21-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (05-Aug-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:50
kya maolana tariq jameel sunniyat ke libaday mein shia aqaid ko tarweej de rahe hein ? tariq jameel peh jhootay ilzam ka jawab aur difa by Ali Mirza bhai ? barelvi deobandi buzurg apas mein pyar mohabbat se rehte thy ya ek dusre ko kafir kehte thy ? kya khud ko kisi firqay se mansoob karna aur islam
00:47:07
namaz mein hathon ko bandhne ka tarika kya hai, seenay peh hath bandhna aur naaf ke nichay hath bandhna ? alaa aur fauq ke lafz peh hanafiyon ka dhoka (UP, UPON & ON mein farq) ?
00:55:18
ek bhai ka sawal hai ke meri biwi barelvi hai wo mujhe kehti hai pehle aap deoband ke buzurgon ashraf ali thanvi aur rasheed ahmad gangohi ki takfeer karen phir tajdeed e iman karen aur uske baad tajdeed e nikah hoga, Ali bhai main apni wife ko kaise samjhaun ?
00:57:40
deobandi imam ? duwaat ko zuwaat parhte hein kya inke peechay namaz ho jati hai ?
01:00:10
mere paas bank ke sood ki raqam pari hui hai lekin ab taubah karne ke baad acount band karwa diya hai kya lekin sood ke paison ka kya karun, kya un paison ko aag laga don ya baghair sawab ki niyat se kisi ghareeb ko khairat kar du ?
01:01:14
kya aurten qabrastan ja sakti hein ? qabrastan ja ke hath utha ke duaa karna aur duaa ke baad chehre peh hath phairna ?
01:08:43
kya Ali mirza ahadees ke international numbers nehi batate ?
01:10:10
qurbani ki khaalen DAM fund mein jama karwai ja sakti hein ? ujrat ke tor peh qasai ko khaal dena kaisa ?
01:16:19
Ali bhai bukhari muslim aap ke do babay hein phir bhi aap naara lagate hein na main wahabi na main baabi ?
01:17:53
kya jannat ka lalach aur dozakh ke dar se Allah ki ibadat karna jaiz hai kyu ke baaz log Moosa (as) aur rabeya basri ke waqeyaat se isko tauheed ke munafi samajhte hein ? maolana masnavi roomi ke jhootay waqeyaat ? hamen qeyamat ke din madina chahiye ya jannat ul firdaus, reply to ilyas qadri ?
01:25:12
kya insan ashraf ul makhluqaat hai ? kya insan ke paas jibraeel se bhi barh kar dolat hai ?
01:32:38
jamaat ki takbeer e oola hasil karne keliye kis waqt shamil hon ke takbeer e oola mil jaye ? agar imam ke sath tashahud mein ja ke milein to kya jamaat ka sawab mile ga ?
01:34:50
Nooh (as) ne itni bari kashti kaise bana li jabke ek akela aam insan choti kashti nehi bana sakta ?
01:36:07
baalon ki cutting kaisi karwani chahiye aaj kal log foji cut ya peyala cuting karwate hein kya ye qaza karna hai jiska Nabi saw ne mana farmaya hai ?
01:37:09
kya aise ghair muslim ki bakhshish ho jaye gi jis tak islam ka paigham nehi pohncha ? kya yahudi aur Eisai jannat mein jayen gy jin tak deen e muhammdi saw nehi pohncha kyu ke wo to bay qasoor hein phir wo dozakh mein kyu jayen gy ?
01:38:35
sadqa aur khairat mein kya farq hai, kya mayyat ki taraf se sadqa khairat ki ja sakta hai, sadqay ki kon konsi shaklen sabit hein, kya sadqay mein kala bakra dia ja sakta hai ?
01:40:17
kya imam shafai ne imam abu hanifa ki qabar peh ja ke oonchi aameen aur rafa yadain chor diya tha ?
01:41:01
darood taaj, darood tanajina, darood maahi aur darood lakhi parhna aur inka wazeefa karna kaisa ?
01:42:11
ehad nama kya kya, log mayyat ko dafan karte waqt ehad nama uske sath rakhte hein kehte hein is se qabar ka azab nehi hota ? rohani opration ki sharai haisiyat ? aaj ke ghaus qutab abdaal ko test karne ka farmula ?
01:45:29
ghar ki hifazat keliye ghar mein kutta rakhna jaiz hai ?
01:46:52
marne ke baad foran hisab kitab shuru ho jata hai ya qeyamat ke din hi hisab hoga ?
01:47:31
log bachon ko gift ya eidi ke paise dete hein kya un paison ko bachon ke walidain istemal kar sakte hein ?
01:47:57
agar hum kisi ko kehte hein ghaib mein sirf Allah ko hi pukarna chahiye aur usi se mada mangni chahiye to wo agay se kehte hein shaitan bhi sirf Allah ko manta tha lehaza tum bhi shaitan ke sathi ho ? kya iblees buzurgon aur nabi ka gustakh tha ?
01:49:05
kya aurat kisi na mahram mard ke glass mein pani pi sakti hai ?
01:49:41
landa bazar se ghair muslims ke istemal shuda kapray pehnna kaisa ? landay ke kapray istemal kar sakte hein ?
01:52:39
hum namaz mein baar baar ek hi baat Allah se kyu karte jate hein, yani har rakat mein surah fateha kyu parhte hein, kya ek dafa kehna kafi nehi hai ?
01:53:07
agar fatimah (rz) jannati aurton ki sardar hein to Nabi saw ne unko kyu kaha ke qeyamat wale din main tumhare kuch kaam nehi aaon ga, kya nisbat ka koi faida nehi hoga ? fatimah (rz) ki fazeelat kis waja se hai ?
02:00:20
kya wakeel banna wakalat ka kaam karna jaiz hai ?
02:01:26
private school mein chuttiyon ki fees bhi letay hein kya ye jaiz hai ? school ki sharai fees kitni honi chahiye ?
02:03:21
kya sajda tilawat farz hai agar na karen to gunah hoga ?
02:03:33
jo aurat namaz roza ki paband hone ka bawajood sharai pardah nehi karti uske baray mein kya hukam hai, kya aisi aurat ki namaz qabool hogi ?
02:04:14
kya Nabi saw baasi roti kha letay thy kya baasi khanay khana sunnat hai ?
02:06:05
kya aurten apne jisam ke baal, taangon aur bazuon ke baal saaf kar sakti hein ? aur kya body builder log apni cheast ke baal saaf kar sakte hein ?
02:06:26
quran hadees ke hote huwe fiqah ki kya zarurat hai ?
02:07:37
haraam janwaron ki khaalon se bane huwe kapray istemal karna jaiz hai ? pakistan ke wazeer e azam imran khan ko paigham ? pakistan mein chamray (leather) ka karobar ?
02:13:40
bahir ke mulk mein job karne wale rozana namazen jama aur qasar kar sakte hein ? aur kya sirf farz rakaten parh lena hi kafi hai ?
02:14:30
main jis company mein kaam karta hon wo 5 mahinay ki advance tankhuwa (salary) dete hein aur kaam 6 mahinay tak karwate hein, kya ye jaiz hai sood to nehi ?
02:14:57
makan ki sang e buniyad rakhne keliye quran o sunnat ki roshni mein kya tarika hai, yani khair o barkat keliye quran khuwani karwana kala bakra zibah karna kaisa ? kya surah baqarah ki recording tilawat ghar mein laga sakte hein ? aur masjid e bait ?
02:15:18
kya koi aurat apne shohar ko bataye baghair apne ghar walon ki maali madad kar sakti hai ?
02:16:44
umrah se wapsi peh log Aab e zamzam chupa kar latay hein kya ye jaiz hai ? Aab e zamzam mein kafan bhigo kar rakhna aur umeed karna ke is se marne ke baad bakhshish ho jaye gi ?
02:17:35
kya prize bond ka inaam jaiz hai detail jawab ?
02:20:18
main sunnat ke mutabiq namaz parhta hon aur namaz mein rafa yadain karta hon, iski waja se mere ghar wale mujh se naraz hein ?
02:20:38
khuda zahir bhi hai aur batin bhi hai ? khuda ko kisne paida kiya ? khuda ki pehchan kaise karen kya koi nishani hai ? kya hamare jisam ke andar bhi aisi aisi nishaniyan hein jis se hum khuda ko pehchan sakte hein ?
Icon this is notification panel