36-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (11-Nov-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:20:00
kya hazrat Umar (rz) ne sulah hudaibiya ka darakht katwa diya tha aur Nabi saw ki mohar e nabuwat wali angoothi kahan gum gai ?
00:40:00
Nabi saw ke tabarrukaat ka beyan ?
01:06:30
ghair muslims aur hindu ke tehwar HOLI ya Dewali wish karna ya christmas ki mubarak baad dena jaiz hai ? ghair muslim ke sath ek bartan mein khana kha sakte hein ? mazaron aur darbaron peh Allah ke naam ki niyaz ka khana khana halal hai ? kya tie, pant coat, pent shirt, galay mein sleeve latkana, sindoor lagana, hath mein raakhi bandhna ya sikhon wala kara pehnna kafiron ki mushabehat hai ?
01:20:24
kya najaiz jagah par bani hui masjid ya madrasay ko girana mismar karna jaiz hai ?
01:28:51
kya fiqah hanafi ki kitab asool ul karkhi mein likha hai ke agar koi quran ki ayat ya hadees hamare imam ke qaul ke khilaf hogi to usay mansookh tasawur kiya jaye ga ya us ayat ya hadees ki taweel ki jaye gi ? imamon ki taleemat kya hein ? kya ahle sunnat apni hi kitabon par amal karne ko taiyar nehi hein ?
01:36:58
kya Yousuf (as) ko unke maa baap aur bhaiyon ne sajda kiya tha, kya us waqt sajda tazeemi haraam nehi tha ? kya sajda tazeemi ki hurmat quran se sabit hai ? qabron ke mutaliq ahmad raza barelvi ki taleemat kya hein aur kya ahmad raza barelvi ki masjid mein farz namaz ke baad buland awaz se kalma parha jata hai ?
01:46:12
main hindu se musalman huwa hon kya mujhe apna naam change karne ki zarurat hai ya purana naam hi rehne don ? kya buzurg dil ka haal jaan letay hein ?
01:52:53
mujhe hindi aati hai lekin main jahan jummah ki namaz parhta hon wahan tamil ya kisi aur zuban mein jummah ka khutbah hota hai to kya meri jummah ki namaz ho jaye gi aur kya khutbah sune baghair jummah ka sawab mile ga ?
01:56:44
bar bar hawa kharij hone ki waja se wazu toot jata hai ilaj bhi karwaya lekin marz theek nehi huwa aisi halat mein namaz kaise parhi ja sakti hai ? istihaza wali aurat jisko bar bar haiz ka khoon aata ho wo namaz kaise parh sakti hai ?
01:59:33
kya sahib e quran ka lafz sirf Nabi saw keliye bola jaye ga ya hafiz e quran ko bhi sahib e quran kaha ja sakta hai ? khud ko haji kehna reyakari hai ? kya naat khuwan ke libas takabbur ki alamat hein ?
02:07:34
kya musalsal 3 jummay chornay wala kafir ho jata hai ?
02:10:43
kaha jata hai ke joray aasmanon peh bante hein kya ye sach hai ? shadi keliye istikhara karwana kaisa ? umar mein barkat aur rizq mein barkat kaise ho jati hai jabke taqdeer mein har cheez pehle se likhi hai ? khush bakht aut badbakht kon hota hai ?
02:16:50
jis larki ko facebook par behen keh diya ho kya uske sath nikah ho sakta hai aur islam mein mooh bolay rishton ki kya ahmiyat hai ? larka larki ka apas mein facebook peh chatting karna kya ye bhi bay hayai hai ?
02:19:48
konse mahinay mein shikar karna mana kiya gya hai ? kya aaj bhi hurmat wale mahinay mein jang karna haraam hai ?
02:22:26
namaz ke doran zukam ki waja se 3 dafa hath se naak saaf kar li to kya namaz toot jaye gi ? namaz ki halat mein kharish khujli karna kaisa ? namaz ke doran agar mobile ki ringtone baje to kya mobile band kar sakte hein ? Ali mirza ko pehli dafa kis baat ki waja se hidayat mili thi ? Ali mirza buzurgon ki ghalatiyan kyu batate hein isme kya hikmat hai ?
02:34:26
kya Nabi saw ke elaan e nabuwat se pehle tamam but parast mushrik thay ya kuch log mowahid bhi thay yani ek khuda ki ibadat karne wale bhi thay ? kya mushrikeen e makkah Allah ko nehi maante thay ?
02:39:13
jab Allah ne Adam (as) ki ghalati muaaf kardi thi to qeyamat ke din unko dobara unki ghalati yaad kyu karwai jaye gi ? qeyamat wale din Allah aur Eisa (as) ke darmiyan mukalma ?
02:47:18
kya aaj ke daur mein moaviah (rz) par qanoot e nazilah parhi ja sakti hai kyu ke ye hazrat Ali (rz) ki sunnat hai jaise unho ne moavia (rz) par qanoot e nazilah parhi thi ?
02:48:49
kya aaj ke daur mein abu bakr (rz) ki sunnat par amal karte huwe munkareen e zakaat ke khilaf jang karna jaiz hai ?
02:50:50
witr ki namaz mein duaa e qanoot ke baad konsa darood parhna chahiye ?
02:52:23
quran ke tarjumay mein hai ke humne quran ko yaad karne keliye asan kar diya, kya iska matlab quran ko hifz karne keliye asan kar diya gya hai ? ulma public ko maamon kaise banate hein ? kya deobandi bhi barelviyon ki tarha qabron se faiz hasil karne ke qail hein ?
03:02:14
kya saza e maut mein mujrim ko phansi ki saza dena jaiz hai aur agar adalat ne kisi ko na haq saza de di to kya phansi peh latkane wale jallad ko bhi gunah hoga ?
03:11:42
shadi ke moqa par mard apne hathon peh mehndi laga sakta hai ? shadi ki rasumaat peh sehra bandi karna aur doodh pilai ki rasam jaiz hai ?
03:13:46
kya quran ko juzdan yani ghilaf mein lapait kar rakhna zaruri hai aur juzdan ko dhone ke baad uska pani kahan bahaya jaye ?
03:15:00
agar bachay ki paidaish se pehle doctors bata dein ke bachay ki nasho numa (growth) nehi ho rahi to kya haml (pregnancy) zaya karwa sakte hein ? kya abortion karwana jaiz hai ?
03:16:12
kya aurten swimming pool mein naha sakti hein jahan mardon ki mixed gatherings na ho ? aur aaj ke daur mein aurat masjid mein aitikaf kar sakti hai ?
03:17:12
kya musnad e imam e azam kitab imam abu hanifa se sabit hai ?
03:17:31
kya tafseer ibne abbas sahi sanad ke sath ibne Abbas (rz) se sabit hai ?
03:18:50
kya aqeedah tahawiya imam tahawi ki kitab hai ?
03:20:27
agar kutta ya khinzeer kapron ko tuch karke ke nikal jaye to kapray napak ho jayen gy aur ghusal karna zaruri ho jaye ga ? fiqah hanafi mein kutta utha ke namaz parhna jaiz hai ?
Icon this is notification panel