95-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (29-Dec-2019)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:13:07
Alhamdullilah Ali bhai kay dawat e tawheed ke mutaliq dalayil aur shaitani waswason kay ilaaj ki badaulat hum jaise tamaam kalma-go mushrik logon ko taubah naseeb hui hai , Ab jab hum doosron key paas jakar dawat e tauheed pesh kartay hain toh wo daleel detey hain ki hum buzurgon ke paas jakar unse naheen maangtay hain Aur Ya Ali علیہ السلام ka naara lagane ki apni apni tashreeh kartay hain aur WASEELAH key naam par dhoka detey hain baraye meherbani aap iski wazahat farma dein ?
01:09:53
Agar Islam mein fazeelat ki bunyaad sirf aur sirf Taqwa hi hai to phir Madeenah Shareef mein Maut aanay ki fazilat kyon bayan hui hai in dono baaton mein khula tazaad nazar aata hai?
01:26:16
Pichlay dinon aap key whatsapp groups mein research paper 5b aur research paper 7 key new PDFs ko share karwaya gaya hai please in mein jo changes huye hain un ko mukhtasaran bayan karwa dein?
01:32:02
Tableeghi Jamat ki deen ke hawaalay se bohot khidmaat hain lekin jis tarah wo kisi makan ya dukan se banday ko raastay mein rok kar dawat pesh kartay hain inka yeh zabardasti karne ka rawaiyya kahan tak durust hai?
01:41:28
Haal hi mein showbiz ki aik mash-hoor shaksiyat Hamza Ali Abbasi ne dramo aur filmon ki dunya ko hamesha ke liye khair aabad keh kar ALLAH ka raasta chun liya hai ab Ali bhai Hamza bhai ke liye kya suggest karengey?
02:04:25
Ali bhai ne aik video main Surah An Nisa ki aayat no 65 ke context mein Sayyidina Zubair bin Al Awwam R.A. ke kisi munafiq ke sath jhagray ka zikr kiya hai jab keh Sahih Bukhari ki hadees no. 2708 mein to aik Ansari Badri Sahabi R.A. ka zikr milta hai kya koi badri sahabi bhi munafiq aur faasiq ho sakta hai wazahat farma dein?
02:15:03
Ali bhai nay aik video main virasat kay mas’alay mein virasat ko aisey takseem kiya tha jo sirf teen larkiyan aur aik biwi chor kar mara tha uss main Ali bhai nay ghalati say keh diya keh baitiyon ka 2/3 hissa baaqi bachnay walay maal se hoga jab keh Quran e Hakeem mein baaqi ki jagah mutlakan ka zikr aaya hai?
02:20:30
Kya kisi ghair muslim mulk mein rahne wala musalman shehri kya us ghair muslim mulk ki fouj mein shamil ho sakta hai Maslan European countries ya phir India aur USA waghairah?
02:29:53
College aur Universities main Students organisations par pabandi kay baaray mein Ali bhai kya moaqqaf hai?
Icon this is notification panel