27:48
Main ne apne ghar walon ko sunnat ke mutabiq namaz parhnay ki talqeen ki lekin wo nehi mante agar wo inkar karen to kya meri zimadari khatam ho jaye gi ?
01:28:23
Namaz chornay ke ilawa konse gunah dozakh mein le jane wale hein kabeerah gunah konse hein ?
01:29:01
Khawind ki taraf se biwi ko diya huwa tohfa biwi ko wapas kar dena chahiye aur diya huwa gift wapas lena kaisa ?
01:30:22
Kya shia tahreef e quran ke maamlay mein taqiyyah karte hein ?
01:33:19
Aap maola Ali kehte hein lekin maola Abubakr aur maola Umar nehi kehte ?
01:33:45
Sitaray dekh kar larka larki ka rishta tay karna kaisa ?
01:34:00
Aap sab buzurgon ki ghalatiyan nikaltay hein jabkay buzurgh faut ho chuke hein aur jo faut ho jaye uske baray mein khamoshi ikhteyar karni chahiye ?
01:39:23
Mere sehaba mein 12 munafiq hein huzaifah bin yamaan (rz) ki hadees ?
01:44:58
Ghar mein jamaat karwane keliye imam baith kar imamat karwa sakta hai agar haan to kya muqtadi peechay kharay ho kar namaz parhen gy ya baith kar ?
01:45:24
Kya sarkari zameen par qabzah kar ke wahan masjid banana jaiz hai kya aisi masjid mein namaz ho jaye gi ?
01:48:19
Ghair muqallid kya hota hai, kya sehaba nabi saw ki taqleed karte thay aur hum nabi saw ke muqalid hein ya muttabeh sunnat hein ?
01:51:00
Kya aurat jummah ki namaz ghar mein parh sakti hai kya aurat peh jumma farz hai ?
01:51:53
Walidain ka apni aulad keliye bohat zeyada property aur maal bana kar de kay jana jaiz hai aur kya islam mein apna sara maal sadqa khairat karna jaiz hai ?
01:54:36
Jo cheezen duniya mein haraam hein jaisay sharab waghaira wo cheezen jannat mein kaise halal ho jayen gi ?
01:56:47
Kya pakistan mein fiqah hanafi ka qanoon nafiz hai ?
Icon this is notification panel