03-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (01-April-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:25
Kya sadqa ya duaa taqdeer ko badal sakti hai kya duaa se taqdeer badal jati hai, aur umar mein barkat aur rizq mein kushadgi kaise hoti hai jabke sab kuch pehle se taqdeer mein likha huwa hai ?
00:03:42
Islam mein siyasi nizam, kya ahadees ki kitabon mein siyasat ka chapter mojood hai ?
00:08:54
Sehaba (rz) ke fazail peh chapters ke naam konse hein ?
00:09:59
Taweez ki sharai haisiyat aur kya qurani taweez latkana bhi shirk hai ?
00:13:17
Kya hath se kisi jandar tasweer banana jaiz hai ?
00:16:23
Ghazwa badar peh ababeel parindon ke zariye Allah ka madad karne wala waqeya sach hai, aur aap kehte hein mazaron peh bom phat'tay hein to buzurgh apne mazar ki hifazat kyu nehi karte to Allah apne kabah ki hifazat kyu nehi karta, kya ammi se roti mangna bhi shirk hai, zahri asbab kya hein ?
00:21:52
Rajjab ke koonday aur moharram ki niyaz aur geyarhwen ki niyaz khana jaiz hai ?
00:23:55
Kya omar series aur islami filmen dekhna jaiz hai ?
00:29:39
Allah ne har makhlooq ko joron ki shakal mein paida kia hai to kya farishton ke joray bhi banaye hein kya farishton mein bhi male aur female hai ?
00:30:52
Kya hazrat Ali (rz) ki paidaish khana kabah mein hui thi, kya awais qarni ka daant tornay wala waqeya sahi hai ?
00:34:39
Mera dost imam e kabah ke peechay namaz nei parhta kyu ke wahan taghoot ka nizam hai, kya imam e kabah ke peechay namaz ho jati hai ?
00:38:24
Mazaraat wale aurton ko mazaron pe jane se kyu nehi rokte aur kya aurat qabrastan ja sakti hai ?
00:42:41
Mazar wale kehte fauq mana nehi hai balkay alaa mana hai is liye qabon par gumbad banana aur qabron peh amarat banana jaiz hai ?
00:49:11
Kitabullah yani Allah ki kitab se murad sirf quran hai ya quran hadees dono ke majmuway ko kitabullah kaha jata hai ?
00:50:03
Jo shakhs raat ko ayat ul kursi parh ke so jaye Allah uski hifazat ke liye ek farishta muqarrar kar deta hai to ulma karam apni hifazat ke liye body guard aur gun man kyu rakhe hein ayat ul kursi kyu nehi parh letay ?
00:54:26
Agar namaz sunnat e ibraheemi hai aur tawatur se chalti aa rahi hai to meraj ki raat jo 5 namazen farz hui kya ye ummat e muhammadiya ke liye makhsoos hai, kya yahoodi aur esai bhi namaz parhte hein ?
00:55:32
Ya Rasool Allah saw kehna kaisa ?
00:56:38
Agar kisi ko acting ka shauq ho to kya wo filmon mein actor ban sakta hai, aur filmon dramon mein miyan biwi ka roll karna haraam hai, kya mazaq mein talaq ya nikah ho jata hai ?
00:58:10
Islam mein cast ki kya ahmiyat hai aur firqa wariyat ki waja se ittehad e ummat kaise mumkin hai ?
01:00:14
Kya hazrat Ali (rz) mushkil kusha hein kya ya Ali madad kehna jaiz hai ?
01:00:54
Jisne fatima ko takleef di usne muhje aziyat di is hadees ke tehat abu bakr (rz) kya maamla hai ?
01:03:40
Kya cricket match peh shart lagana jaiz hai, qurra andazi ke zariye inaam niklna aur prize bond ka inaam ?
01:04:54
Kya iman sirf zuban se kalimaat ada karne ka naam hai ya amal karna bhi zaroori hai ?
01:05:59
Kya materialism aur nationalizm shirk hai ?
01:09:06
Kya namaz kisi ka zati fail hai agar hum kisi ko namaz ki dawat dein to wo kehta hai namaz Allah aur uske Rasool saw ka maamla hai ?
01:10:30
Kya reyasat mein hukmaran kisi ko zabrdasti namaz parha sakta hai ?
01:11:40
Kya ibadat mein namaz roza haj zakaat sab cheezen shamil hein kya halal rozi kamana ibadat hai aur kya hukmaran ka Allah ki shariyat ke mutabiq faisla karna bhi ibadat hai, kya haqoq ul ibad bhi Allah ki ibadat hai ?
01:12:18
Zameen ke malik ke rishtedar agar zameen mein gandum chawal ki fasal ugaa kar nafa hasil karte hein to zakaat kiske zimmay hogi, aur anaaj ki zakaat kitni hoti hai aur ushar kitna hota hai ?
01:12:57
Taqwiya tul iman mein ismaeel dehlvi ne Nabi saw ko baray bhai ki tarha kaha hai kya nabi saw ko bhai kehna jaiz hai ?
01:14:39
Islam mein nikah e shighaar yani watta satta ki shadi ki haisiyat ?
01:15:52
Haram ki hadood mein kisi bhi masjid mein namaz parhna masjid ul haraam mein namaz parhna shumar hoga ?
01:17:07
Kya cast badalna apni zaat badalna gunah hai agar abao ajdad ne cast badal li to aulad kya kare ?
01:19:23
Banday Allah se mohabbat karte hein aur Allah banday se mohabbat karta hai ye kaise pata chalay ga aur Allah ki mohabbat ka taqaza kya hai ?
01:22:10
Aaj kal har taraf fitnon ka daur hai to hamen kaise pata chalay ga ke naik bandon ki mehfilen konsi hein ?
01:22:38
Kya witar ki namaz fajar ki sunnaton ke baad fajar ki namaz se pehle parh sakte hein ?
01:23:06
Buri sohbat bura dost aur buri mehfil mein jana kaisa jahan ghair sharai kaam hote hon ?
01:24:24
Kya jahaiz lanat hai ?
01:26:00
Haj aur umrah pe jane se pehle rishtedaron se galay mil kar aur maafi maang kar jana kaisa aur haj se wapsi par log ghar peh gift tohfay aur mubarakbad dene aatay hein ?
01:28:04
Kharay hoke pani peena jaiz hai ?
01:29:38
In door games jaise taash (play cards) khelnay ke liye namazon ko jama kiya ja sakta hai ?
01:30:43
Apki academy ki timming yehi rahe gi ya tabdeel hogi ?
01:32:17
: agar wazu ke doran kulli karte waqt masooron se khoon aa jaye to kya wazu toot jaye ga ?
01:32:28
Music sunna aur ganay (songs) gana gunah hai ?
01:33:45
Agar imam ke peechay fateha parhay baghair raku mein shamil ho jayen kya rakat shumaar ho jaye gi ?
01:34:57
Kya tootay huwe bartan mein khana peena makrooh hai ?
01:35:54
Deeni maamlat mein mushkil ki bajaye asani lena kya aisi koi hadees mojood hai ke deen mein asani paida karo aur logon ko deen se mutnafar mat karo ?
01:36:55
Pait ke bal ulta laitna mana hai ?
01:37:06
Janazah le jate waqt kalma shahadat parhna bidat hai ?
01:38:13
Marhoom ke ahle khana ke sath mayyat ke liye taaziyat aur duaa ki jati hai kya mayyat ke liye hath utha kar duaa kar sakte hein ?
01:38:46
Kali pagri is liye nehi pehnni chahiye kyu ke bidati pehnte hein is liye unki mukhalfat mein laal rumal rakhna chahiye taakay unki mukhalfat ho sake ?
01:40:19
Kya eisa (as) masjid e nabwi mein nabi saw ke sath dafan honge ?
01:40:49
Kya postmortem se murday ko takleef hoti hai kya qatal ke qisas ke liye postmortem karwana jaiz hai ?
01:44:04
Shadi mein nikah ka sunnat tarika kya hai ?
01:44:26
Jummah ke din zohrain yani jumma ke din namazen jama karne ka tarika kya hai ?
01:44:57
Kisi ki izzat ke liye uski tazeem mein kharay hona kaisa aur ustad ki tazeem ke liye khara hona kaisa ?
01:47:57
Jis kamray (room) mein TV laga ho ya tasweeren lagi hon to kya us kamray mein namaz ho jaye gi ?
01:49:58
Qeyamat ke din jab faraiz mein kami nikle gi to kya witar, tahiyya tul wazu tahiyya tul masjid aur mannat ke nawafil se faraiz ki kami ko pura kar dia jaye ga ?
01:52:08
Agar fajar ki namaz qaza kar ke parhi to uske sath azkaar parh liye to kya qaza azkaar ko Allah qabool kare ga ?
01:53:23
Fajar ki namaz se lekar talu e aftab tak aur maghrib ke baad sona mana hai ?
01:54:47
Takht posh pe namaz, khajoor ki chaal ki chitai peh namaz parhna, kya nabi saw ki paishani peh mehrab ka nishan tha ?
02:00:47
Agar namaz ko awwal waqt ki bajaye late kar ke parhen to kya qabar mein azab hoga ?
02:06:02
Kya 12 sunnat e moakidda ishraq ki namaz se afzal hai ?
02:08:32
Agar witar ki namaz keliye surah aala yaad na ho to koi aur surat parhi ja sakti hai ?
02:09:59
Agar witar mein duaa e qanoot yaad na ho to uski jagah surah ikhlas ya koi aur duaa parh sakte hein ?
02:11:18
Umrah pe rozay ki halat mein biwi ke samnay kapray badalnay se roza aur wazu toot jaye ga, kya rozana ehraam ki chadar badal sakte hein ?
02:13:27
Kya masjid mein jate huwe ghar se wazu kar ke jana chahiye, kya wash basin pe wazu karna khilaf e sunnat hai ?
02:15:06
Mayyat ki taraf se hajj e badal aur umrah kia ja sakta hai ?
02:16:58
Masjid e haraam ki hadood kahan tak hai jahan namaz parhnay se das hazar namazon ka sawab milay ga, haram ki hadood, aur masjid e haraam ke qareeb hotel mein namaz parhna ?
02:24:12
Kya taneem meqaat hai yani log masjid e ayesha se bar bar aa ke umrah karte hein, kya ek safar mein ek umrah hi ho sakta hai ?
02:25:17
Reyaz ul jannah mein namaz ki fazeelat aur kya reyaz ul jannah mein namaz parhnay wala jannati ho jata hai ?
02:26:54
Kamray mein qibla rukh paon karna qibla rukh thookna aur qibla rukh paishab karna gunah hai ?
02:29:37
Ungliyon ke karakay nikalna ungliyan chtkhana aur daant peesna ghalat hai ?
02:32:58
Kya ulti jooti ko seedha karna zarori hai jiska rukh asman ki taraf ho kyu ke Allah apne arsh pe hai ?
02:37:28
Akhbaron (news pappers) peh Allah ka naam likha ho to usay oopar utha ke rakhna zaruri hai aur quran ke puranay auraaq aur nuskhay talaf karne ka tarika ?
02:42:50
Har waqt sar peh topi rakhn, nangay sar namaz parhna kaisa aur kya kurta pehnna sunnat hai ?
02:44:24
Kya walidain keliye azab e qabar se bachao keliye raat ko sone se pehle surah al sajdah aur surah mulk parh sakte hein ke ye soorten qabar mein unki s
02:45:38
Wazu ke baad sunnat duaaen konsi hein aur wazu ke baad asman k i taraf ungli utha kar dua karna sabit hai ?
02:46:58
Kya walidain keliye azab e qabar se bachao keliye raat ko sone se pehle surah al sajdah aur surah mulk parh sakte hein ke ye soorten qabar mein unki sifarish karen gi ya sirf maan baap keliye duaa e maghfirat karna hi kafi hai ?
02:47:34
Kya raat ke azkaar parhnay ke baad bolna guftagu karna mana hai ?
02:48:16
Kya surah baqarah ki akhri do ayaat parhnay se shaitan ghar mein dakhil nehi hota ?
02:48:38
Qull chaliswan barsi ka khana halal hai jo bazurgon ko esaal sawab kia gya ho ?
02:49:33
Allah ke asmaa e husna ka wazeefa karna aur Allah ke naamon se ilaj karna kaisa ?
02:50:08
Kya nazar e bad ka ilaj karne keliye baray gosht ka sadqa dena afzal hai, aur kya gaye ke doodh mein shifa aur uske gosht mein bimari hai ?
02:52:11
Kya wash room mein wazu karne se aqal zail ho jane ka andesha hai part 2 ?
02:52:22
Kya nafli sadqa kia huwa maal aakhrat mein fitrana aur zakaat ki kami ko pura kar de ga ?
02:53:45
Kya mayyat ki taraf se fitrana aur zakaat ada ki ja sakti hai ?
02:54:38
Agar kis ne esaal e sawab ki niyat se ya sadqa jariyah ki niyat se mineral water lagwaya to kya wahan se har koi pani pi sakta hai chahay ameer ho ya ghareeb ?
02:55:20
Agr bed peh bath kar quran parh rahe hon aur sajdah tilawat kaise karen ?
02:56:17
Folding sign board ka karobar karna kaisa aur hajaam ka kaam jisme daarhi shave karne ka kaam ho kya ye jaiz hai ?
02:57:16
Shadi ki movies aur tasweeren develop karne walon ko dukan rent pe den jaiz hai ?
02:58:27
Wazu kar ke juraben pehan li aur phir utaar kar wazu tootnay se pehle dobara pehan li to kya uspe masah ho jaye ga, aur jurabon peh masah ki muddat ?
Icon this is notification panel