50-Questions on DUROOD-o-SALAAM in 88-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS of Engr. Muhammad Ali Mirza (10-Nov-19)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:17:39
Na’lain Shareef kay badge kay naksh ki shara'i haisiyat kia hai ?
00:51:58
Jaisa keh aap nay khud bayan kiya hai ki Surah Ahzab ki Ayat No.56 mein Nabi ﷺ par Durood aur Salaam pesh karne ka hukm aaya hai is hawalay say donon kay Sunnat seegay bhi bata dein?
01:05:28
Baaz barelvi ulama ka moaqqaf hai ki durood e Ibrahimi sirf Namaz ke sath khas hai , kia Namaz ke alawa durood e Ibrahimi parhna jaiz hai ?
01:15:26
Baaz log kehte hain ki Durood Shareef wahid ibadat hai jo ALLAH bhi karta hai aur yeh Namaz se bhi afzal hai kia aisa aqeedah rakhna durust hai ?
01:27:43
Durood e Ibrahimi mein Aal e Ibrahim se kya muraad hai kyonki Yahoodion ki jaanib se yeh tanz kiya jata hai ki hum Bani Israel hi Aal e Ibrahim hain aur hum par durood parhe bina Musalmano ki namaz mukammal nahi hoti ?
01:33:51
Durood Shareef mein Aal e Muhammad ﷺ se muraad kya sirf Ahl e Bait A.S. hain ya phir ruhaani aulaad yani unki Ummat hai ?
01:44:13
Yeh Sunni durood aur Shiah durood alag alag kyon hain jabki dono aik hi Nabi ﷺ ko maan nay wale hain ?
01:46:15
Ahl e Tashaiyyo hazraat ruku aur sajdon mein bhi durood shareef parhtay hain jabki Ahl e sunnat hazraat kewal tashahud mein kya wo bhi ruku aur sujood mein durood shareef parh sakte hain ?
01:50:34
Nabi e Kareem ﷺ ka jab naam e mubarak Muhammad ﷺ likha jata hai hai to jo suad lagaya jata hai ya salaam lagaya jata hai kya ye jaiz hai ?
01:52:26
Kia durood o salaam kewal Nabi ﷺ ke sath khaa hai ya doosrey Anbiya A.S. ke liye bhi ﷺ ka istamaal kiya jaa sakta hai aur yeh bhi bata dein ki Adam, Ibraheem, Moosa aur Isa علیہ السلام ki tarah kya Nabi ﷺ ko bhi علیہ السلام keh sakte hain aur kya Sayyidna Ali, Hassan aur Hussain A.S. ke saath bhi علیہ السلام keh sakte hain ?
01:58:42
Agar aik majlis mein baar baar Nabi ﷺ ka naam e mubarak aaye to kya baar baar durood shareef parhna zaroori hai ya sirf aik martaba parh lena hi kaafi hoga ?
02:02:06
Islam ne kin kin mauqon par Durood o Salam parhne ko ibadaat bataya hai kia Namaz aur Namaz e Janaza ke alaawa bhi kahi iska zikr hai ?
02:09:59
Kia aisi koi hadees hai ki insaan ki dua uss waqt tak qubool hi nahin hoti aur zameen aur aasmaan ke darmyan latki rahti hai jab tak durood o salaam na parha jaaye ?
02:25:50
Agar koi shakhs namaz mein durood shareef parhna bhool gaya to kya uski namaaz ho jayegi ?
02:32:52
Kya Munkireen e Hadees apni namaz mein durood shareef parhte hain agar haan to kaun sa durood shareef parhtey hain ?
02:35:21
Aik aam aadmi ko durood shareef ke mutaliq sahih ul isnaad ahadees aur man kharant ahadees ka kaisa pata chalega ?
02:39:53
Durood Shareef ke fazayl par Barelvi Aalim Mufti Ameen Sahab ki kitab Aab e Kauthar aur Deobandi Aalim Zakariya Kandhalvi ki kitab fazayl e durood ke waqiyaat jinhe aap ghalat samajhte hain dar asal buzurgon ki kitabon se hi liye gaye to aap in buzurgon ko ghalat kyon nahi kahtay ?
02:47:23
Kia koi aisa durood shareef ya wazeefa hai jis say hum gunahgaaro ko khuwab mein Nabi ﷺ ka deedar ho jaaye agar aisa koi wazeefa hai to please hum logon ko zaroor batayein ?
02:53:06
Abdullah bin Umar R.A. ne ek aadmi ko cheenk ke jawab mein Alhamdullillah ke sath Wasalamu Ala RasoolAllah ﷺ parhne par mana kiya tha par Ali bhai to baar baar apnay lectures mein durood shareef parhwate hain kya unka yeh amal bhi bid'dat mein shumaar hoga ?
02:57:21
Kia Mard ya Aurat napaaki ki halat mein durood shareef parh sakte hain maslan halat e janabat ya auraton ke makhsoos ayyam mein aur yeh bhi bata dein ki kya namaz ki tarah durood shareef parhne ke liye bhi ba wudhu hona parega ?
03:13:06
Kya auratein nangay sar durood shareef ya Adhan ka jawab de saktin hain ya sar dhaanpna zaroori hai ?
03:25:01
Aapki favourite jamat matlab Tableeghi Jamaat walay aksar ye hadees bayan kartay hain ki Juma ke din 80 baar ye durood parhne se 80 saal ke gunaah muaf ho jaate hain kia unka yeh dawah sahih hai ?
03:31:53
Kya durood shareef mein Ahl e Bait A.S. aur Azwaj e Rasool ﷺ aur Ashaab R.A. e Rasool ﷺ ka zikr karna bhi zaroori hai ?
03:33:53
Durood e Lakhi, Durood e Maahi, Durood e Ghausiya, Durood e Taj aur Qaseedah Burda shareef mein aane wale alfaaz inka wajeefey ke taur par parhna kaisa hai ?
04:07:00
Kya Hajiyon ke zariye Nabi ﷺ par durood o salaam bhijwana jaiz hai baaz log to parchiyon pe naam likhwa ke bhejte hain aisa karna kaisa hai ?
04:11:18
Nabi ﷺ ka farmaan hai ki meri qabar par ALLAH ek farishta mukarrar farmayega jo door ya nazdeeq se durood o salaam sun ne ki taaqat rakhega aur Aap ﷺ ko batayega ki fulaan bin fulaan ne aap par durood o salaam bheja hai hai iski kya haqeeqat hai ?
04:30:18
Kia ye Hadees sahih hai jo shakhs meri qabr par durood shareef parhta hai uska durood mein sunta hoon aur baaqiyon ka durood mujh tak pahunchaya jaata hai ?
04:54:01
Kya yeh baat sahih hai ki Hazrat Adam A.S. aur Sayyedah Hawwa S.A. ke nikaah ke waqt 20 baar durood shareef unka Haq Meher rakha gaya tha ?
04:55:53
Agar koi shakhs kitab likhe aur usme wo Muhammad ﷺ ke naam ke sath durood shareef bhi likhe to kya jab tak wo parha jayega tab tak likhne wale ko uska sawaab milta rahega ?
04:57:15
Jo mujh par durood na parhe uska wuzu nahin hai kya yeh baat theek hai ?
05:04:17
Zard rang ke Libaas aur Imama ke baaray mein Aik aham suwaal ?
Icon this is notification panel