05-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (15-April-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:40
Kya gustakhon ko galiyan dena sunnat hai ?
00:15:42
Apki academy kay kharcha akhrajaat kaise chalte hein jabke aap kisi se chanda waghera nehi letay ?
00:19:41
Kalma aur azan mein muhammad Rasool Allah ke airaab mein zabar zair ka faraq kya hai ?
00:23:33
Allah keliye aisa kehna ke Allah farmata hai kehna chahiye ya Allah farmatay hein ye kehna chahiye, yani jama ka seegha use karna chahiye ya singuler ka seegha ?
00:25:25
Kya imam bukhari ko 3 lakh hadeesen yaad thin baaqi ahadees kahan gai, aur nabi saw ki totel ahadith kitni hein ?
00:30:18
Islam 360 mein mishkat ul masabeeh aur musnad e ahmad kab tak aye gi ?
00:31:09
Hadees mein aya hai ke Eisa (as) ko damishq ki masjid ke minaar pe utara jaye ga aur wo seerhi ke waseelay se neechay utren gy iska matlab waseela zaroori hai ?
00:32:58
Pul siraat kya hai kya mojooda duniya ko pul siraat kaha jata hai ?
00:34:25
Ann wali riwayat kya hoti hai, mudallis ravi kon hota hai, tadlees kise kehte hein ?
00:37:48
Kya bay namazi ko zakaat di ja skti hai ?
00:38:03
Ghaibana namaz e janazah ek se zeyada dafa parhi ja sakti hai ?
00:39:45
Kya miyan biwi ka apas mein parda hai, biwi aur shohar ke darmeyan sharai hadood kya hein ?
00:40:37
Rajjab ke mahinay mein ek roza rakhna puray saal ke rozay rakhnay ke barabar hai ?
00:40:48
Kya raku mein rakat mil jati hai agar imam ke sath raku mein shamil hon ?
00:42:09
Main ek tankhuwa dar admi hon saal ke end pe paisa jama nehi hota kya mujh peh zakaat wajib hai ?
00:43:18
Kehte hein jab banda baithay baithay kaanp jaye to usay qabar yaad karti hai aur kapkapi tari ho jati hai ?
00:43:56
Kharay hoke pani peena, kya aisi koi hadees mojood hai ke jab tum kharay ho ke pani peetay ho to tumhara sath shaitan hota hai ?
00:45:33
Kya qabar mein sawalaat arabi zuban mein honge kya arabic seekhna zaroori hai ?
00:46:21
Agar abu sufiyan ne islam qabool kar liya tha to aaj molvi unke naam ke sath hazrat kyu nehi lagatay izzat ke tor peh ?
00:49:00
Qabar par agar batti jalana kaisa aur qabar peh kutba lagana ?
00:49:42
Masjidon mein haq chaar yaar likha hota hai iska ka matlab hai, aur panj tan paak kehna kaisa, aur kya hazrat Ali (rz) ne hazrat hasan (rz) ko khaleefah namzad kiya tha ?
00:54:06
Agr ek jagah zohar ki namaz parh ke dusri jagah jayen aur waha bhi jamaat mil jaye to kya namaz dobara parhni hogi aur qazaye umri ka tarika kya hai ?
00:55:30
Kya do sajdon ke darmeyan do se zeyada dafa rabbighfirli parh sakte hein aur kya quran mein rabb se shuru hone wali qurani duaaen tashahud mein parh sakte hein ?
00:56:20
Kya do sajdon ke darmeyan shahadat ki ungli uthana sabit hai ?
00:57:14
Agar kisi se tawwaruk baithna mushkil hoto tashahud mei hanafi tarikay se baith sakta hai, aur tawwaruk baithnay ka tarika kya hai ?
00:58:58
Aapne Allah aur Muhammad ke chaar haroof bataye jabke shad mila ke paanch haroof ban jate hein ?
00:59:15
Rafa yadain karte waqt Allaho akbar kab kehna chahiye pehle ya baad mein ?
00:59:41
Kya namaz ki teesri aur chauthi rakat mein fateha ke baad surat bhi mila sakte hein ?
01:00:32
Jamaat mein imam se pehle arkaan ada karna kaisa kya koi muqtadi imam se pehle namaz ka koi rukan ada kar sakta hai ?
01:02:01
Agar jamaat ki pehli rakat nikal jaye to kya sanaa parhni hogi ya direct fateha se shuru karni hai ?
01:02:25
Agar kisi ke hath ganday hon uske sath musafah na karna takabbur hai ?
01:03:11
Kya cigaret chars aur naswar ka karobar karna haraam hai jabke log namaz bhi parhtay hein phir bhi istarha ke kaam karte hein ?
01:03:29
Agar koi namazi banda kabeerah gunah karta hai to kya uske tamam naik amaal barbad ho jayen gy ?
01:03:58
Ali bhai Allah apki zindagi mein barkat ataa farmaye aur apko is jehad ka ajar ataa farmaye ?
01:04:35
Agar koi namazi apne ghar walon se bura salooq karta hai aur ghar walon ko tang karta hai to kya aise banday ko ibadat nafa de gi ya uska sawab zaya ho jaye ga ?
01:06:00
Duniya mein aisa kyu nehi hota ke Allah buray banday ko ibrat ka nishan bana de takay baaqi log buraiyon se aur ghalat rastay se ach jayen ?
01:07:31
Harmain mein hateem ke andar dakhil hone ka rasta tang hai jiski waja se kafi rash hota hai aur mard o aurat ek dusray ke sath chimtay hotay hein kya ye sawab ka bais bane ga ya gunah ka ?
01:09:57
Agar masjid e haraam hoto kya phir bhi aurat ka ghar mein namaz parhna afzal hai ya masjid mein parhni chahiye ?
01:10:58
Kya khudkushi karne wale ki maghfirat ho jaye gi kya khudkushi wale keliye duaa e maghfirat kar sakte hein ?
01:12:22
Naqal maar ke hasil ki gai jaali degree se job karne wale ki kamai halal hogi ?
01:13:13
Muhammad shaikh aur mufti abdul baqi ke munazray peh apka moaqif kya hai ?
01:16:44
Qabar e Rasool saw peh hazri ka tarika, door se darod o salam parhna aur kya nabi saw hamara salam khud sunte hein ?
01:20:37
Kuch ulma ka kehte hein hadees sirf parhnay ya sunnay keliye hoti hai amal karne keliye nehi hoti aur kya ahadees par hukam laganay ka meyaar sab mohaddiseen ka ek jaisa hai, kya hadees parhna sirf ulma ka kaam hai ?
01:21:43
Musafir imam aur muqeem imam ke peechay namaz parhnay ka tarika, muqtadi kitni rakat parhay ga ?
01:27:33
Bahir ke mulkon mein bay rozgari alounce dia jata hai aur by rozgaron ko zakaat ke paisay diye jate hein kya sadqa aur zakaat logon ke maal ka mail kuchail hai ?
01:29:14
Agar witar mein duae qanoot parhna bhool jayen to sajdah sahaw wajib ho jata hai ?
01:30:23
Kisi anjan bachay ko lekar palna jiske maan baap ka pata na ho to lay palak bachay ke maan baap ka naam kya rakhay aur gaud liye huwe bachay ka wirasat mein hissa ?
01:31:35
Farz aur wajib mein kya faraq hai ?
01:32:06
Pichli dafa aap ne tashahud ki duaa batai aur kaha tha iske baghair namaz nehi hoti jisme chaar cheezon se Allah ki panah talab karne ka zikar hai ?
01:32:53
Sabse pehli hadees ki kitab konsi hai aur al mowta imam malik ko kutbe sitta mein shamil kyu nehi kia gya ?
01:33:50
Sari raat ibadat kar ke thakawat ki waja se neend nehi khuli aur fajar ki namaz qaza ho gai ?
01:34:24
Kya hadees ka ilm hasil karne keliye 8 saal ka course karna zaroori hai ?
01:35:33
Kya tasweeren banana ulma ne majboori mein halal qarar dia hai ?
01:36:45
Kya aslam mein mazah aur mazaq karna jaiz hai aur ulma ka mimbron peh ganday lateefay suna kar awam ko hansana ?
01:37:47
Kya sharam gaah ko kapray ke oopar se hath laganay se wazu toot jata hai ya direct choonay se wazu toot'ta hai ?
01:37:57
Kya muqtadi ruku se uthnay ke baad sami Allaho liman hamidah parh sakta hai ?
01:38:39
Kya fazail e amaal ka rutba bukhari muslim se zeyada hai kyu ke fazail e amaal sab se zeyada parhi jane wali kitab hai ?
01:40:49
Ruku aur sajdon mein kon konsi duaaen maang sakte hein aur tashahud ki masnoon duaaen konsi hein ?
01:42:25
Kya fiqahi masail ki ahadees beyan karna sirf ulma ka kaam hai ya ye kaam aam admi bhi kar sakta hai ?
01:43:10
Kya tattoo banwanay wale ki namaz nehi hoti ?
01:44:32
Kya shakhsiyat par naam ka asar hota hai, naam badalna aur naamon ke asraat ?
01:45:50
Shia ka aitraz ke imam bukhari ne hazrat Ali (rz) se ahadees kam kyu li aur abu hurraira (rz) se ahadees zeyada kyu li ?
01:55:40
Kya kisi ghair muslim ke janazay aur wafaat ki taqreeb mein shamil ho sakte hein aur kya kisi ghair muslim ki shadi ki taqreeb mein shirkat ki ja sakti hai ?
01:57:10
Kya khana kaabah Allah ka ghar hai isi liye usay baitullah kaha jata hai kya usme Allah rehta hai ?
01:58:34
Kya bay namazi keliye duae maghfirat aur uski namaz e janazah parh sakte hein ?
01:59:32
Kya namaz ki sirf farz rakaten parh lena hi kafi hai ya sunnaten parhna zaroori hai ?
02:01:11
Kya kuch mohaddiseen zaeef hadees ko fazail e amaal mein lenay ke qail thay kya zaeef hadees fazail mein li ja sakti hai ?
02:11:50
Daur e hazir mein ahadees peh tahkeem laganay wale aur sahih aur zaeef hadees mein faraq karne wale mohaddiseen kon hein ?
02:15:29
Shia ka kalma aur azan mein izafah karna aur suniyon ka azan se pehle darood parhna aur jumma ke khutbay mein khulfa rashdeen ka zikar karna bidat hai ?
02:19:46
Agar ghar mein chotay bachay ko quran ka ilm zeyada ho to kya wo apne ghar ke baray logon ki imamat karwa sakta hai, aur afzal ka ghair e afzal ke peechay namaz parhna aur imamat ki sharait ?
02:24:22
Kya hafiz e quran bacha apni maan ki imamat karwa sakta hai aur 2, 3 logon ki jamaat ka tarika aur kya aurat jamaat ki pichli saf mein khari hogi ?
02:25:28
Kya office mein kaam karne wale namazen jama kar sakte hein ?
02:27:24
Office mein kaam karne wale office ki masjid mein namaz parhen ya bahir masjid mein ja kar parhni hogi ?
02:29:36
Kya sajday mein darood parh sakte hein, janabat ki halat mein ya aurat haiz ki halat mein zikar azkaar ya qurani duaaen parh sakti hai, aur kya tashahud mein surah al falaq aur surah al naas duaa ke tor peh parhi ja skti hein ?
02:31:33
Nakhun kutarnay se rizq mein kami hoti hai aur tootay huwe bartan mein khana peena kaisa ?
02:32:34
Namaz ke doran daanton ka khalaal karne se koi cheez nikal aye to kya usay thook dein ya nigal lein ?
02:34:05
Kya namaz ke ilawa aam halat mein bhi kapra fold karna mana hai aur jo kapray pehle se fold huwe hote hein jaise pent ?
02:35:00
Nabi saw ne maqrooz ka janazah nehi parha lekin agar koi majboori ki halat mein qarz le lay to uske baray mein kya hukam hai ?
02:36:10
Biwi par khawind ke haqooq aur kya biwi par shohar ke maan baap ki khidmat karna farz hai aur agar biwi alag ghar ki demand kare aur joint family mein rehna pasand na kare to kya usko alag ghar le ke dena chahiye ?
02:38:33
Kya doosri shadi keliye pehli biwi se ijazat lena zaroori hai ?
02:39:31
Kya bahir ke mulkon mein job karne wale aur gharelu khawateen namazen jama aur namazen qasar kar sakti hein ?
02:41:24
Dr zakir naik apne beyan mein hinduon ki mazhabi kitabon se nabi saw ke aane ki peshan goiyan sabit karte hein aur kya hindu ibraheem ke saheefon ki bigri hui shakal hein ?
02:42:21
Kya namaz mein surah alaa ke baad subhana rabbi yalaala ki tasbeeh parhna sunnat hai ?
02:43:21
Kya 18 saal se pehle ya baligh hone se pehle islam qabool karna pakistan ke qanoon mein jurm hai, aur larka larki kab baligh ho jate hein ?
Icon this is notification panel