09-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (20-May-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:53
Meer dard ka mashoor shair, dard e dil ke wastay paida kiya insan ko warna ataat keliye kuch kam na thay karro beyan ki sharai haisiyat kya hai, shair o shairi ki sharai haisiayat kya hai, aur haqooq ul ibaad maaf honge ya nehi ?
00:17:34
Fateha khalf ul imam, imam ke peechay fateha parhnay ka sahih mas'alah, detail moaqaf ?
00:49:38
Hanafiyon ki masjid mein jumma ka arabi khutba bilkul end peh hota hai agar hum arabi khutbay se pehle masjid mein dakhil ho jayen to kya farishton ke register mein hamara naam likha jaye ga yani sawab milay ga aur jumma ki rakaten kitni hein ?
00:52:49
Aaj ke zamanay mein siraat Allah zeena an'amta alaihim kon hein, kya chaaron rastay haq peh hein ?
01:02:19
Sayyad ul shohda to hamza (rz) hein aap hazrat hussain (rz) ko sayyad ul shohda kyu kehte hein ?
01:07:56
Lafz tamheed aur tahmeed mein kya faraq hai aur tasbeeh aur tahleel ka matlab kya hai ?
01:10:26
Kya farz namaz ke baad 3 dafa astaghfirulla parhnay ke baad sayyidil istighfar parhna sunnat hai, ulma e arab ki ghalati takbeer se muraad Allaho akbar hai ya astaghfirulla hai ?
01:14:03
Aap apne lecture ko social media peh live kyu nehi chalate ?
01:14:50
Kya sehaba ke naamon ke sath razi Allah anho lagana buzurgon ke naamo ke sath rehmatullah aleh lagana zaroori hai jaise Nabi saw ke naam ke sath sallala ho alihi wasallam lagana zaroori hai aur marhoom lafz ka matlab kya hai ?
01:19:42
Nbai saw ki daarhi ki lambai kitni thi aur daarhi kam se kam kitni honi chahiye ?
01:23:21
Kya dars ke doran dil mein zikar azkaar kar sakte hein ya dars khamoshi se sunna chahiye ?
01:24:21
Doodh pilane wali aurat keliye rozay rakhna mushkil hota hai kya aisi aurat roza chor sakti hai ?
01:25:34
Aap punjabi ke alfaz ka tarjuma arabi mein kar dia karen punjabi samajh nehi aati ?
01:26:27
Rafa yadain sunnat hai ya farz, kya rafa yadain ke baghair namaz ho jati hai, kya nabi saw ki sunnat ko jaan boojh ke tark karne wale peh Allah ki lanat hai ?
01:28:20
Mirza ghulam ahmad qadiyani ne kahan khata khai hai jisme usne zille nabi hone ka dawa kia hai, hum qadiyaniyon ko kafir kyu kehte hein ?
01:30:57
Ek school teacher apne students mein aqeedah tauheed kaise rasikh kare ?
01:32:18
Dukan pe lagay huwe maal e tijarat peh kitni zakaat hai ?
01:34:23
Kya aqamat ke doran hath bandhna sahi hai ?
01:34:53
Kya ruku aur sajdon ki tasbeehat ke baad darood parh sakte hein aur sajdon mein konsi duaaen parhen ?
01:36:13
Kya sunnat e moakidah aur ghair e moakidah parhna zaroori hai ya sirf farz namaz ki rakaten parh lena hi kafi hai ?
01:36:57
Kya har takbeer peh rafa yadain kia ja sakta hai ?
01:37:10
Aaj kal log roza rakh ke sara din soye rehte hein aur sirf farz namaz parhte hein ?
01:37:28
Masjid e aqsa mein Nabi saw ne tamam ambia (as) ki imamat karwai jabke wahan to itni jagah hi nehi hai itni choti jagah peh 1 lakh ambia kaise aa gaye ?
01:38:43
Agar ghalati se ruku ki tasbeehat sajday mein aur sajdon ki tasbeeh ruku mein kar li kya sajdah sehaw wajib ho jaye ga ?
01:39:21
Quran mein mariyam (as) ko tamama jahan wali auraton par fazeelat hai to phir fatimah (as) ko konsi fazeelat hasil hai jabke wo jannati aurton ki sardar bhi hein ?
01:40:45
Surah Aal e imran mein hazrat imran ko mariyam ki khushkhabri di gai puchna ye hai ke imram kon thay ?
01:41:07
Ek bhai ko deen ki baat batai jo usay achi na lagi to kya wo qeyamat ke din Allah se meri shikayat kare ga ke isne mera dil dukhaya tha, aur jo log haq baat sunke mooh phair letay hein quran mein unke baray mein kya waeed hai ?
01:44:12
Islam mein rohani opration ka kya concept hai ?
01:49:13
Mard ka satr kahan tak hota hai ?
01:49:25
Selfie lena tasweer banana video film banana jaiz hai ?
01:50:27
Deen ki taleem hasil karne keliye koi M.A islamiyaat waghaira ka course karna zaroori hai ?
01:51:46
Kya kisi ka ehsan ka badla chukanay keliye us shakhs ke faut hone ke baad uski taraf se hajj e badal kar sakte hein, mayyat ki taraf se Roza rakhna aur hajj umrah karna ?
01:52:18
Mayyat ki taraf se mannat ka Roza rakhna aur apne behan bhaiyon ke bachon ka aqeeqah apni jaib se karna aur kya maali ibadat kisi ki bhi taraf se kar sakte hein jisay neyabat kehte hein ?
01:53:21
Huqqah aur cigaret peena, naswar gutka aur paan khana kaisa ?
01:55:07
Mayyat ko quran parh kar bakhshna aur fateha parh kar esaal e sawab karna kaisa ?
01:55:38
Shadi beyah peh nikah ke moqah peh salami lena kaisa yani nikah ke moqah peh log paise detay hein ?
01:56:44
Kya jahaiz lanat hai kyu ke majburan beti ko jahaiz dena parta hai takay sasural mein baten na sunni paren ?
01:57:33
Kya mazhab tariqqi ki raah mein rukawat hai, aur christain aurat ka yousuf estes ko phone kar ke islam qabool karne ke baad hijab aur parday ke ahkam peh amal karna ?
02:01:28
Taraweeh nafili ibadat hai ya sunnat e moakidah hai aur taraweeh parhna kitna zaruri hai ?
02:02:18
Aap ghair muslims ko dawat o tableegh ka kaam aur unke liye lecture record kyu nehi karwate ?
02:06:20
Ek musalman peh deen ki tableegh kitni farz hai kya qeyamat ke din pucha jaye ga ke humne dawat o tableegh ka kaam kia ya nehi ?
02:07:48
Kya 786 ka matlab bismillah hota hai aur ilm ul adaad ki kya haisiyat hai ?
02:09:13
Aap kehte hein agar koi witr mein duaae qanoot parhna bhool jaye to sajdah sehaw kare ye ijtehad aap ne kis buniyad peh kiya tha ?
02:09:57
Agar koi ghareeb shakhs roza na rakh sake aur fidiya bhi na de sake ti aise shakhs keliye kya hukam hai ?
02:11:53
Kya taraweeh mein khatm e quran karna sunnat hai ?
02:12:34
Kya abu bakr (rz) aur umar (rz) ne taqdeer ke mamlaat dicuss karne se mana kia tha ke is se gumrahi ka darwaza khulta hai ?
02:14:12
Rozay ki halat mein tooth paste karna aur kya roza dar handiya ka zaiqa chakh sakta hai, aur kya rozay ki halat mein miswak kar sakte hein ?
02:16:47
Roza rakha lekin bardasht nehi huwa kya roza tor sakte hein ?
02:17:09
Kya ghair muslim ke ghar roza aftar kar sakte hein agar khana halal ho to ?
02:17:34
Kya roza rakhne keliye sehri khana zaruri hai ?
02:17:47
Kya nisf shaban ke baad rozay rakh sakte hein ?
02:18:06
Shawal ke 6 rozay musalsal rakhne hein ya puray mahinay mein kisi bhi din rakh sakte hein, shawal ke 6 rozay puray saal ke rozon ka sawab ?
02:21:43
Aaj ke daur mein ek rozay ka kitna fidiya banta hai ?
02:22:17
Rozay ki halat mein baalon ko color karna rangna aur aankhon mein dawai (eye drops) dalna aur aankhon mein surmah lagana, aur ghusal ke doran aankhon aur kaanon mein pani chala jaye to kya roza toot jata hai ?
02:22:57
Kya zakaat ke paise, fitrana aur mannat ka sadqah kisi ghair muslim ko dia ja sakta hai ?
Icon this is notification panel