37-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (18-Nov-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:01:45
Quran mein Muhammad lafz kahan aur kitni dafa aya hai ? Muhammad aur Ahmad naam ka matlab kya hai ?
00:05:00
aaj ke daur mein Nabuwat ka dawa karne jhootay dajjalon ka fitna aur khatm e nabuwat ka aqeedah ? qadiyaniyon ko dawat e islah ?
00:07:20
quran ke mushaf aur shan e nazool ki tarteeb mein faraq aur kya quran ki tarha baki kitaben bhi Allah ka kalaam hein ?
00:10:35
agar namaz ke doran Nabi saw ka naam aye to Darood parha ja sakta hai ?
00:13:30
kya Taorat aur injeel mein Nabi saw kay aane ka zikar mojood hai ?
00:16:00
Allah ke 99 naam aur Nabi saw ke 99 naam aur sifati naam konse hein part 2 ?
00:26:00
kya sirf Muhammad naam rakh sakte hein aur kya kisi ki shakhsiyat par naam ka asar parta hai ?
00:29:00
surah Muhammad ko surah Qital kyu kaha jata hai ? kya aaj ke daur mein hum jehad mein hissa le sakte hein ? Quran aur Qital Nabi saw ki 2 khasusiyaat ?
00:35:00
sare Nabi tere dar ke sawali, kya ye jumla kehna shirk hai ?
01:02:21
tableeghi jamat ke sarbarah Haji Abdul wahab (rh) keliye dua e maghfirat ? mayyat keliye hath utha kar dua ki ja sakti hai ?
01:07:03
Ali bhai ki videos clips mein reference ke jpg images ke lagane ka maqsad kya hai ? Ali bhai aap ne apne video ke thumbnail mein Sanjay Dutt ki picture kyu lagai ? kya Ali bhai apni videos ka kaam karwane keliye paise detay hein aur kya kisi se fund letay hein ?
01:20:57
ahle sunnat wal jamat aur ahle sunnat wa jamat mein kya faraq hai ? Nabi saw ne farmaya Sham mein Abdaal honge kya is se murad ahle hadees hein ? kya gaari ke peechay "murshid ki nigah se" likhna jaiz hai ? asli ahle sunnat kon hein ? ILMI Kitabi ka saboot Quran se ?
01:32:39
kya nafli roza rakhne keliye aurat ka khawind se ijazat lena zaruri hai ? agar nafli roza tor dia to kya kaffara hai ? nafli rozay ki niyat kis waqt ki ja sakti hai ? aurton ki sab bari nafli ibadat apne khawind ki ataat hai ? agar koi khawind apni khuwahish puri karne keliye biwi ko bulaye aur biwi inkar kar de to ye kitna bara gunah hai ?
01:37:35
Quran aur bukhari muslim ka tarjuma kiska parhen jo international numbering mein ho aur tarjumay mein koi ghalati bhi na ho ?
01:42:22
jo duaaen ahadees mein singular ke seeghay ke sath aai hein unko jama ke seeghay ke sath parh sakte hein jaise "Allah humma ajirni minan naar" ko "ajirna minan naar" parhna jaiz hai ? kya Nabi saw ke taleem farmaye huwe alfaz ko badal sakte hein ? kya Nabi saw ki qabar par surkh chadar bichai gai thi, up upon & on mein faraq aur barelviyon ka dhoka ?
01:50:26
jis ghar mein fotgi ho jaye us ghar mein paida huwe bachay ko leke jana darust hai kyu ke log kehte hein soodak wale ghar mein ja ke bacha bimar ho jata hai ? kya suraj grahan ka asar haamla aurat par parta hai ? kali billi rasta kaat jaye nahusat ki nishani ? ilme wahi aur ilme science part 1 ?
01:55:59
sahih bukhari 2321 mein hai ke Nabi saw ki nazar ek dafa Phaali aur aalat e zaraat peh pari to farmaya jis ghar mein khaiti baari ki ye cheezen hoti hein wo apne sath zillat lati hein, is hadees ki wazahat farma dein ? Nabi saw ke ghar ka kharcha waghera kaise chalta tha aur kya deen se kamai karna halal hai ?
02:03:27
kya aisi angoothi pehnna jaiz hai jispe Muhammad Rasool Allah naqsh kiya gya ho ? kya hum mohr e nabuwat ke design wali angoothi pehen sakte hein ?
02:05:55
kya Imran naam ke Nabi guzre hein jinke naam peh surah Aal e Imran hai ? aur israeeli riwayaat ki haqeeqat kya hai ?
02:07:40
Quran mein shifa hai to kya Quran ka maqsad bimariyon ka ilaj hai ya Quran insaniyat ki hidayat keliye nazil kiya gya hai ? kya Dam darood se ilaj karne ki ujrat li ja sakti hai ? Muhammad saw ke ghulamon ka kafan maila nehi hota ?
02:11:55
kya Umar (rz) ne Quran ki 1 qirat ke ilawa baki qirat parhnay se mana kar diya tha ? Quran ki 7 Qirat ka ikhtilaf ?
02:19:42
lucky kameti mein jiski kameti nikal aati hai wo ainda kameti nehi deta kya ye jaiz hai ? kya qurra andazi ke zariye umrah ka ticket lena jaiz hai ?
02:21:37
saudia mein ulma ko jummah ka khutba tahreeri shakal mein diya jata hai phir sare imam masjid wohi likhi hui taqreer beyan karte hein aur hukmaran ko defend karte hein kya ye jaiz hai ? jummah ke khutbay ka ahel kon hai ?
02:27:23
Nabi saw ne banu qureza ke yahudiyon ka qatl e aam kyu karwaya tha ghair muslims ke aitraz ka jawab ?
02:33:01
mard ko puri zindagi mein 4 shadiyon ki ijazat hai ya ek waqt mein 4 shadiyon ki ijazat hai ? barelvi deobandi ab khuwab kyu gharte hein ? ashraf ali thanvi ki Ayesha (rz) ki gustakhi ? deobandi buzurgh qabar se bahir nikal aye ?
02:37:55
qeyamat ke din Allah nazar e rahmat nehi farmaye ga is hadees se kya murad hai ?
02:39:37
israeeli riwayaat mein shaitan ka naam azazeel aya hai aur kya iblees pehle farishta tha baad mein nafarmani kar ke jin ban gya ? kya iblees aalim tha ? kya farishton ko ilme ghaib tha farishton ko kaise pata chala ke insan zameen mein fasad aur khoon rezi kare ga ?
02:43:44
tez hawa chalne ki waja se kabah ka ghilaf urr gya aur log ajeeb o ghareeb baten karne lage ke ye Allah ka qehar nazil huwa hai kya aisa aqeedah rakhna sahi hai ? kya khana kabah ke oopar se koi parinda nehi guzar sakta ?
02:45:40
umrah ki niyat se ehraam pehna lekin rush ki waja se umrah kiye baghair wapas aa gaye kya dam wajib ho jaye ga ?
02:47:21
masjid mein aksar namazi mobile band karna bhool jate hein isliye imam masjid ne saza rakhi hai ke jis namazi ka mobile namaz ke doran baje ga usko jurmana hoga kya ye jaiz hai ? bijli ka bill jama na karwane peh jurmana aur traffic signal torne pe jurmana ?
02:50:04
hadeeson mein ata hai aise shakhs par Allah ki lanat farishton ki lanat aur tamam lanat karne walon ki lanat, isme tamam lanat karne walon sy kya murad hai aur kya kisi par by name lanat ki ja sakti hai ?
02:52:30
Ali bhai aap Google aur Youtube ko hafizahullah kehte hein jabke isme to ghalat cheezen bhi hoti hein ?
02:53:57
kya ghair muslim ko apna makan rent peh de sakte hein ?
02:55:36
kya hajr e aswad jannat se aya huwa pathar hai aur kya ye kisi ko nafa ya nuqsan deta hai ?
02:56:52
Abdullah bin Abbas (rz) jang e jamal aur jang e saffeen mein kiske sath thay moaviah ke sath ya maola Ali (as) ke sath ? kya mushajrat e sehaba wali hadeesen beyan karna haraam hai ?
02:59:15
Abdullah bin Zubair (rz) puri zindagi Aal e Umayyah ke khilaf thay lekin phir bhi shia unko pasand kyu nehi karte ?
03:01:42
ek aam admi deen kis tarha seekh sakta hai jabke gaaon mein log murghi bhi molvi se zibah karwate hein ?
03:02:57
harmain mein ghair muslim ka dakhila mana hai kya aam masjid mein bhi ghair muslim dakhil nehi ho sakta ?
03:04:16
kisi bewa ya talaq yafta aurat se nikah karne ke baad uske bachon ke pehle baap ke naam ki jagah apna naam likhwa sakte hein ? kya bachay ke baap ka naam badal sakte hein ?
03:05:23
teen talaq ke baad usu aurat se dobara nikah karna ho to kya halala karwana zaruri hai aur halala karwane mein kya hikmat hai ?
03:06:56
Abdullah bin Umar (rz) ne Hazrat Ali (rz) ki bait nehi ki aur dusri taraf wo yazeed ki bait tornay ko ghalat samjhte thay ? Abdullah bin Umar (rz) aur hazrat Hussain (rz) ki natures mein faraq ? hazrat Hussain (as) ko jannati naujawano ke sardar ka title kis waja se mila tha ?
03:13:42
kya sports mein kisi ghair muslim ko apna idial maan sakte hein ?
03:14:40
kua ghusal karne ke baad dobara wazu karna zaruri hai ?
03:15:18
dukandar chori ki cheezen le kar aagay sastay daam farokht karte hein kya aise dukandar se cheezen khareed sakte hein jo jo chori ka maal baichtay hein ?
03:15:54
kya ghair muslim mulk mein ya unki hakumat ke under job karna sahi hai ?
03:16:54
kya daarhi aur sar ke baalon mein khushbu lagana jaiz hai ?
03:17:08
agar koi Allah ko gawah bana kar maqrooz ko bataye baghair apna qarz maaf karde aur baad mein us se mutalba kare to kya gunahgar hoga ?
03:17:41
kuch ulma ka moaqaf hai aaj kal safar jaldi tay hota hai is liye qasar namaz 80 km par hogi ?
03:18:17
masjid e Quba mein rozana 2 nafal parhnay se har dafa hajj o umrah ka sawab mile ga ?
03:19:01
raat ke waqt nakhun katna aur sham ke waqt jharoo dena mana hai ? kali billi rasta kaat jaye nahusat ki nishani hai part 2 ?
03:19:34
kya aurat kisi ghair muslim mard ka jootha pani pi sakti hai ya ghar mein mehman aa jate hein to kya aurat ki na mahram ke glass mein pani pi sakti hai ?
03:20:59
agar baap apni zindagi mein jaidad ka kuch hissa apne kuch beton ke naam karde to kya baap ke marne ke baad gift kiya huwa hissa bhi wirasat mein taqseem hoga ?
Icon this is notification panel