71-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (07-July-2019)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:43
Kya nai masjid ka naam baitullah rakha jaa sakta hai? (Nai Masjid k liye Ali bhai ki kuch bahtreen advice)?
00:28:43
Apka jumla kitabon ka khuda aur hai, Babon ka khuda aur hai. Do khudaon ka concept kya hai?
01:04:48
Khalid bin Waleed (ra) k liye ahle sunnat mein saifullah ka laqab istamal kiya jata hai, jab k baz ghali rafzi Khalid bin Waleed (ra) ko saifullah nahi mantay aur kahtay hai saifullah wali sahi bukhari ki hadith mein Khalid bin Waleed (ra) ka naam nahi hai balkay ghazwa mota k moqay pe sirf saifullah ka zikar hai?
01:30:03
Bachpan se yeh hadith sun rakhi hai, "Meri ummat mein her sadi k kinaray per Allah tala ek aisa admi paida farmai ga jo deen ki tajdeed karay ga." Kya on mujadadeen mein app to nahi hain?
01:46:29
Agar koi ghair muslim deen pay tahqeeq k doran mur jai aur islam tak na pohanch pai to aise admi k sath Allah qyamat k din kya muamla farmai ga?
02:05:07
Pakistan mein ek deeni shakhsiyat (Molana Tariq jameel) ne tawaifon mein ja ja ker dawat-o-tableegh ka kaam shuru kya hai, balkay unka aksar othna bethna bhi hota hai aur be pardgi ka bhi khoob andesha laga rahta hai, un kay iss amal ki shrai haisiyat kya hai?
Icon this is notification panel