50-Questions on QURBANI in 124-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS of Engineer Muhammad Ali Mirza (19-July-2020)
00:01:38
Deen-e-Islam mein Eid ki Qurbani Ke Pichay kia hikmat poshidah hai? Qurbani ko Sunnat-e-Ibraheemi a.s. kewn kaha jata Hai?
00:20:15
Hajj kay moqa par di janay wali Qurbani aur Eid-ul-Adha ki Qurbani mein kia farq hai?
00:27:03
Kia Qurbani na karnay wala bhi Hujjaj ki tarah apnay Baal aur Nakhoon nahi kaat sakta?
00:32:05
Zul hijjah kay Mahiney ki Qurbani kay ilawah aur kia fazeelat hai?
00:43:30
9 Zul Hijjah Kay Rozay Ki Fazeelat Kia Hai aur Woh Saudi Arabia Ki Tareekh kay hisaab se Rakhenge Ya Apnay Mumalik Ke Aitbaar say?
00:50:00
10, 11 aur 12 Zul Hijjah aur Yaum-e-Arafa peh Parhi Jaane Wali Tasbeehat Ke Alfaaz?
00:51:40
Eid e Qurban ki Qurbani wajib hai ya Sunnat?
00:57:19
Qurbani kay liyay Sahib-e-Ista'taat honay Ka Nisaab Kia hai?
00:58:58
Aik Khandan kay Sab Afraad Ko Alag Alag Qurbani Deni hogi Ya Aik Qurbani Ki Kaafi hai?
01:02:13
Kia Maqrooz shakhs Qurbani kar sakta hai ya woh qurbani na karay?
01:11:42
Kin Kin Janwaron Ki Qurbani di ja sakti hai aur us mein kitnay log shareek ho saktay hain?
01:14:50
Qurbani kay Janwar ki Minimum Umar (age) kitni honi chahiyay?
01:17:59
Kia Oont (Camel) aur Gai (Cow) mein 10 Log bhi shareek ho saktay hain?
01:19:30
Kia Bhains ya bhainsay ki Qurbani jaiz hai?
01:24:39
Qurbani kay Janwar mein woh kon kon say Aib (Imperfections) hain Jinse Qurbani Jaiz Nahin hogi?
01:28:31
Agar Qurbani Ka Janwar Zakhmi ho Jaey, Bimar ho jaye ya Mar Jaey tau Kia Naya Janwar Kharidna Zaroori hoga?
01:30:36
Khassi (Castrated Animal) janwar Ki Qurbani Peh Sunni aur Shiah Ka Ikhtelaaf?
01:46:10
Eid-e-Qurban mein Qurbani kay waqt Ka aghaz Kab Hota Hai? Kia Raat Mein Qurbani karna darust hai?
01:48:05
Qurbani kay din kitnay hotay hain aur Chauthay Din (4th Day) Qurbani karna kaisa hai?
02:00:20
Qurbani karnay Ka Sahih Tareeqah kia hai aur janwar ko zibah kartay waqt Takbeer Kay Sahih Alfaaz kia hain?
02:02:19
Qurbani Ke Waqt kia Janwar Ko qibla rukh Laitana aur Dayein (Right) Hath Se zibah karna zaroori hai?
02:05:19
Nabi ﷺ ki taraf say Qurbani aur faut shudgan ki taraf say qurbani di ja sakti hai?
02:19:52
Kia Qurbani kay Janwar kay 7 hisson mein Aqeeqay kay 2 hissay bhi Dalay Ja saktay hain?
02:23:14
Qurbani kay Gosht kay Teen Hissay Karna Kia Sunnat e Mubaraka hai?
02:24:28
Kia Qurbani Ke Din Ussi Gosht Se Roza Kholna Chahiyay Ya Uskay Bagair Bhi Nashta kiya ja sakta hai?
02:26:19
Qurbani Ki Khaal (Leather) kis Tanzeem ko Deni Chahiyay?
02:28:42
Kia Ghair Muslim ko Qurbani Ka Gosht Diya ja sakta hai?
02:30:31
Online Qurbani Karne Ka Kia Sharai Hukam hai?
02:32:12
Ghair Muslim Mumalik mein rehnay walon ko wahein Qurbani karni hogi ya apnay abai mulkon mein qurbani kay liyay raqam bhijwana ho gi?
02:34:26
Hajiyon Ko Haj-e-Qiran ya Hajj-e-Tamattu ki Qurbani Kafi Hai Ya Alag Se Eid Ki Qurbani bhi karni hogi?
02:35:43
Qurbani Ki Jagah Woh Raqam Kisi Ghareeb khandan ko day di jaey tau Kia woh behtar Amal nahi hoga?
02:38:07
Kia Qurbani kay janwar ki ojhri weghaira khana makru aur gunah hain?
02:40:08
Kia Gai Ke Gosht Mein Bimari hoti hai?
02:43:38
Qurbani Ka Practical Tareeqah Record Karwa dein?
02:47:21
Kia zakhmi Janwar ko Goli Maar Kar Zibah kia ja sakta hai?
02:48:34
Kia sab say pehlay Kaleji Ka Gosht Khana Sunnat hai?
02:50:11
Kia Qurbani Kay Janwar Par Sawari ki ja sakti hai?
02:51:14
Kia Qurbani kay gosht Ke 5 Hissay aur Qasai Ke Liye 2 Hissay rakhay ja saktay hain?
02:51:38
Agar Qurbani Ka Janwar gum ho jaey aur baad mein mil jaey to Kia Ussay Baich kar Raqam lay Saktay Hain?
02:52:21
Kia Janwar ko bay-hoshi Ka Teeka (Injection) lagakar zibah kia ja sakta hai?
02:53:12
Kia Sunni, Shiah, Barelvi, Deobandi, aur Ahle Hadith aik hi Qurbani mein shareek ho saktay hain?
02:54:18
Kia kisi Ghair Muslim say Qurbani Ka Janwar Khareeda ja sakta hai?
02:54:40
Kia Ghair Muslim Qasai say Janwar Zibah Karwa saktay hain?
02:55:29
Kia Qurbani kay moqa par tamam Hissay daaron Ki Maujoodgi aur haath phairna zaroori hai?
02:55:50
Kia Janwar Ki Rassi,Ghanti aur Zanjeer Waghairah zaati Istamaal mein laa saktay hain ya unhein bhi khairat karna hoga?
02:57:29
Kia Qurbani kay Janwar ko Maar Peet Saktay Hain?
Icon this is notification panel