11-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (27-May-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:01:05
Ali bhai kya 1400 saal mein deen sirf apko samajh aya hai baqi saray buzurg bewaquf hein ap jistarha har buzurg ki ghaltiyan nikalte hein istarha to saray buzurg hi khatam ho jayen gy aur agar koi gora islam qabool kar le to wo kya kahe ga inke paas koi buzurg hi nehi hai ?
00:09:15
Kya 20 taraweeh peh chaaron imam muttafiq hein aur 20 tarweeh peh ijma hai, 8 taraweeh ya 20 taraweeh peh detail clip ?
00:26:36
Jiska koi murshid nehi uska murshid shaitan hota hai, ya jiska koi peer nehi uska peer shaitan hai, is qaul ki sharai haisiyat kya hai ?
00:29:28
Aal e Muhammad saw se kya murad hai kya nabi saw ke ghar wale hein ya is se murad puri ummat hai jispe hum darood e ibraheemi parhtay hein, aur ek majlis mein ek dafa darood parhna lazim hai aur kya sallallaho alaihi wasallam darood sabit hai ?
00:38:50
Kya nazool e maseeh (as) ka inkar aur imam mahdi (as) ka inkar kufriya aqeedah hai kya inka inkar kar ke insan dayerah islam se kharij ho jata hai ?
00:43:20
Khawarij ne quran khud parh ke sehaba peh kufar ke fatway lagaye aur aap awam ko targheeb dilatay hein khud quran parhen, kya quran hadees direct parhne se insan gumrah ho jata hai, aur asmat e ambia (as) ka aqeedah beyan karna ambia (as) ki gustakhi hai ?
00:55:04
Ulma farmate hein jalsa istirahat mansookh ho chuka hai, aur kya rafa yadain bhi mansookh ho chuka hai, rafa yadain peh maalik bin haweras (rz) ki detail hadees, aur tahir ul qadri ka adm e zikar wali hadees peh awam ko dhoka ?
01:07:29
Kuch log fitnah phaila rahe hein ke mard o aurat ki mixed gathering mein koi harj nehi warna aap baitullah ka hajj bhi band karwayen aur kya aurat se pardah mein reh kar deen seekh sakte hein ?
01:13:42
Kisi buzurg ki mohabbat mein uski tasweer ghar mein lagana, musallay peh khana kaabah ki tasweer hona, aur tasweer wale currency note ko jaib mein rakhna kaisa ?
01:22:22
Agar kisi zaeef hadees ke turq bohat zeyada hon kya wo hadees qabal e hujjat hai, sunnat quran par muqadam hai jo amli tawatur se transfer hui aur kitabon mein mahfooz ki gai ?
01:28:50
Agar sehri ka waqt khatam ho jaye aur azan ke doran khana peena kaisa, aurkua ulti (vomiting) ane se roza toot jata hai, aur sehri khaye baghair roza rakhna kaisa ?
01:33:35
Kya samundri janwar sea food halal hai jaise fish jheenga machli, kekra aur whale fish khana halal hai ?
01:37:41
Kya ghora (horse) ka gosht khana halal hai part 1 ?
01:38:55
Allah ne jinnon aur insanon ki aksriyat paida hi dozakh keliye ki hai, lekin ek aam admi ka kya qasoor hai ke wo dozakh mein jaye, hum Allah ko serious kyu nehi letay jabke duniyawi maamlat mein insan choti choti cheezon mein expert hai ?
01:43:54
Kya ghora (horse) halal hai part 2, race ke ghoray ko mazoor hone par goli maar dena jaiz hai ?
01:47:24
Kisi ke ghar mukhannas yani hijra paida ho jaye to wo usay hijron ke hawale kar detay hein kya aisa karna darust hai ?
01:50:27
Kya imam muslim ya aur kisi mohaddis ki raye se ikhtilaf kia ja sakta hai aur moahddiseen ki raye ki sharai haisiyat kya hai, kya imam muslim imam bukhari se zeyada samajhdar thay ?
01:52:37
Kya pakistan ke Aain mein tamam qawaneen quran o sunnat ke mutabiq hein ?
01:54:16
Subah sham ke azkaar farz namaz se pehle kiye ja sakte hein, aur subah sham ke azkaar ka waqt kab shuru hota hai aur kis waqt khatam hota hai ?
01:54:50
Kya rozay ki halat mein injection lagwa sakte hein aur suger ke mareez roza chor sakte hein ?
01:57:06
Company aur workers ke darmyan jo contract hota hai uski sharai haisiyat kya hai ?
01:59:10
Salat o tasbeeh se kabeerah gunah maaf ho jate hein jabke dusri hadees mein ata hai kabeerah gunah sirf tauba se maaf hote hein ?
01:59:54
T-shirt peh design bane hote hein ulma kehte hein ye yahud o nasara ki mushabehat hai aur peechay wale namazi ka khushu khuzu bhi kharab hota hai ?
02:00:55
Taraweeh mein quran ke mushaf ko hath mein pakar kar tilawat kar sakte hein takay namaz mein khushu khuzu paida ho ?
02:08:24
Witr mein duaa e qanoot konsi hai ?
02:08:47
Kya takleef aur pareshani mein ayat e kareema ka wird kia ja sakta hai jo younus (as) ki duaa hai ?
02:09:32
Agar imam masjid jaan boojh kar masjid mein dair se aye to kya imam ka intzar karna zaruri hai ?
02:10:17
Kisi aurat ka khawind faut ho jaye to aurat ka apne shohar ke baap ki jaidad mein kya hissa hai aur potay ka dada ki wirasat mein hissa ?
02:12:02
Kya insan ashraf ul makhluqaat hai kya insan tamam makhlooqat se afzal hai ?
02:18:24
Quran o hadees mein masoom ka lafz nehi hai to phir ambia (as) ko masoom kyu kaha jata hai, asmat e ambia (as) ka aqeedah aur ambia (as) ki masoomiyat ka aqeedah ?
02:24:34
Tasawwuf mein auliya, kutub, abdal aur ghaus ki terms kisne banai hein aur Allah ke wali kon hein kya auliya Allah se murad ahle hadees hein ?
02:27:00
Urss ka kya matlab hai aur kya sehaba auliya Allah nehi thay to phir ulma unki karamton peh kitaben kyu nehi likhte ?
02:28:36
Kya sehaba ke pas ke ikhtilafaat yani mushajrat e sehaba byan karna haraam hai aur kya hazrat Ali (rz) khulfa rashdeen se afzal hein ?
02:32:44
Kisi cheez peh ijma ho gya huwa hai ye kaise pata chale ga jaise aap kehte hein rafa yadain peh ijma hai ?
02:34:15
Jis hadees ko shk Albani zaeef kehte hein zubair ali zai usay sahih kehte hein to ek aam admi kya kiski baat maane jaise imam ke peechay fateha parhnay wali hadees ko Albani ne zaeef kaha hai ?
02:37:32
Nikah mein shart rakhna ke aurat ko talaq ka ikhtyar diya jata hai aur kya aurat baghair waja ke khula le sakti hai ?
02:37:55
7 bhaiyon mein se 2 ne milkar ek makan khareeda aur apne baap ke naam kar dia, ab baap ke marne ke baad baqi bhai bhi us makan mein hissa daar honge ya nehi ?
02:38:54
Ramzan mein sehri ke waqt dhol baja kar logon ko jagaya jata hai kya ye bidat hai ?
02:39:42
Kuch sawalaat ko aap social issue keh ke chor detay hein kya social issues deen ka hissa nehi hein ?
02:42:01
Quran peh hath rakh ke qasam khana aur qasam aur mannat ka kaffarah kya hai ?
02:44:20
Kya azan dene keliye wazu karna zaruri hai ?
02:44:41
Kya beta Allah ki naimat aur beti Allah ki rehmat hai, aur jiski pehli aulad beti ho wo jannati hota hai ?
02:45:26
Kya hazrat umar (rz) ne abu hurrairah (rz) ko ahadees likhne se rok diya tha ?
02:46:30
Log zakaat se bachne keliye shiyyat ka certificate banwate hein kya aisa karna sahi hai ?
02:46:50
Kitni musafat peh ek musafir roza chor sakta ha, musafir peh qurbani aur kya hajj aur eid ki qurbani alag alag karni hoti hai ?
02:48:45
Namaz mein saff seedhi karne keliye paon se paon aur kandhay se kandha milana sunnat hai ?
02:51:39
Imam nisai par tashadud ka waqya kahan likha hai ?
02:52:48
Kya Adam (as) haqeeqi jannat mein thay ya duniya mein koi jannat bani hui thi ?
02:53:40
Yahudi daarhi nehi rangte tum daarhi ko ranga karo aur unki mukhalfat karo, daarhi ko rangna ?
02:54:15
Ramzan mein zeyada se zeyada naikiyan kaise kamai ja sakti hein ?
02:54:42
Agar imam farz namaz ke baad ijtemai duaa karwaye to hum imam ka sath dein ya usay mana karen, kamyabi keliye 4 sharait jinme se ek hai kisi ko ghalat kaam se rokna, hum apni nisbat sehaba ke sath kaise jorr sakte hein ?
02:56:45
Ek taraf aap kehte hein ulma se panga na lein aur dusri taraf kehte hein ja ke ulma se puchen ye baat kahan likhi hai aur reference talab karen ?
02:58:06
Kya dawat o tableegh ka kaam karne keliye mukammal deen seekhna zaruri hai aur degree lena zaruri hai kya saray sehaba Alim thay ?
03:01:53
Kya students exams ki waja se rozay chor sakte hein jinke pappers ho rahe hon ?
03:02:43
Kya ummat mein ikhtilaf ki sab se bari waja ulma hein jo kehte hein quran hadees direct na parho warna gumrah ho jao gy ?
06:00:42
Kya murday suntay aur boltay hein ?
Icon this is notification panel