45-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (13-Jan-2019)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
01:10:43
JHOOT kab kab BOLA ja sakta hai ? kya kisi ko deen ki targheeb dilane keliye jhoot bol sakte hein aur jhooti hadees beyan kar sakte hein ? toriya aur taqiyyah ka jawaz ?
01:28:15
kya sehaba ka hadees ko chupanay mein ijma hai ? kya imam bukhari ko 3 lakh hadeesen yaad thin ?
01:32:39
kya machar makhi ko marne keliye insect killer spray ya machine use ki ja sakti hai kyu ke aag ka azab sirf Allah de sakta hai ? kya kisi musalman ki mayyat ko kafiron ke qabrastan mein dafan kiya ja sakta hai ? kya jannat ul baqee mein dafan hone wala jannati ho jata hai ?
01:40:58
agar kunwari larki ko rukhsati se pehle talaq di jaye to kya talaq ho jaye gi ? kya kaghazi halala karna jaiz hai ?
01:46:37
agar khawind apni biwi se das saal alag rahe to nikah toot jaye ga ?
01:47:12
kya talaq ke baad ruju karne keliye ek dusray ko choona zaruri hai ya door baith kar sirf zuban se bhi ruju ho jaye ga ?
01:47:22
agar khat mein talaq likh kar bheji lekin biwi tak khat nehi pohncha to kya talaq ho aye gi ? agar 1 talaq ke baad 3 mahinay guzar jayen to kya aurat pehle khawind ke sath dobara nikah kar sakti hai ?
01:51:24
sehaba ke daur mein bughz e Ali ki waja qabaili taasub ya iqtadar tha lekin aaj kis waja se logon ke dilon mein ahle bait ka bughz paya jata hai ? buzurgon ki ghalatiyan discuss karna kyu zaruri hai ?
01:56:23
NAMAZI ka SUTRAH ? NAMAZI kay aagay say GUZERNAY kay Masail ? kya masjid mein sunnaten aur nawafil parh sakte hein ? maghrib se pehle 2 rakat parhna sunnat hai ?
02:07:37
kya imam se pehle namaz ka koi rukan ada kiya ja sakta hai part 1 ? imam se pehle intiqal e arkaan karna kaisa part 1 ?
02:08:39
ruku se sar uthanay ke baad jo rafa yadain hota hai kya wo sajday mein jane se pehle ka rafa yadain hota hai ya ruku se uthnay ke baad ? kya rafa yadain karte waqt kaano ko hath lagana sunnat hai ?
02:12:16
agar imam rafa yadain ya jalsa istirahat na kare to muqtadi ko bhi nehi karna chahiye kyu ke hadees mein imam ko follow karne ka hukam hai ? kya ulma se kisi cheez ka reference puchna ulma ki toheen hai ? kya kisi sehabi ki bhi taqleed ki ja sakti hai ?
02:18:09
agar sunnaten aur nawafil parh rahe hon ya Quran ki tilawat ke doran azan ka jawab de sakte hein ?
02:19:33
NAMAZI ka SUTRAH ??? NAMAZI kay aagay say GUZERNAY kay Masail part 2 ?
02:21:45
kya kisi hadees mein har waqt ba wazu rehne ki fazeelat aai hai ?
02:26:18
kya Nabi saw se ek salam se 4 rakat se zeyada sunnaten ya nawafil parhna sabit hai ?
02:30:29
kya chaand (moon) musalmano ka mazhabi nishan hai ? kya jhanday (flag) peh kalma likhna jaiz hai ? kya dawat o tableegh ke dars ko sunnay keliye aane wale mehmanon ko khlana pilana sunnat hai ?
02:37:53
qeyamat ke din ungliyon ke poray Allah ke zikar ki gawahi dein gey kya baki cheezen bhi gawahi dein gi jaise tasbeeh ya electric counter waghera ?
02:39:52
kya pichle tamam Ambiya (as) ke mojizaat aur khasusiyaat hamare Nabi saw ko ata ki gai hein ? Ambiya (as) ke darmyan tafzeel aur tafreeq ka aqeedah ? sare Nabi tere dar ke sawali kya ye kehna jaiz hai ?
02:46:02
ulma haq baat qabool kyu nehi karte jabke in tak apki video pohanch rahi hein ? kya deen kitabon mein nehi hai ? aam awam ki islah to ho rahi hai lekin ulma ki islah kaise karen ? kya ulma ki gumrahi peh ummat ka ijma hai ?
02:54:53
shaaz lafz ka matlab kya hai jaise Abdullah bin Masood (rz) ke mutaliq kaha jata hai inka qaul shaaz hai ?
02:56:22
Ali bhai aap jo khutba parhtay hein wo written mein mil sakta hai ?
02:59:15
kya hadees e Qirtas ke moqa par sehaba ki apas ki behes ki waja se apne Nabi saw ki wasiyat se mahroom ho gai thi ? Nabi saw ne Hazrat Ali (as) ko apna wassi kyu nehi banaya tha ?
Icon this is notification panel