26-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (09-Sep-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
01:22:41
log Ali bhai se mohabbat kyu kartehein ? ek shia ka sawal hai kya hum apne ghar walon se apne qaid chupa kar taqiyyah kar sakte hein ? sehaba ke sath nisbat kaise jor sakte hein ? kya islam mein kisi waqt jhoot bolne ka jawaz mojood hai ?
01:39:44
agar koi hum se milne ghar aye aur hum ye keh kat taal dein ke wo ghar peh nehi hai ya is se milna nehi chahtay to kya ye gunah ka kaam hai ?
01:42:14
kya is ummat mein shirk khatam ho chuka hai ? kya kalma go muslaman bhi shirk kar sakta hai ?
01:44:02
ulma aur deen dar scholars barhte ja rahe hein aur ilm hasil karne ke zaraye bhi barh rahe hein lekin muashray mein bad tamizi aur larai jhagray bhi barh rahe hein in halaat mein kisi ki tarbiyat kaise ho sakti hai aur role model kisko banayen ?
01:47:28
ahadees ki tadad kitni hai aur sehaba ne Nabi saw ko jo amal karte dekha kya wo bhi hadees hoti hai ? marfoo hadees aur mauqoof hadees kya hoti hai ? hadees e qauli, hadees e taqreeri aur hadees e faili kya hoti hai ? mursal hadees kise kehte hein aur kya sehaba aur tabaeen ke aqwal hujjat hein ?
01:49:35
barelvi daleel dete hein ke imam Hussain (as) ne karbala mein alag jamat karwai aur yazidi lashkar ke peechay namaz nehi parhi isi liye hum bhi deobandi aur wahabiyon ke peechay namaz nehi parhtay ? kya marwan bin hakam ne imam Hassan (as) ka janazah parhaya tha ?
01:53:06
konsi hadees sahih hai aur konsi hadees zaeef, ek aam aadmi kya kare ? kya moaviah (rz) ke mutaliq haadi aur mahdi wali hadees sahih hai aur moaviah (rz) ki kya fazeelat hai ?
01:57:57
kya zaeef hadees fazail mein li ja sakti hai ? kya kisi surat mein zaeef hadees beyan ki ja sakti hai jabke kisi muamlay mein sahih hadees mojood na ho ? kya ijtehad keliye zaeef hadees par amal kiya ja sakta hai ?
01:59:44
munkareen e hadees ka sawal hai ke kya quran mein hadees par amal karne hukam mojood hai ? uswah hasana sunnat aur hadees mein kya farq hai ? kya hadees sunnat ka written record hai jo 1200 saal pehle kitabon mein freeze kiya gya ?
02:05:21
islam zinda hota hai har karbala ke baad, is jumlay ki sharai haisiyat kya hai ? kya pakistan mein molvi ki hakumat honi chahiye ?
02:07:18
agar kisi par qarz ho to wo pehle qarz ada kare ga ya zakaat de ga ?
02:08:37
kya murday suntay aur boltay hein ? hum jab qabrastan jate hein to ahle qaboor ko salam karte hein kya qabar wale murday hamare salam ka jawab dete hein ? har firqay ke buzrgon ne khuwab kyu gharna shuru kar diye hein ?
02:14:39
mohaddiseen ne zaeef ahadees kitabon mein kyu jama ki jabke unko pata tha ke ummat mein ikhtilafat paida ho jayen gy ?
02:17:14
ghar mein larai jhagray khatam karne keliye aur karobar mein barkat keliye koi wazeefah bata dein ? sufiya ka ibadat mein ghalow ? 3 sehaba ka Nabi saw ki ghair mojoodgi mein unki ibadat ke mutaliq daryaft karne wali hadees ?
02:27:56
aqeeqah wale din bachay ke sar se baal utarwaye jate hein kya iske wazan ke barabar chandi ke paise masjid mein diye ja sakte hein ? kya sadqa ke paise se quran khareed kar masjid mein rakhwa sakte hein ?
02:30:33
kya saali aur bhabhi sharai tor par behen ho sakti hai ? kya mamani aur chachi na mahram hai aur phuphi aur khala mahram hai ? mahrmaat e abdiya, mahram aur na mahram rishtay jannay ka asan formula, kin rishton se shadi ho sakti hai aur kis se nehi ?
02:32:30
fajar ki namaz nikal jaye to kis waqt ada kar sakte hein ? bilal (rz) ne azan nehi di to suraj nehi nikla tha ? hum namaz parhay ke baghair bhi aashiq e Rasool hein ?
02:32:42
mohaddiseen ne ulma fiqah ke sath nisbat lagai kya hum baghair taqleed ke imamon ke sath nisbat laga sakte hein yani baghair taqleed kiye khud ko hanafi maalki shafai hambli waghera keh sakte hein ?
02:40:39
jis musallay peh khana kabah aur roza Rasool ki tasweer bani ho uspe namaz parhna jaiz hai ?
02:41:14
maolana masnawi roomi ki kitab quran ki tarha hai ? tawaf ke doran wahabiyon ko gaaliyan dena sawab ka kaam hai ? awais qarni ka daant tornay wala waqeya ? mufti ahmad yaar naeemi ki kitab jaa al haq mein Nabi saw ki gustakhi ? noor ud din zangi ka waqeya ?
02:50:30
jummah ka khutba dene ka ahel kon kya mulk ke hukmaran ko jummah ka khutba dena chahiye ?
02:59:45
Allah ne ibraheem (as) ko kaha parindon ko zinda karo to kafiron ka aitraz tha ke Nabi saw murda zinda kyu nehi kar sakte ? Allah ghair e Nabi ko koi mojiza ataa kyu nehi karta ?
03:06:32
gunahon se bachne ka kya tarika hai ? kya Allah apne bande se sattar maaon se bhi zeyada mohabbat karta hai ?
03:11:42
poday (plants) darakht lagane ki fazeelat aaj ke mahol mein phailti hui pollution ki waja kya hai ? kisi ki zameen par na haq qabza karna, najaiz jagah par masjid banana aur masjid ki bijli chori karna ?
03:16:30
nikah mein haq meher kitna hona chahiye, log nikah mein zeyada haq meher likhwate hein taakay beti ko talaq na ho ?
03:18:08
hanafiyon ki masjid mein majburan double aqamat kehni parti hai kya dugni aqamat kehne ka sawab mile ga ?
03:19:45
agar kisi ka aqeeqah nehi huwa kya wo qurbani kar sakta hai ? kya ek gaaye mein 4 bhaiyon ka aqeeqah ho jaye ga ?
03:21:07
kya sirf Muhammad naam rakhna jaiz hai jaise aapka naam muhammad ali hai ? kya kisi naam ka asar kisi ki shakhsiyat par parta hai, kya naam mein taseer hoti hai ? kya surat Yousuf parhne se bacha khubsurat paida hota hai ? bachon ke naam konse rakhne chahiye ?
03:25:17
kisi naye sheher mein dakhil hote waqt us sheher ka pyaz (onion) kha liya jaye to koi bimari nehi lagti ? kali billi rasta kaat jaye nahusat ki nishani hai ? jooti peh jooti charh jaye safar ki nishani hai ?
03:27:26
kam aqal agar ghair mantaqi sawal kare to kya usay jahil ya kam ilm keh kar rad kar dena chahiye kyu ke quran mein hai ke jab jahilon se wasta parta hai to salam kehte hein aur behes nehi karte ?
03:29:27
kya aurat se road accident hone ki waja se wohi salook kiya jaye ga jo mard se hota hai aur qatal e khata ki diyyat ?
03:29:40
kapron par perfume, sharab ya koi chemical lag jaye jisme alcohol mix ho kya aise kapron mein namaz ho jaye gi ? kya khoon nikalne se wazu toot jata hai ? kya Eisa (as) jab dobara duniya mein nazil honge to fiqah hanafi ke mutabiq amal karen gy ?
03:37:08
agar na chahte huwe bhi kisi ki taraqi ko dekh kar dil mein hasad paida ho to hum is zehni kaifiyat se kaise bach sakte hein kya hum gunahgar honge ? aaj ulma Ali mirza se pareshan kyu hein ?
03:40:10
kya aise ulma se deeni masail mein istifada kiya ja sakta hai jo ghareeb se krore pati ban gaye hon jabke zahiri tor peh unka koi karobar bhi na ho ?
03:41:30
jawani mein qarz liya tha lekin abhi tak wapas nehi kar saka aur ab jis se qarz liya tha uska pata bhi maloom nehi wo lapata ho chuka hai to kya qeyamat ke din mujh se pucha jaye ga ? maqrooz ka namaz e janazah parhna ? jis se qarz liya uske naam ka sadqa khairat karne se qeyamat ke din meri bakhshish ho jaye gi ? hadees mein hai ke farz namaz ke baad ayat ul kursi parhne wala marte hi jannat mein dakhil hoga jabke insan gunah bhi karta hai to gunahon ka koi hisab nehi hoga ?
03:44:10
bismillah naam rakhna kaisa, india mein quran khol kar jahan ungli aati hai bache ka wohi naam rakh liya jata hai ? sirf Laa ilaha kehna kalma kufar hai ? larkiyon ke naam konse rakhen jayen ?
03:48:03
kya apne shohar ka naam le kar pukarne se nikah toot jata hai, kya biwi apne khawind ko "TUM" keh kar pukar sakti hai ?
03:50:36
shadi ke cards print karwana, shadi peh tohfay dena, mehndi ki rasam, shadi ka khana aur salami lena bidat aur yahudo nasara ka tarika hai ? shadi beyah peh gaanay gana kaisa ?
03:52:17
murda bacha paida ho ya chotay bachay ki namaz janazah aur ghusal kafan aur tadfeen ka mas'alah ?
03:54:09
ek aurat ka sawal hai ke mera khawind faut ho chuka hai kamai ka koi zariya bhi nehi hai kya main qaumi bachat mein paise rakhwa kar munafah le sakti hon kya ye sood hai ? bank se loan lena aur bank ka sood ?
04:00:28
kya mayyat ki tasweer utar kar apne paas rakh sakte hein ?
04:01:08
kya ek musalman kisi ghair muslim aurat se nikah kar sakta hai jaise shahrukh khan, saif ali khan aur arbaz khan ne kiya hai ? kya but parast aur buddhist mazhab ki aurat se nikah ho sakta hai ? kya musalman aurat ka nikah ahle kitab mard ke sath ho sakta hai ?
04:02:26
kya jummah mubarak aur Eid mubarak kehna bidat hai ?
04:03:02
imam abu hanifa ke jo fatway quran hadees se takratay hein aur log uspe amal k arte hein kya iska gunah imam abu hanifa ko hoga ? kya Ali mirza ki zati baat hujjat hai ?
04:04:05
mehkama mosamiyaat wale barish ki peshan goi karte hein ke kis waqt barish hogi kya ye ilme ghaib hai ?
04:06:10
in sha Allah ke alfaz likhne ka tarika kya hai ?
04:07:05
kya Nabi saw qabar mein kuch logon ki taraf se sawalon ke jawab dein gy ? qabar mein ghaus paak ke dhobi ka waqeya ? kya muqallid ka imam uski taraf se qabar mein sawalon ke jawab dega is liye taqleed zaruri hai ?
04:10:12
kya pehli ummaton ke auliya Allah ka zikar quran mein mojood hai ? is ummat ke auliya Allah ke sardar shaikh abdul qadir jilani hein ya abu bakr (rz) ?
04:12:56
rukhsati se pehle ghair e madkhula ko di gai teen talaq aur ruju ka mas'alah ? kya SMS aur khat ke zariye talaq ho jati hai ?
04:14:36
kya urdu english ki tarha arabic grammar mein bhi 3 zamane paye jate hein, haal maazi aur mustaqbil ?
04:16:44
namaz e janazah mein jo duaaen mard keliye parhi jati hein kya wohi duaaen aurat keliye bhi parhi jayen gi ?
Icon this is notification panel