70-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (30-June-2019)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:50:03
Namaz kay pehlay tashud mein drood shareef parhna jaiz hai?
00:58:03
Jahil awam kahti hai Pakistani qoom ka ilaaj sirf danda hai. Kya dictator ki hakumat legitimize hogi ya uss kay khilaf kharay honay chahiyay?
01:10:18
Jumay k khutbay mein waqya bayan howa. Imam Fakhrudin Razi se moat k waqt shaitaan ne Allah k wajood k hawalay se daleel talab ki to unho ne 99 dalail di lekin shaitan ne ek ek ker k sab ko rud ker diya, kareeb tha onka emaan chala jata k onke Peer sahab Khuwaja Najmudin Kubra zahir howay aur ghussay se lota deewar pe de mara. Jisse Fakhrudin Razi ne baat samjhi aur shaitan se kaha mein ALLAH ko be daleel manta hon, Bus phir shaitan ghayab hogaya. Iss waqai ki engineering farma den.
01:17:34
Kya suraj ko dekh k parhnay wali dua mojood hai. Agar hai to reference k sath bta den?
01:26:10
Namaze janaza mein ahled sunnat k 4 takbirat jab k ahle tashee mein 5 parhi jaati hain. Konsa tareeka sahi hai?
01:35:39
Kya anda tortay howay bimilahi Allah hu akbar parhna zarori hai?
01:39:29
Hafize Quran wali hadees sahi bukhari mein mojood hai jabke apka moqaf hai hafize Quran ki koi fazilat nahi hai. Please apne moqaf se rujoo farmain.
01:44:08
Ek deobandi manazir ka dawa hai k Imam abu Hanifa ki kisi beti ka naam hanifa nahi tha jab k Abu Hanifa se muraad Hanifa wala jaise Abu Taraab se muraad matti wala Abu Hurraira se murad bilion wala Abu Bakar se muraad her kaam mein pehal kernay wala lihaza Abu Hanifa se muraad hai Hazrat Ibrahim se nisbat wala jo k hanifa tha. Please iski wazahat farma den.
Icon this is notification panel