16-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (01-Jul-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:40
imran khan ne pakpatan mein khuwaja fareed ud din ke mazar ko chooma bosa dia aur sar jhukaya kya aisa karna jaiz hai ? tauheed ka beyan ? qabron ke aagay jhukna sajda karna aur qabar ko bosa dena ?
01:03:25
jaise quran hamare liye hai wese hi nabi saw keliye hai yani kya nabi saw bhi shariyat ke paband hein ? muhammad bin abdullah iman laye muhammad Rasool Allah saw par ?
01:07:43
ahmad raza barelvi ne nabi ka tarjuma ghaib ki khabren batane wala kiya hai kya ye tarjuma sahi hai ?
01:08:51
kya ali mirza hadees ka tarjuma ghalat karta hai jaise ke nabi saw ne ek sehabi ko kaha kitna bura khateeb hai tu uth aur idhar se dafa ho ja, lekin hadees mein dafa ho ja ke alfaz nehi hein ye andaz ali mirza ne apni taraf se banaya hai ? aur Ali mirza ka andaz itna sakht kyu hai ?
01:19:44
sayyad john elia naqvi ka shair hai, tu agar khud hai khudaya meri shah rag se qareeb phir ye shaanon peh farshton ka takalluf kaisa, kya Allah farishton ke likhne ka mohtaj hai ?
01:25:35
kya shia sunni ka nikah jaiz hai ? sayyid ka ghair e sayyid se nikah, aur kya mushrik aur ahle kitab se nikah ho sakta hai ? aur kafiron se dosti rakhna kaisa ?
01:33:06
jawed ahmad ghamidi qadiyaniyon ko kafir nehi mante ? kya khatm e nabuwat peh sirf ghulam ahmad qadiyani ne daka mara hai ?
01:34:48
polio ki team par qatilana hamla ? kya polio vaccine khatarnak hai ? kya zamana jahiliyat mein kiye huwe achy amal ka ajar milta hai ?
01:38:17
kya bachon ko science ke ilm ki taleem hasil karni chahiye ? islam aur science ?
01:39:07
kya ghair muslim ko musalman mulkon mein apne mazhab ki tableegh karne ki ijazat deni chahiye ?
01:41:04
deen ki raah mein shaheed hone wala aur apne mulk ki khatir shaheed hone wala dono barabar hein ?
01:42:56
kya witr namaz ki qaza parhna lazmi hai ?
01:43:50
mayyat ke ghusal ki ujrat lena jaiz hai ? aur kya mayyat ko ghusal dene ke baad khud ghusal karna zaruri hai ?
01:44:44
kya nikah nama mein biwi ka jaib kharch likhwana jaiz hai ? kya ghar ke kaam karna biwi ki zimadari hai ?
01:46:13
kya nafli tawaf ke doran aurat ko chehre ka pardah karna chahiye ya sirf ehraam ki halat mein chehra khula rakhna chahiye ?
01:46:36
quran ki saat manzilen kab banai gai aur kyu ? aur kya quran mein 30 paron ki taqseem Allah ki taraf se hai ?
01:47:46
kya Adam (as) ke zamane mein chaand ki 13, 14 aur 15 ko roza rakha jata tha, ayam e beez ke rozay ?
01:48:43
fatimah (rz) ka janazah kisne parhaya tha ?
01:49:45
kya zainab (rz) ne shia ko baduaa di thi ke shia qeyamat tak matam karte rahen gy aur peet'tay rahen gy ?
01:51:24
jamia tirmizi ki kai hadeeson ke sath sahih hasan ghareeb likha hota hai kya ghareeb hadees hujjat hai ? ghareeb hadees aur mutwatar hadees kya hoti hai ?
01:52:38
hum apni zameen kashtkari keliye rent peh dety hein jiske hamen paise milte hein kya ye jaiz hai ?
01:53:38
makan rent peh dia to kitni zakaat deni hogi ? rent a car gaariyon ko kiraye peh dein to zakaat lage gi ?
01:56:04
kya umrah ke doran qasar namaz parhi jaye gi ?
01:57:03
cricket match jeetne wali team ko inaam dia jata hai kya ye jaiz hai ? khel mein shart lagana kaisa ?
01:58:06
ghar mein billi palna jaiz hai ?
01:59:18
aur mahram ke baghair ghar se bahir nehi nikal sakti jabke nurse, lady doctor aur teacher ko job karni parti hai kya aurat naukri kar sakti hai ?
02:01:10
agar group ke sath haj peh jayen aur aurat ko apne mahram ki waja se 40 din pehle wapas ana pare to aurat apna haj kaise mukamal kare ?
02:01:37
kya ehraam ki halat mein jisam peh kharish kar sakte hein agar kharish karne se baal toot jaye kya dam wajib ho jaye ga aur iska kaffarah kya hoga ?
02:02:20
kya haj ke doran tasweeren banana aur selfie lena reyakari hai ?
02:03:00
ramzan mein ghar aye mehmanon ka fitrana bhi dena hoga ya mehman apna fitrana khud de ga ?
02:03:39
agar tawaf ke doran kabah ki taraf seenah ho jaye to tawaf ka chakar shumar hoga ya nehi ? agar tawaf ke doran namaz ka waqt ho jaye to qibla rukh mooh karna pare ga to kya tawaf dobara se shuru karna pare ga ya usi chakar se shuru kar sakte hein ?
02:04:56
? kya farishton ke naamon par bachon ke naam rakh sakte hein aur israeel naam rakh sakte hein ?
02:05:35
insan jab qabar khudwane lagta hai to kandhon peh baithay huwe dono farishte door chale jate hein ?
02:05:54
kya ek masjid mein ek se zeyada jamaat karwa sakte hein ? ek musallay pe dusri jamaat karwana ?
02:06:53
kya Ali (rz) ne fatimah (rz) ko ghusal diya tha jabke asma bint abi bakr (rz) inke sath thin aur wo Ali (rz) keliye na mahram thi ?
02:08:32
hadees mein hai ke qurbe qeyamat mein ulma faut ho jayen gy aur log johla ko apna imam bana lein gy wo logon ko baghair ilm ke fatwa dein gy khud bhi gumrah honge aur logon ko bhi gumrah karen gy lehaza ulma faut ho gaye hein uski jagah Engineer Muhammad Ali Mirza aa gaye hein ?
02:10:39
kya ali mirza zubair ali zai ka muqalid hai ? zubair ali zai aksar apne matlab ki hadeeson ko sahih keh dete hein aur dusron ki ahadees ko zaeef keh dete hein kya zubair ali zai haq go aalim thy ?
02:13:17
agar Allah ko ehsas nehi hai to phir Allah ko gussa kyu aata hai ?
02:14:13
kya cable network ka kaam karna jaiz hai ?
02:15:38
ali bhai aap ne imam muslim ka shehar qusheria bataya tha jabke imam muslim to nishapur ke rehne wale thy ? mohaddiseen ko wahem lag jata tha ? kya nabi saw bhool jate thy ? asmat e Ambia (as) ka aqeedah ?
02:39:20
al musanaf ibne abi shaibah mein hadees hai agar tumhari sawari kho jaye to awaz do ay Allah ke bando meri madad karo yani ghaib mein madad maango ?
02:41:07
hum shia ki kitabon se hadeesen kyu nehi lete aur kya shia ahle sunnat ki kitabon ko maante hein ?
02:44:31
agar deen e islam hamesha se hai aur har kitab mein tauheed hai to pehli ummaton mein sajda tazeemi jaiz kyu tha ? tauheed ka beyan ?
02:54:43
kya abu al ghadia (rz) ne amar bin yasir (rz) ko shaheed kiya tha jabke wo badri sehabi hein aur badri sehabi dozakhi nehi ho sakte ?
02:59:33
rafa yadain peh sarkash ghoron ki dumon wali hadees ki detail ? namaz mein rafa yadain ki sunnat ko shareer ghoron ki dumen kehna hanafiyon ki batil daleel ?
03:12:29
kya bhains aur saand yani bhainsay ki qurbani ho sakti hai ?
03:12:59
baray janwar ka aqeeqah aur kya aqeeqah mein do gaaye zibah ki ja sakti hein ?
03:13:15
agar kisi ka zati kirdar ghalat ho usko vote dena sahi hai ?
03:14:55
kisi ko badkar ya bad kirdar corrupt kehna halankay usay aisa karte huwe nehi dekha kya ye bad gumani aur gheebat hai ?
03:18:39
agar Ambia (as) ki wirasat taqseem nehi hoti to unho ne Allah se apna waris kyu maanga tha ? Ambia (as) ne maali waris maanga tha ya ilmi waris maanga tha ? bagh e fadak ka mas'alah ?
03:22:11
agar mard aurat ko talaq na dena chahay to aurat adalat ke zariye apne khawind se khula le sakti hai ?
03:24:53
imam bukhari aur imam muslim ka apne daur mein kya muqam o martaba tha kya bukhari muslim peh shuru se ijma hai ?
03:29:14
kisi hadees ko imam hakim aur imam zahbi sahih kehte hein aur usi hadees ko zubair ali zai aur shaikh albani zaeef kehte hein to ek aam aadmi kiski baat manay ? kya jo hadees bukhari muslim se takrati ho usay chor dein ?
03:32:38
agar namaz mein khushu khuzu na ho to namaz ho jaye gi ?
03:34:14
vote na dena haraam hai aur kya kisi bad kirdar ko vote de sakte hein ?
03:35:53
kya islam deen e fitrat hai log munkreen e khuda kyu ho rahe hein mulhid kyu ho rahe hein ?
03:41:47
aagar quran hadees mein sab kuch mojood hai to phir sabki namaz ka tarika alag alag kyu hai ?
03:43:11
shia ka nausairia firqa Ali (rz) ko Rabb kehte hein lekin quran mein walidain ko bhi Rabb kaha gya hai to kya Allah ke ilawa kisi aur ko Rabb kaha ja sakta hai ? kya makhlooq Allah ka kunba hai aur hum sab Allah ke bachay hein ?
03:45:12
kya Aal e Aqeel ne Ali (rz) se jang ki thi kya hamara darood hazrat Aqeel (rz) ko pohnchta hai ?
03:46:14
barzakhi hayaat mein rooh aur jisam ka taluq barzakhi hai is se kya murad hai ?
03:47:11
kya kuch sehaba maidan e jang se farar ho gaye thy jabke ye kabeerah gunah hai, kya wo sehaba Ali (rz) se afzal ho sakte hein ? Usman (rz) aitraz ka jawab ke Usman (rz) bhi maidan e jang se bhag gaye thy ?
03:49:06
aap kehte hein quran hadees direct parho gumrah nehi ho gy jabke sehaba ke zamane mein log quran direct parh ke gumrah ho gaye thy aur khawarij ke sath mil gaye aur unho ne shafaat ka inkar kar diya tha ?
03:51:21
duniya mein 1 lakh 24000 Ambia (as) maboos huwe lekin aaj ummaton ki tadaad kam kyu hai ?
03:51:43
Nabi saw ne abu sufiyan ki sifarish qabool ki aur moaviah (rz) ko katib rakha lekin Usama bin zaid (rz) ki sifarish qabool nehi ki kya is lehaz se abu sufiyan ki fazeelat zeyada ho gai ?
03:54:02
walidain Mustafa saw ke iman ke mutaliq mukhtasar aqeedah ?
03:54:16
kya khalid bin waleed ne ya Rasool Allah ka naara lagaya tha aur ya Muhammad saw kehna kaisa ?
03:55:02
ruku ke baad hath bandhna bidat hai aur ahmad bin hambal kehte hein ruku ke baad hath bandh sakte hein ?
03:56:58
ek majlis mein teen talaq peh Rukana (rz) wali hadees zaeef hai ?
03:57:22
liberal khawateen ka sawal hai ke ahadees mein tamam fazail mardon ke baray mein aye hein auraton ki fazeelat peh koi hadees nehi hai jaise khawind ke zakham mein peep par jaye to biwi usay chaat kar bhi uska haq ada nehi kar sakti aur deen par hamesha se mardon ka qabza raha hai isi liye mujtahideen bhi mard hein ? aurat nabi kyu nehi hai ? kya aurat ka darja mard se kam hai ?
04:00:36
nabi saw se pehle jo Ambia (rz) apni zameen jaidad ya wirasat chor kar jate inka kya banta tha aur Ambia (as) ki auladon ka zariya muash kya tha ?
04:01:04
qibla ki taraf paon karna qibla rukh paishab karna aur thookna ?
04:01:24
kya darmyan wale tashahud mein darood parhna zaruri hai kya is se sajda sehaw wajib ho jata hai ?
04:01:39
musafir kitne din tak qasar namaz parh sakta hai kitni muddat tak ?
04:02:00
dawat e arwah, sufiya kehte hein agar kisi buzurg ke samne la hola wala quwwata illa billah parha agar wo ghaib na huwa to kya wo sahi buzurg hoga ?
04:02:27
Ali bhai aap sawal ka jawab dene ke doran ghair zaruri guftagu kar dete hein jis se dusron ko mazeed sawalaat ka moqa mil jata hai ?
04:03:00
qaza namaz ghar mein parh sakte hein ya masjid mein hi ja ke parhni hogi ?
04:03:12
madina mein qehat para to ayesha (rz) ne nabi saw ki qabar ke oopar se hujray ki chat mein sorakh kar diya jis se aasman mein badal chaa gaye aur khoob barish hui lehaza nabi saw ki qabar ka waseela jaiz hai ?
04:04:02
kya ek Aalim aur jahil ka vote barabar hai kyu ke quran mein hai ke ilm wale aur baghair ilm wale barabar nehi ho sakte ?
04:08:07
agar koi naik aur parhezgar log milkar hakumat peh qabza kar lein to kya zabardasti hakumat peh qabza karna jaiz hai ?
04:08:46
konsi tasweer banana haraam hai ? mobile mein selfie lena jaiz hai ?
04:09:04
kitab us sunnah mein ibne abi asim ki riwayat hai nabi saw ne Ali (rz) se farmaya tum mere baad momineen ke khaleefa ho aur wassi ho aur is hadees ko albani ne sahi kaha hai ?
04:10:25
agar walidain bay namazi hon aur faut ho gaye hon to kya hamari namazon ka unko faida hoga ?
04:11:13
jehad e kashmeer aur jehad e falasteen keliye pakistan ka kirdar kya hona chahiye ?
04:11:52
mobile mein teen patti game mein coin jeet kar internet peh sale karna ?
04:12:12
Ali mirza ulma ke sath munazrah kyu nehi karte part 1 ?
04:14:58
shia ka aitraz ke abu bakr (rz) ne hadees sunai jo nabi jahan faut hota hai usay wahin dafan kiya jata hai kya ye nabi saw ka farman hai ya abu bakr (rz) ka zati ijtehad hai ?
04:16:35
Ali mirza ulma se munazrah kyu nehi karte aur aakhir Ali mirza ka maqsad kya hai part 2 ?
Icon this is notification panel