04-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (08-April-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:38
Gumrah firqon peh lecture record kyu nehi karwate aur kya sirf qadiyaniyon ke aqaid khatm e nabuwat ke khilaf hein ?
00:08:15
Farishton ka salam sunnay walay sehabi imran bin husain ?
00:17:17
Ghari dayen hath pe ya bayen hath peh bandhni chahiye (right hand ya left hand peh) aur namaz mein idhar udhar dekhna ?
00:19:41
Ali bhai aap ulma ke sath munazra kar ke haq ki awaz buland kyu nehi karte kya munzra karna haraam hai ?
00:21:13
Baaz ulma apke clips out of context kaat ke aapke khilaf upload karte hein aur apko badnam kar rahe hein kya hum bhi yehi harba istimal karen kyu ke mohabbat aur jang mein sab jaiz hai ?
00:25:04
Allah ne jis amal pe sawab dene ka wadah kiya hai usay pura kare ga aur jis amal par saza dene ka wadah kiya hai usme Allah ko ikhteyar hai, agar Allah chahay to choti si naiki peh bakhsh de aur agar chahay to ek gunah peh dozakh mein phaink de?
00:26:59
Kya amma hawwa ko Adam (as) ki pasli se paida kia gya tha ?
00:30:18
Kya aurten apne jisam se ghair zaroori baal remove kar sakti hein jaise taangon se plaster chipka kar ya ustray se ya hair removing cream se ?
00:31:05
Agar koi imam masjid apne peechay namaz parhnay se mana kare ke aap mere peechay namaz na parhen to kya karna chahiye ?
00:34:29
Kya namaz e janazah aur aam namaz mein darood e ibraheemi hi parha jaye ga aur duaa e qanoot mein darood ?
00:35:12
imam abu hanifa aur unke muqalideen ki rafa yadain ke baghair namazen kaisi hein aur yazeed ke baray mein Ali bhai ka moaqif ?
00:35:48
Istikharah karne ka sahi tarika ?
00:36:37
Labbaik ya Rasool Allah kehna shirk hai ?
00:37:43
Agar adalat aurat ke haq mein khulaa ka faisla de deti hai lekin mard talaq nehi dena chahta to iska kya hal hai ?
00:41:41
Kya qeyamat wale din sab musalman saza bhugat ke jannat mein chalay jayen gy, nabi saw ki shafaat mushrik ke liye nehi hai ?
00:43:17
Kya mard aur aurat ki namaz ka tarika ek hai, mard aur aurat ki namaz ke tarikay mein faraq ?
00:43:34
Kya ghair muslim yani kafir bhi jannat mein jayen gy jin tak nabi saw ka paigham nehi poncha unka kya qasoor hai ke wo dozakh mein jayen ?
00:44:04
Kya sham ka waqt duaa ki qabooliyat ka waqt hota hai, aur duaa ki qabooliyat ke auqat kya hein ?
00:44:28
Kya asar ki namaz ke baad quran parh sakte hein, aur makrooh waqt mein janazah parh sakte hein ?
00:44:43
Kya sotay waqt tasbeeh e fatimah parhna sunnat hai detail hadees ?
00:49:27
Baaz log iyyaka naabodu parhtay hein jabke lafz naabud hai kya aisa parhna tauheed ke mukhalif hai ?
00:51:20
Kya job karne wali aurat iddat ke dino mein ghar se bahir nikal sakti hai, boorhi aurat ki iddat aur kya biwi khawind ki ijazat ke baghair apne baap ki mayyat ka chehra dekh sakti hai ?
00:54:00
Seerat un nabi saw pe best kitab konsi hai ?
00:55:35
Jummah ke arabi khutbay mein kaise baithna chahiye aur kya arabi khutba aur urdu khutba alag alag hein ?
00:57:10
Agar asar ki namaz late ho jaye to kya maghrib se pehle parh sakte hein ?
00:57:51
Hadees e qudsi hai ay ibne adam ek teri chahat hai ek meri chahat hai kya ye hadees sahih hai ?
00:58:13
Kya abdullah bin mubarak ne ibne masood ki rafa yadain wali hadees se ruju kar liya tha, rafa yadain peh abdullah bin mubarak aur abu hanifa ka munazrah aur imam wakee ke comments ?
01:06:41
Farz namaz ke baad ijtemai duaa kyu nehi karte ye mana kahan hai ?
01:08:53
Agar larki ki phuphi faut ho jaye to kya wo apne phupha se nikah kar sakti hai, maharramaat e abdiya ka beyan aur kin rishton se shadi nehi ho sakti aur konse rishtay na mahram hein ye jannay ka farmula ?
01:11:52
Aap ne ahmad raza ka kalaam parha lekin us mein musannaf ka naam nehi parha ?
01:13:12
Agar sehri ka waqt khatam ho jaye to kya aath pehra roza rakh sakte hein ?
01:14:20
Nabi saw ki namaz kitni lambi hoti thi yani kitne minuts ki hoti thi kya namaz mukhtasar parhani chahiye, aur raku aur sajdon ki tasbeehat taaq hon ya juft hon ?
01:17:16
Sehri ka waqt khatam hone par azan ke doran khatay peetay rehnay se roza ho jaye ga ?
01:18:10
Kya tashahud mein rabbi ja'alni wali duaa parh sakte hein, tashahud mein kon konsi duaaen parhi ja sakti hein ?
01:20:40
Ulma kehte hein iman ki hifazat keliye kisi murshid e kamil ka mureed hona zaroori hai aur kehte hein qeyamat ke din har shakhs ko uske imam ke sath bulaya jaye ga, bait aur peeri mureedi ki haisiyat ?
Icon this is notification panel