22-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (12-Aug-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:40
kya maolana maududi ki kitab khilafat o malukiyat mein tahreef ho chuki hai ? khilafat o malukiyat ka difaa deoband ke ulma ne kiya, mufti tariq masood ko jawab ?
00:42:18
kya ramzan mein saray shaitan qaid kar liye jate hein, kya insan ka nafs bhi ek shaitan hai aur kya waswasay daalne wala shaitan bhi qaid kar liya jata hai ?
00:46:54
insani azaa donate karna, aankhen atiya karna, khoon donate karna aur azaa ki pewandkari karna jaiz hai ?
00:54:10
kya aurat ka dupatta nichay zameen peh lagne se bimariyan phailti hein ? kaali billi rasta kaat jaye, kawwa bolay, juti peh juti charh jaye in cheezon ki islam mein kya haisiyat hai ? kya aurten namaz ke doran takhnay nangay kar sakti hein ? agar kapra zameen ko lag jaye to napak ho jata hai ?
00:56:54
kya kutta napak janwar hai ? kya kuttay aur khinzeer ko hath lagne se wazu toot jata hai ? agar kutta kisi bartan mein mooh maar le to bartan kitni dafa dhone se paak ho jaye ga ? kuttay aur billi ki khareed o farokh ka karobar karna aur ghar mein kutta rakhna aur billi paalna jaiz hai ? kya halal janwaron ka thook napak hai ?
00:59:45
mayyat ke paas baith kar kya parhna chahiye, mayyat ki tasweer utar kar social media peh lagana, mayyat ko bosa dena, mayyat ko kis waqt ghusal dena chahiye ? kya abu bakr (rz) ko ilme ghaib tha ke wo kab faut honge aur kya sehaba ko azab e qabar bhi nazar aa jata tha ? kya zubair ali zai (rh) ki marte waqt shakal bigar gai thi ? sehaba ka aqeedah ke marne ke baad qabar mein jisam gal sar jata hai ?
01:04:42
kya skype video call ya audio mobile call ya online nikah ho jata hai ?
01:05:24
kya jootiyan pehen kar namaz parhi ja sakti hai aur jootiyon ke oopar paon rakh ke namaz parhna kaisa ? kya Nabi saw ne ummat ko azan mukammal nehi sikhai (nauzubillah) ?
01:07:46
paon peh zakham hai patti bandhi hai wazu kaise karen, kya zakhmi paon peh masah kiya ja sakta hai ?
01:08:41
agar jamaat ke sath namaz mein muqtadi se ghalati ho jaye to sajda sehaw wajib ho jaye ga ? namaz mein rakaton ki tarteeb bhool jaye, agar koi imam ke peechay sajda karna bhool jaye, ruku sajdon ki tasbeeh bhool jaye to kya sajda sehaw kare ga ?
01:09:51
sarkari idaron mein GP fund peh zakaat ? kya sood ke paison ko baghair sawab ki niyat ke kisi ko de sakte hein ?
01:11:55
ek mard ki pehli biwi se aulad hai aur wo dusri shadi karta hai to us aurat ki pehle khawid se bhi aulad hai, kya nikah ke baad dono ke bache apas mein na mahram honge, jabke jono ke walidain mukhtalif hein ?
01:13:10
kya nafil namaz ya farz namaz mein quran hath mein pakar kar ya mobile mein quran khol kar qiraat ki ja sakti hai ?
01:13:55
kya chotay bachay ko utha kar namaz parhi ja sakti hai ? fiqah hanafi mein kutta utha kar namaz parhna ?
01:15:50
kya qeyamat ke din tamam farishton ko bhi maut aa jaye gi ?
01:16:48
tariq jameel farmate hein ke aurat apne khawind ke zakham ki peep chaat kar bhi uska haq ada nehi kar sakti, kya ye baat darust hai ? tariq jameel bahu ke haqooq to beyan karte hein saas ke haqooq beyan kyu nehi karte ?
01:18:20
kya kisi ghair muslim ya hindu ki aakhri rasumaat keliye shamshan ghaat ja sakte hein aur kya ghair muslim ke ghar ja kar uske ghar walon se taziyat kar sakte hein ?
01:19:32
kya ye baat sach hai ke jab koi larka paida hota hai to Allah kehta hai duniya mein jao aur apne baap ki madad karo aur jab koi larki paida hoti hai to Allah farmata hai main khud tumhare walid ki madad karu ga ?
01:20:24
mareez ke sath paishab karne keliye urine bag laga hota hai is doran mareez namaz kaise parh sakta hai ?
01:20:57
nikah ho gya lekin abhi rukhsati nehi hui to kya 4 mahinay tak miyan biwi na milein to nikah toot jaye ga ?
01:21:32
nafil namaz ka sab se afzal waqt konsa hai kya nafli namaz ka koi waqt makhsoos hai ?
01:22:12
bachpan mein gaye (cow) ke bachon ke seengon peh dawai laga kar seeng khatam kar diye jate hein kya aise janwar ki qurbani jaiz hai, kya ye fitrat ko badalna hai ? bonay bakre aur khassi janwar ki qurbani ?
01:22:58
namaz ke doran qay ulti (vomiting) aane se namaz toot jaye gi ? kya dakaar ya ulti aane se wazu toot jata hai ? kya rozay ki halat mein khoon donate kar sakte hein ?
01:24:08
kya namak se roza aftar karne wali koi hadees mojood hai ?
01:24:18
agar koi parinda ya paltu janwar mar jaye to usay matti mein dafan karna chahiye ya aise hi phaink dena chahiye ?
01:26:38
ek safar mein kitne umray kiye ja sakte hein kya masjid e ayesha se wapas aa kar umrah kia ja sakta hai ? kya masjid e ayesha meqaat hai ?
01:27:27
rang ke kaam mein paint waghera hathon peh lag jaye ya aurat ke nakhuno mein aata ghus jaye kya wazu ho jaye ga ?
01:27:48
kya aurat apne shohar ki ijazat ke baghair apne ghar walon ki maali madad ya ghar ki koi cheez de sakti hai ?
01:28:05
kya Ambia (as) mein se kisi nabi ne apni biwi ko talaq di thi ?
01:28:38
kya bachon peh roza farz hai ? jo maa baap apne chotay bachon ko roza rakhwate hein aur bachay apna roza mukammal nehi kar patay aur roza tor dete hein kya iska gunah maa baap ko hoga ?
01:29:11
kya hafiz quran ke maa baap baghair hisab kitab jannat mein jayen gy kya hafiz e quran ki 7 pushten bakhshi jayen gi ?
01:29:51
kya pura mahina aitikaf kia ja sakta hai ?
01:30:13
jo khud roza nehi rakhta aur kisi rozadaar ka roza aftar karwata hai to kya usay roza aftar karwane ka sawab mile ga ?
01:30:51
mere paas plots mojood hein lekin niyat ye hai ke unko farokht kar ke gaari aur ghar banana hai kya plots ki zakaat lage gi ? maal e tijarat peh zakaat ?
01:31:21
qiston peh li gai cheezon ki zakaat qisten puri hone ke baad ada karni hogi ya qiston ke doran zakaat dein ? qiston peh liye huwe plot ki zakaat kab dein ?
01:31:49
kya aurat ghar mein aitikaf baith sakti hai ?
01:32:50
fitrana ka kya maqsad hai aur fitrana kyu ada kiya jata hai ?
01:33:17
agar masjid chat ya tay khana (basement) khali ho to wahan dukanen bana kar kiraye (rent) peh de sakte hein ? aur kya iska kiraya sirf masjid ke akhrajaat puray karne keliye istemal hoga ?
01:34:54
imran khan ne ehraam ki halat mein jurabein pehni hui thi kya ehraam ki halat mein juraben pehnna jaiz hai ?
01:36:15
kya ehraam ki halat mein tawaf ke doran ek kandha nanga rakhna zaruri hai ?
01:36:55
kya larka larki wali ki ijazat ke baghair aur gawahon aur pappers ke baghair court marriage kar sakte hein ? kya bewa aurat wali ki ijazat ke baghair nikah kar sakti hai ?
01:37:29
hajj ijtemai ibadat hai ya infiradi ibadat hai, barelvi kehte hein hum isliye imam e kabah ke peechay namaz nehi parhte kyu ke hajj infiradi ibadat hai ?
01:38:19
ek molvi kehte hein ke hath paon ke nakhun kaat kar kisi sufaid kapray mein daal kar matti mein dafan kar dein to bimari khatam ho jaye gi ?
01:38:58
kya naat khuwan par paise phainkna paise lootana qariyon ko wailen dena jaiz hai ?
01:39:32
kya aitikaf ke doran apne paas mobile rakh sakte hein kyu ke usme islami beyan aur taqreeren sunni hoti hein ? kya aitikaf ki halat mein ghar ja sakte hein ? jo ulma mimbron peh zohad ke waqeyat sunate hein un ulma se poocha ja sakta hai ke hazrat ji aap ne atni jaidad aur maal kahan se banaya, kya ulma se Clarification mangna gunah hai ?
01:41:53
kya mard ke takhnay har waqt nangay hone chahiye ya sirf namaz keliye takhnay nangay karna zaruri hai ?
01:42:29
kya boorhi aurat khushbu laga sakti hai ?
01:43:19
kya Allah ne apna ikhteyar ki ko ataa kiya huwa hai ? kya koi buzurg Allah ke izan se kisi qisam ka ikhteyar rakhta hai ?
01:46:42
nikah e shighar yani watta satta ki shadi karna jaiz hai ?
01:47:35
kya mareez qaza rozon ki niyat shawal ke 6 rozon mein kar sakta hai ya shawal ke rozay alag se rakhne honge ? shawal ke 6 rozay musalsal rakhne hein ya puray mahinay mein kisi bhi din 6 rozay puray kar sakte hein ?
01:48:46
kya Aatta ki shakal mein fitrana de sakte hein kyu ke gaon mein gandum ya jo ko masheeno mein piswa lete hein lekin shehron mein daanon ki bajaye aatta de sakte hei ?
01:49:17
jo shakhs ramzan ke rozay puray na rakhta ho wo aitikaf baith sakta hai ?
01:49:46
kya sadqa jora yani juft cheez ka sadqa karna afzal hai ya ek cheez ka sadqa bhi dia ja sakta hai jaise 2 note 10, 10 ke dene chahiye ya 1 das ka note bhi de sakte hein ?
01:50:14
kya zakaat aur sadqa ke paise alag alag rakhne chahiye ?
01:50:51
haram e kabah mein ek bande ne chalang laga kar khudkushi kar li kya haramain mein bhi khudkushi haraam hai ? kya kabah mein marne wala khush naseeb aur jannati hai ?
01:52:45
khuwabon ki tabeer, agar bura khuwab aye to kya karna chahiye ?
01:54:22
nafli namaz ki jamaat aur witr ki jamaat karwai ja sakti hai ? agar ramzan mein isha ki namaz jamaat ke sath parhi to kya witr bhi jamaat ke sath hi parhnay honge ya akele bhi parh sakte hein ?
01:56:02
agar khawind biwi ko kahe ke main ne tujhe farigh kiya mere ghar se chali ja kya talaq ho jaye gi kya is se nikah mein koi farq pare ga ?
01:56:52
koi qari ya aalim qabrastan ke paas se guzar jaye to qabar ka azab nehi hoga ?
01:59:29
aitikaf ki niyat kya hai ? kya masjid mein likh kar lagana ke yahan hamare maslak ke ilawa kisi aur ko dars dene ki ijazat nehi hai kya ye jaiz hai ?
02:01:39
oman mein kaam karta hon kya fitrana isi mulk mein dena hoga ya apne mulk pakistan mein bhaij sakta hon kyu ke yahan koi ghareeb mustahiq nehi hai ?
02:02:15
salat o wassalam ke baad amma ba'ad, khutba shuru karte waqt kyu parha jata hai ?
02:05:38
masjid ul haraam ke qareeb hotel mein masjiden bani hui hein aur inki jamaat hotel ki jamaat ke sath hoti hai kya hotel ki masjid mein namaz parhne ka sawab masjid ul haraam jitna mile ga ?
02:07:43
zakaat aur fitrana gaon ki masjid mein dena lazmi hai ? qurbani ka gosht rishtedaron ko pehle dena chahiye ?
02:09:30
kya lait kar quran ki tilawat karna sahi hai ?
02:09:38
sehri khane ke baad agar ulti (vomiting) aa jaye ya dast lag jayen to roza toot jaye ga ? ehtilam (nightfall) se roza toot jata hai ? kya roza torna gunah hai ?
02:11:05
jis glass mein sharab pi gai ho us mein agar koi ghalati se pani pi le to kya uski 40 din tak namaz qabool nehi hogi ?
02:11:48
kya gaari aur plot par zakaat hai ?
02:12:24
ek sehabi ne qabr e Rasool saw peh ja ke kaha ya Rasool Allah saw ummat halak ho rahi hai barish ki duaa karen ?
02:13:16
har masjid mein aftar ka time alag alag hai kya pehli azan peh roza aftar kar sakte hein ?
02:13:55
ghar par kutta rakhna mana hai lekin meri workshop peh kuttay aur billiyan aati hein main inhen kuch khane keliye daal deta hon kya ye ghalat hai ?
02:14:40
kya urnay wale parindon ko qaid karna aur parinday palna jaiz hai ?
02:15:23
jo ramzan mein faut hota hai usko qabar ka azab nehi hota aur us se hisab kitab nehi hota ?
02:15:32
taraweeh ek hi masjid mein hi parhni chahiye ya alag alag masjidon mein bhi parh sakte hein ?
02:16:01
agar safar lamba ho aur roza mukammal karne ki taqat bhi ho to kya roza rakhna zaruri hai ya Allah ki taraf se di gai reyayat ka istemal kar sakte hein ?
02:16:14
kya aulad e narinah keliye koi dawai li ja sakti hai yani beta paida ho ye khuwahish karna kaisa ? aulad e narinah keliye wazaif ?
02:17:13
dukan ya makan kiraye (rent) peh de kar zamanat ke tor peh advance paise lena kaisa aur kya advance ke paison peh zakaat ada karna hogi kyu ke hum us raqam maalik nehi hein ?
02:17:35
sufaid (white) daarhi ko rangna kaisa ?
02:18:10
konse rang ke kapray pehnna mana hai ? kya surkh aur zard jogiya rang ke kapray pehnna jaiz hai ?
02:18:48
sehri ke waqt sirf pani pi kar roza rakha ja sakta hai jab tabiyat theek na ho ?
02:18:54
ghusal karne ka sunnat tarika kya hai ?
02:19:34
chaand (moon) dekhte waqt kya duaa karni chahiye ?
02:19:42
kya ilaj keliye khinzeer ki charbi ki malish kar sakte hein ? bachon ko resha hone ki waja se thori si sharab pila sakte hein ?
02:19:57
Eid ki namaz fazr hai, sunnat hai ya sunnat e moakkidah hai ?
02:20:17
jab imam surah al aala ki pehli ayat tilawat karte hein to muqtadi subhana rabbi al aala ki tasbeeh karte hein ?
02:21:07
haiz nifaas aur istihaza wali aurat ki namaz aur rozay ki qaza ka kya hukam hai ?
02:22:07
agar biwi musalsal haiz ki bimari mein mubtila rahe to khawind apni jinsi khuwahish kaise puri kare jabke dusri shadi ki istitaat bhi nehi hai ?
02:22:59
kya junubi janabat ki halat mein janwar zibah kar sakta hai ?
02:23:08
islami waqeyat peh bani hui filmen dekhna jaiz hai kya umar series dekhna jaiz hai ?
02:23:41
paida huwe bachay ke kaan mein azan dena sunnat hai ? jo sunnat amli tawatur se nasal dar nasal transfer hui hai usay ijma kehte hein ?
02:25:03
wali ki ijazat ke baghair nikah ko hakumat e waqt nafiz samajhti hai kya ye qanoon ghalat hai ?
02:25:25
kya gaali dene se wazu toot jata hai ?
02:25:30
hadees mein ata hai ke laundi apne aaqa ko jannay gi, is se kya murad hai ?
02:26:24
paidaishi mazoor ya jo baad mein mazoor ho gya ho iske baray mein islam kya kehta hai ? takleefen aane se gunah jharr jate hein ?
02:27:11
wirasat ki taqseem, shohar ki wafat ke baad 1 crore 50 lakh mein makan farokht huwa ab wursa apas mein kaise taqseem karen aur biwi aur maa ko kitna hissa mile ga ?
02:28:16
jis musallay par khana kabah aur roza Rasool ki tasweer bani ho uspe namaz parhna jaiz hai ?
02:28:38
kaha jata hai ke rizq aurat ke naseeb ka aur aulad mard ke naseeb ki hoti hai ?
02:29:25
sari zindagi sood ki kamai se maal jama kiya aur haraam kamaya ab hidayat milne ke baad taubah kar li hai kya ab is maal se sadqa khairat ho sakta hai kya wo qabool hoga ?
02:29:43
kya musafah karte waqt zuban se salam kehna zaruri hai ya sirf hath milana kafi hai ?
02:30:01
agar sayyid khud zakaat mange to sayyid ko zakaat di ja sakti hai ?
02:30:19
kunwan khudwaya lekin pani nehi nikla aur nichay sakht pathar hein, koi duaa ya wazifa bata dein ke pani nikal aye ?
02:30:48
baray janwar ka aqeeqah aur qurbani ke janwar mein aqeeqah karna kaisa ?
02:31:22
kya khane ki cheezon peh dam kar sakte hein jaise pani peh dam karte hein kyu ke quran mein shifa hai ?
02:31:51
agar umrah mein saee nehi ki sirf tawaf kiya hai aur baad mein masjid e ayesha se ehraam bandh kar umrah mukammal kiya to kya dam wajib ho jaye ga ? kya na baligh bacha peh dam hota hai ?
02:32:11
aurat ke janazay ko kandha sirf mahram hi dein gy ya na mahram bhi kandha aur tadfeen kar sakte hein ? kya koi na mahram kisi aurat ko qabar mein utar sakte hein ?
02:32:59
ek shakhs ko cancer hai aur doctor ne kaha hai aap 2 mahinay tak zinda rah sakte hein to jab mareez ko pata chal gya hai ke usne mar jana hai to kya wo taubah kar sakta hai ?
02:33:30
mere walid ne bakra kharida tha lekin ab wo faut ho gaye hein to kya main isi janwar ki qurbani apni taraf se de sakta hon ? kya joint family mein ek qurbani kafi hai ?
02:33:48
ghar mein keeray makoray hashrat ul arz, machar makhi kakrog maarne keliye koi dawai spray waghera kar sakte hein ?
02:34:29
kya Allah se sabar maangna jaiz hai ?
02:34:45
kya haamla aurat ke haml peh suraj grahan ka asar parta hai ?
02:35:04
jab tak imam namaz ke baad apna mooh muqtadiyon ki taraf na phair le masjid se uth kar nehi ja sakte ?
02:35:38
jab hum sona (gold) khardte hein to isme koi aur dhaat shamil hoti hai jaise pital tanba wagera, lehaza 7.5 tolay mein zakaat kitni ada karni hogi ?
02:36:26
ghair muslim mulk jaise china mein log ajeeb cheezen khate hein jaise khinzeer ka gosht, kya inko haraam cheezen paka kar de sakte hein ?
02:37:02
kya bewa aurat iddat ke doran akeli ghar se bahir soda salaf lene ja sakti hai ?
02:37:53
Allah par tawakul karna kya hai, hadees mein hai ke tumhari jooti ka tasma bhi gum jaye to Allah se maango ? kya har kaam ka irada karte waqt in sha Allah kehna chahiye ?
02:39:17
islam mein larka larki ki mohabbat Love marriage aur arrange marriage ?
02:39:49
jis duaa mein najd se shaitan ka seeng nikle ga usme yaman aur sham keliye barkat ki duaa bhi hai, Nabi saw ki duaa sirf us waqt keliye thi ya aaj ke daur keliye aur mustaqbil keliye bhi hai ?
02:40:44
hakim aur baqi kitabon mein aya hai ke Adam (as) ne Nabi saw ke waseelay se duaa maangi thi, is hadees ko imam zahbi ne sahi kaha hai ?
02:41:33
khana kabah mein parindon ko dana daalte hein aur kuch log tabarruk samajh kar wo dana utha lete hein ke bay aulad log isko khayen gy to aulad ho jaye gi ?
02:43:42
qarz le kar qurbani kar sakte hein aur kya maqrooz peh qurbani hai ?
02:44:29
Nabi saw ne farmaya main qeyamat ke din un logon par fakhar karon ga jinki biwiyan sab se zeyada hongi, kya aisi koi hadees mojood hai ?
02:45:03
kya kisi ke zariye door baith kar Nabi saw ko salam bhijwa sakte hein ke jab tum roza e Rasool saw peh hazri do to mera salam arz karna, kya ye sabit hai ? qabr e Rasool saw shairullah mein se hai to kya kisi ko wahan kharay ho kar apne liye Allah se duaa ki darkhuwast kar sakte hein ?
02:46:02
kya namaz mein jhool sakte hein jaise quran parhte huwe hum aage peeche jhoolte hein ?
02:46:44
easy paisa ka kaam karta hon ek dost mujh se apne account mein raqam dalwata hai jiske nikalne ke charges 1000 mein se 20 rupay hein, to agar ye paise company ko milne ki bajaye mujhe mil jayen to kya ye paise mere liye halal hein ?
02:47:54
kya jummah ke din masjid mein take laga ke baithna mana hai ?
02:48:59
kya daarhi ke baalon mein farishtay hote hein ? kya kisi ko deen ki taraf targheeb dilane keliye jhooti hadees beyan kar sakte hein ?
02:49:47
kya kisi ajnabi larki ko deen ki dawat dene keliye social media peh chatting ki ja sakti hai ?
02:50:11
easy paisa account mein paise jama karwane se rozana free minutes aur muft internet dete hein kya ye sood hai ? kya mobile sim peh advance loan lena sood hai kyu ke wo baad mein advance balance ke paise kaat'te hein ?
02:51:13
agar namaz mein koi surat darmeyan se shuru karen to tasmiyah yani bismillah parhni hogi ?
02:51:29
kya islam mein jawan aulad peh noha aur bain kar sakte hein ?
02:51:38
jadu tona, ghaib ka haal batane wale najoomi mahir ke paas jane ki mamaniyat mein ahadees bata dein aur wazahat farma dein ?
02:52:02
qeyamat ke din aurat se sab se pehle uske khawind ke bare mein sawal hoga ?
02:52:25
jawani mein jo namazen nehi parh sake uski qazaye umri kaise karen ?
02:52:35
agar jummah ki namaz nikal jaye to namaz e jummah ki qaza kaise karen ?
02:53:08
agar ghar mein mojood na bhi ho tab bhi dakhil hote waqt salam kehna chahiye ?
02:53:21
kya hajj umrah keliye tawaf e afada ya tawaf e widaa lazim hota hai ? agar aurat ko haiz aa jaye to tawaf e widaa chor sakti hai ?
02:53:55
kya namaz mein suraten tarteeb se parhna zaruri hai ?
02:54:07
Abdullah bin umar (rz) chotay bachon ke galay mein taweez latkate thay aur baray bachon ko duaaen yaad karwate thay ?
02:55:07
namaz ke doran sar se topi gir jaye to kya hath se utha sakte hein ? kya namaz ke doran mobile ki ringtone baje to mobile band kar sakte hein ?
02:55:44
agar walid ke zimmay qarz hai aur aulad ko wirasat mein kuch nehi mila to kya baap ka qarz aulad ko ada karna hoga ?
02:56:00
farz namaz ke baad sunnat azkaar namaz ke foran baad parhne chahiye ya sunnaten parhne ke baad bhi azkaar parh sakte hein ?
02:56:55
ek nabina aurat hai ibadat guzar hai khana kha ke bhool jati hai, sehri ki aur baad mein bhool kar kuch kha pi liya, kya uska roza toot jaye ga aur baad mein kya kaffarah hoga ?
02:57:31
jaisi awam waisa hukmaran, jaisi awam waisa leader, kya ye baat sach hai ?
Icon this is notification panel