08-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (13-May-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:55
Kya sehaba aur tabaeen ke aqwaal hujjat hein ya marfoo hadees ka hona zaroori hai aur hadees kise kehte hein kya hadees ka lafz sirf nabi saw ki baat ko keliye bola jata hai, hadees e qauli, hadees e faili aur hadees e taqreeri kise kehte hein ?
00:14:52
Konsi hadees sahi hai aur konsi hadees zaeef hai ek aam aadmi ko kaise pata chalay ga uske liye to deen mushkil ho jaye ga ?
00:18:41
Hadees kise kehte hein kya sirf nabi saw ki baat ko hadees kaha jata hai ya sehaba aur tabaeen ke aqwaal peh bhi hadees ka lafz bol sakte hein ?
00:19:59
Hazrat Ali (rz) ne khawarij ke janazay parhaye thay iska reference kya hai ?
00:31:08
Ali bhai aap ne apne research papper 5b waqeya karbala ka haqeeqi pas e manzar mein zaeef ahadees kyu add ki hein ?
00:33:55
Nabi saw ne farmaya tha mere baad kafir na ho jana kay ek dusray ko qatal karne lag jao, is hadees ke tanazur mein aap sehaba ki apas ki jangon ko kis nazar se dekhte hein ?
00:37:26
Mujhe tumse shirk ka khadsha nehi magar ye darr hai ke tum duniya ke maal mein phans jao gy aur ek dusray ko qatal karo gy aur tum bhi babad ho jao gy jaisa ke agle log huwe thay, is hadees ki tashreeh kya hai ?
00:41:12
Kya khana kaabah aur gumbad e khazra ke oopar se koi parinda nehi guzar sakta ye khula mojizah dikha kar hum kafiron ko musalman kyu nehi kar letay ?
00:50:10
Apki videos ke neechay log ganday commnets aur galiyan likhte hein usay delete kyu nehi karte kyu ke aurton ne bhi apke lectures dekhnay hotay hein ?
00:55:45
Kuch ulma youtube peh apke khilaf videos upload karte hein reply to engineer muhammad ali mirza likh kar, kya istarha sabko mashoor hone ki ijazat hai ?
00:56:51
Aapne apne youtube chennal se puranay lecture delete kyu kiye hein, puranay buzurg aur darmeyanay buzurgon mein faraq ?
01:04:55
Shia imam zamin baandhtay hein iski sharai haisiyat kya hai ?
01:05:43
Duniya kis material se banai gai hai ?
01:06:45
Namaz e janazah mein imam agar dono taraf salam pharay to muqtadi ko ek taraf salam phairna chahiye ?
01:07:18
Nabi aur Rasool mein kya faraq hai ?
01:08:52
Kya puray saal ke liye rashan ke tor peh gandum jama kar sakte hein kya ye zakheera andozi karna hai ?
01:09:17
Imam abu hanifa imam e azam hein jaise abu bakr (rz) ko siddiq e akbar aur umar (rz) ko farooq e azam kaha jata hai ?
01:11:18
Kya zakaat ke paison se haj umrah karwaya ja sakta hai ?
01:12:03
Kya bairi ke patton se mayyat ko ghusal dena sunnat hai ?
01:13:20
Imam saffein seedhi karwane keliye muqtadiyon ko arabi mein alfaz kehte hein kya ye sabi hai ?
01:14:27
73 firqon wali hadees ki roshni mein hanafi maalki shafai aur hambali firqay mein shumar honge ya maslak mein, firqa aur maslak mein kya faraq hai part 1 ?
01:16:00
Mulk e sham mein alvi abaad hein jo shia ka giroh hein wazahat farma dein ?
01:17:01
Koi ansan bhi jaan boojh kar dozakh mein nehi jana chahta to phir imamon ne aise aqaid ummat mein kyu dakhil kiye jiski waja se ikhtilaf paida huwa ?
01:18:18
Kya har firqay mein se kuch log dozakh mein jayen gy ya ek pura firqa dozakh mein jaye ga, jannat firqa konsa hoga jisay taifa mansoora kaha jata hai, 73 firqon wali hadees part 2 ?
01:20:59
Kya tasawwuf alag se ek deen hai ?
01:22:07
Agar koi shakhs apni do biwiyon ke darmeyan insaf na kar sakte to gunahgar hoga ?
01:22:45
Qeyamat ke din Nabi saw sabki shafaat karen gy kya kuch musalman shafaat se mehroom bhi reh jayen gy, kalma go mushrik aur kafir mushrik mein faraq ?
01:30:11
Agar walidain ke darmeyan jhagra ho jaye to aulad dono mein se kiska sath de ?
01:31:04
Agar baap is niyat se apni sari dolat kharch kar de ke meri aulad nafarman hai aur aulad keliye kuch na choray to kya wo gunahgar hai ?
01:31:30
Kya islam chor kar dusra deen ikhteyar karne wala murtad wajib ul qatal hai ?
01:31:40
Kya qadiyani larki se nikah jaiz hai ?
01:32:10
Kya aam admi ijtehad kar sakta hai jab koi baat quran hadees aur ijma mein na milay ?
01:33:37
Islam mein na mahram mard se aurat ka pardah kya hai kya hijab pehnna farz hai ?
01:35:19
Agar masjid bananay ki khuwahish hoto kis firqay peh masjid ka naam rakhen ?
01:36:31
Kya accident mein marnay wala shaheed hai ?
01:38:21
Agar sunnat azkaar ka tarjuma yaad na ho to kya azkaar karne ka sawab milay ga ?
01:40:15
Sasural wale bijli chori karte hon aur bahu khamosh rahe to kya wo gunahgar hogi ?
01:41:01
Wazu ke pani mein murda gir jaye to kya us pani se wazu ho jaye ga kya wo pani napak hai ?
01:41:21
Agar zindagi bhar keliye qasam khai hai kya har dafa kaffarah ada karna hoga ?
01:41:59
Halal janwar ki wajdi, ojri khana makrooh hai janwar ki kon konsi cheezen halal hein ?
01:43:39
Haq mehar mein moajjal aur ghair e moajjal ki terms kab ejaad hui thi ?
01:44:15
Ali bhai kya aap ki bai'at ki ja sakti hai agar koi apki bai'at karna chahay to ?
01:45:33
Khana kaabah ko baitullah kyu kehte hein kya waha Allah rehta hai ?
01:46:27
Kya imam bukhari muqallid thay aur imam shafai ki taqleed karte thay ?
01:46:56
Kya islam mein shakhsiyat parasti jaiz hai ?
01:48:11
Ibadat ki waja se chehray peh nooraniyat aana norani chehra haq peh hone ki nishani hai ?
01:52:37
Agar niyat saaf ho to kya na mahram se jaiz hai agar achi niyat ho to ?
01:53:27
Kya aadmi apne bhai ki saas ke sath nikah kar sakta hai ?
01:53:37
Kya retired banday ki pention peh zakaat hai ?
01:53:50
Deen mein shauq kaise paida karen ?
Icon this is notification panel