27-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (16-Sep-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:01:30
das zilhijjah ka roza aur 9, 10 moharram ul haraam ashoorah ka roza ? hazrat Ali (rz) ke fazail aur chadar wali hadees aur panj tan paak ka aqeedah ? banu umaiyyah ki taraf se maola Ali (as) pe mimbron se lanat karne ka saboot (nauzubillah) ?
00:56:55
hazrat Umar (rz) ki shahadat yakam moharram ko hoi thi ?
01:09:56
Allah ne shuru se hi har cheez wazeh kyu nehi kar di ke ye tauheed hai, aur kisi se bhi maango to wo Allah se maang kar aagay dega kya ye bhi shirk hai ? agar fiqahi ahkamat ek hote to log itni mushkil mein parte hi nehi, kya Allah ne auliya ko ikhteyar diya huwa hai aur wo Allah se lekar aagay taqseem karte hein ?
01:17:32
Allah ne itne Ambia kyu bheje jabke Allah ko pata tha ke meri makhlooq lazmi meri nafarmani kare gi, aakhir itne paighambar bhejne ka maqsad kya tha ? kya khuda apni qudrat mein nazar ata hai ?
01:32:05
Allah ne itne mazhab kyu banaye agar shuru se ek hi mazhab islam hota to acha tha, to jab Allah ne insan ko khud mushkil mein mubila kiya to baat na maannay par saza aur azab kyu ? jannat mein Allah ki taraf se diye gaye 3 gift ?
01:37:57
hamare paas jo quran mojood hai iski tarteeb wohi hai jo loh e mahfooz mein likhi hai ?
01:39:00
Shoaib (as) par aara chalaya gya to Allah ne kaha khamoshi se ye takleef bardasht karo warna tumhe Ambia ki list se kharij kar diya jaye ga, kya ye waqeya sach hai aur israeeli riwayaat ki kya haisiyat hai ?
01:41:43
jummah mubarak, Eid mubarak, khuda hafiz kehna bidat hai ?
01:44:40
jummah ki namaz keliye jo awwal waqt mein aye usay oont ki qurbani ka sawab milta hai aur isi tarha end peh anda sadqa karne ka sawab hai uske baad farishte register band kar dete hein jabke quran mein aya hai jab jummah ki azan kahi jaye to masjid ki taraf doro aur karobar chor do, wazahat farma dein ?
01:46:19
kya is baat peh istikhara na kar liya jaye ke barelvi haq peh hein ya ahle hadees haq peh hein aur kya rafa yadain karna chahiye ya nehi ?
01:49:18
kya insan apne aur apni family keliye future planning kar sakta hai aur mustaqbil keliye maal o dolat jama kar sakta hai, ye kahin Allah peh tawakkul ke manafi to nehi ?
01:49:37
sar ke baalon mein mehndi ke ilawa kala rang laga sakte hein yani kala khizab kar sakte hein ?
01:51:08
ahadees mein hind ke alfaz aye hein kya Nabi saw ke zamane mein hindustan mojood tha ?
01:52:00
kya Nabi saw yahudiyon se baghair sood ke qarz liya karte thay ? Nabi saw ke tabarrukaat aur kya Nabi saw ka saaya tha ?
01:55:04
talaq ke baad chotay bachay maa ke paas rehte hein lekin kharcha baap ko dena parta hai aur adalat sirf thori dair keliye bachay se milne ki ijazat deti hai, kya ye sahi hai ?
01:57:30
ek hindu bhai ka sawal hai ke pakistan ne india se alag ho kar kya hasil kiya hai, wohi sharab, juwa, nach gana, sood rishwat sari kharabiyan usi tarha mojood hein to main islam kyu qabool karon ?
01:59:56
kya aurat ka nangay sar wazu aur namaz ho jati hai ? azan ke doran sar peh dupatta lena zaruri hai ?
02:01:12
jo biwiyan acha salook karne ke bawajood apne khawind se bad zubani karti hein inhen kaise samjhayen ? jab biwi ki taraf se takleef mile to kya karna chahiye ? dawat ki raah mein takaleef ka aana ? kya hum khud apne oopar museebaten musallat karte hein ?
02:08:19
jo biwiyan khud ko khawind ke barabar samjhen ke Allah ne mard aur aurat ko ek jaisa banaya hai unko kaise samjhayen ? kya biwi ko marna peetna aur tashadud karna jaiz hai ?
02:16:11
agar kisi ne kisi janwar ko taleef pohnchai to janwar se muaafi kaise maangen kyu ke haqooq ul ibaad mein jab tak insan kisi ko muaaf na kare us waqt tak Allah bhi muaaf nehi karta lekin hadees mein hai ke qeyamat ke din ek seeng wali bakri se dusri bakri ko badla dilwaya jaye ga ? ulma ke norani chehray aur getup ka dhoka ?
02:20:25
kya koi musalman ghair muslim mulk ki fauj mein bharti ho sakta hai ?
02:20:58
pait ka ek hissa khanay keliye, ek hissa pani keliye aur ek hissa bhook keliye rakhna, kya ye sunnat hai ?
02:24:29
agar khareedne ke baad janwar mein nuqs par jaye ya janwar ka kaan kat jaye ya langra ho jaye to kya aise janwar ki qurbani ho jaye gi ?
02:25:32
bartan par insani tasweer bani ho to kya us bartan mein khana peena jaiz hai ?
02:25:49
jhagray ke doran biwi se shart rakh di ke agar tum ghar se bahir gai to tumhe talaq hai ? ya biwi ko talaq ki niyat se kaha ke tu meri taraf se farigh hai kya is se talaq ho jaye gi ?
02:27:45
jang e yamamah kyu hui thi ? musailmah kazzab kon tha ? jang e yamamah mein sehaba ne ya Muhammada ka naara lagaya tha ?
02:32:29
ghazwah aur sariyyah mein kya farq hai ?
02:33:46
kya islam talwar ke zor peh phaila tha ?
02:35:19
qabrastan, hamam aur oonton ke baray mein namaz parhna mana hai ?
02:36:46
kya khana kabah ki chat par namaz ho jaye gi aur hateem mein namaz parhna kabah mein namaz parhnay ki tarha hai ?
02:38:17
kya khassi janwar ki qurbani karna jaiz hai aur konse nuqs aise hein jiski waja se qurbani nehi hoti ?
02:40:43
pagri baandhne ka tarika kya hai ?
02:41:41
kya neend aane se ya oongh aane se wazu toot jata hai ?
02:42:40
shah waliullah (rh) ne likha hai ke bukhari muslim ke sahih hone peh ijma hai, kya shia is ijma mein dakhil hein ? kya sunni shia dono apni apni kitabon ko maante hein ?
02:44:47
jis janwar ke naak mein nakail daali ho kya wo zakham ke zumray mein aati hai kya nakail wale janwar ki qurbani ho jaye gi ?
02:45:25
kya qarz le kar hajj kiya ja sakta hai ?
02:46:14
murghi ke panjay paka kar khana halal hai ? kya janwar ki ojri khana halal hai ?
02:47:44
kya aurat janwar zibah kar sakti hai aur kya aurat miswak kar sakti hai ?
02:48:17
kya Eid ul azha ke din roza rakh kar qurbani ke gosht se roza aftar karna sunnat hai ? Eid ul fitr peh meethi cheez kha kar namaz e Eid parhna sunnat hai ?
02:48:59
kya ibraheem (as) ayaam e tashreeq ki takbeerat parhtay thay aur takbeerat ke alfaz kya hein ? kya aaj ka daur islam ka sab se mubarak daur hai ?
02:51:22
oont ka gosht kha kar wazu karne mein kya hikmat hai ?
02:51:43
quran aur baqi aasmani kitabon mein kya cheez common hai aur quran ka asal maqsad kya hai ?
02:54:26
agar ek company pakistan mein hai aur is company ka bahir ke mulk ki kisi company se rabta hai aur pakistani company workers rakhti hai kaam karti hai aur bahir ki company sy paise leti hai jo mulazam keliye 1 lakh rupay hote hein pakistani company usme se aadhay paise khud rakh leti hai, kya ye unke liye jaiz hai ?
02:55:05
kin auqat mein namaz e janazah parhna mana hai ?
02:55:49
kya Nabi saw ne namaz mein khubsurat awaz nikal kar tilawat karne se mana farmaya hai ?
02:57:12
qabrastan ja kar qabar ke kis rukh kharay ho kar duaa karna sunnat hai ?
02:58:18
namaz momin ki meraj hai ?
02:59:14
ujrat peh moazin rakha ho to kya koi aur azan aur aqamat keh sakta hai ?
03:00:39
cradit card aur bank mein cradit card ke shobay mein job karna kaisa ?
03:01:05
Allah hamen aazmaish aur mushkil mein kyu daalta hai kya hamara imtehan lena chahta hai ?
Icon this is notification panel