17-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (08-Jul-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:43
kya nabi saw ne ahadees likhne se mana kiya tha ya khud hadeesen likhne ka hukam farmaya tha ? munkareen e hadees ko jawab aur hujjiyat e hadees ka beyan ? nabi saw ki sunnaton ko hadees ki shakal mein kitabon mein mehfooz kiya gya, kya hadees sunnat ka written record hai ?
00:18:32
jab hasan o hussain (rz) paida huwe to nabi saw ne Ali (rz) se farmaya apne beton ke naam hassan hussain rakho kyu ke ye wo naam hein jo Adam (as) se le kar aaj tak kisi ne nehi rakhe jabke aap ne ek sehabi imran bi husain (rz) ka zikar kiya, do hadeeson mein tazad kyu hai ? kya banu umayyiah ne namaz ka huliya bigar diya tha ?
00:23:10
jo kaam sunnat se sabit na ho wohi kaam agar tabaeen se sabit ho to kya uspe amal kiya ja sakta hai aur kya tabaeen ke aqwaal hujjat hein ?
00:29:00
awam mein mashoor hai jisne ek dafa bhi kalma parha wo jannat mein chala jaye ga kya jannat itni sasti hai ?
00:35:18
dajjal ko jo mojizat diye jayen gy wo Allah ki taraf se honge ya hamari aankhon ka dhoka hoga ? kya jinnaat aur jadu tona ka ilaj karwane keliye kisi aamil ke paas ja sakte hein chahay ilaj karne wala ghair muslim hi kyu na ho ?
00:42:01
quran seekhne ka asan tarika kya hai aur quran ki tafseer kiski parhen ?
00:45:39
tasawwuf kya hai aur kya sufizm hindu mazhab se taluq rakhta hai ya alag se koi deen hai ? sufizm in islam ?
00:48:54
agar koi mufti ghalat fatwa bataye kya uska wabal mufti par hi hoga ya us fatway peh amal karne wale peh bhi wabal hoga ? jistarha hum duniyawi mamlaat ko serious lete hein is tarha aakhrat ke mamlaat ko serious kyu nehi lety ?
00:53:54
ek ghareeb admi bachay ki school fees bardasht nehi kar sakta isi liye madrasay mein dakhil karwata hai lekin madrason se wo sirf apne firqay ka aalim ban ke nikalta hai to kya bacho ko madrason mein dakhil karwana chahiye ?
00:57:53
kya ulma islam mein ideal hein ? agar koi shakhs ulma ki waja se deen se mutnaffar ho jaye isme ulma ka kya qasoor hai ?
01:00:26
aap ne abdul sattar edhi ke difa mein tamam madaris ko ragra laga diya jabke madrason mein quran hadees ki taleem muft di jati hai ? ulma ka aitraz ke Edhi harami bachay palta tha ?
01:06:27
kya aankhen band kar ke namaz parhna jaiz hai baaz ulma isay bidat kehte hein aur ispe zubair ali zai ka kya moaqaf hai ?
01:09:00
agar hajr e aswad ko choomna ghalat hai to mazaron ki chokhat ko bosa dena kaise ghalat ho gya ? pakistan mein bahishti darwaza aur shairullah mein farq ? islam mein tawahmaat ki haisiyat ? sajda tazeemi ka mas'alah aur tauheed ka beyan ? nabi saw ke tabarrukat ?
01:27:35
kya azan ke doran washroom toilet jana jaiz hai ?
01:28:16
kya azan ke doran guftagu karna ya quran ki tilawat karna jaiz hai ?
01:28:37
kya sajdon mein qurani duaaen parh sakte hein jabke nabi saw ne ruku aur sajdon mein quran parhne se mana kia hai ? napaki aur janabat ki halat mein zikar azkaar aur qurani duaaen parhna kaisa ?
01:29:50
namaz mein imam se pehle rukan ada karna sahi hai ? takbeerat e intiqal ?
01:31:55
aurat aur mard ko kitni chadron mein kafan dena chahiye ?
01:32:28
ek majlis ki teen talaq peh ijma hai ye kis kitab mein likha hai ?
01:33:07
potay ko dada ki wirasat mein hissa na milne mein hikmat kya hai ?
01:33:51
agar hum aisi jagah hon jahan qibla ki direction maloom na ho wahan namaz kaise ada karen ?
01:36:42
kya TV mein ulma ki duaaon mein shamil ho sakte hein yani jab wo TV mein duaa karte hein hum unke sath shareek ho sakte hein ?
01:37:11
agar koi ghareeb admi bimar hai to rozay ka fidiya kaise ada kare ?
01:37:36
nabi saw ne qabron peh tehni lagai thi is peh qeyas kar ke qabron peh phool dalna jaiz hai ? kya qabar par tehni lagane se azab mein takhfeef ho jati hai ?
01:40:27
koi aafaqi ko ahle hil se na ho haj ki niyat se makkah pohnch kar ehraam bandhe aur meeqat se ehraam bandhna bhool jaye to kya kaffara hai ? baghair ehraam ke haram mein dakhil hone ka jawaz ?
01:43:01
khalid bin waleed (rz) ne jang ke doran ek musalman ko qatal kar ke uski biwi se iddat ke dino mein shadi kar li thi ispe abu bakr (rz) ne khalid bin waleed ko saza kyu nehi di kyu iddat ke doran kisi aurat se nikah nehi ho sakta ?
01:45:45
main ne ek shakhs ko 6000 rupay diye lekin main bhool gya aur qasam kha ke kaha ke main ne tumhen 7000 diye thy, ab yaad aane peh ke main ghalat tha to ab meri qasam ka kaffara kya hai ?
01:46:49
agar nafli roza rakh kar apni biwi se sohbat kar li to kya 60 rozay rakh kar kaffara ada karna hoga ?
01:47:53
honton peh lipstick laga kar namaz parhi ja sakti hai ? kya nail polish peh wazu ho jata hai ?
01:49:03
kya judo karate khelna jaiz hai kyu ke isme hadd e ruku tak jhukna parta hai ?
01:49:38
Ali bhai aapne mulaqat keliye sirf sunday ka din hi kyu muqarrar kar rakha hai jabke Nabi saw apne sehaba se har waqt mil liya karte thy ?
01:51:47
wazu mein gardan ka masah karna sabit hai aur agar koi bhool kar gardan ka masah kar le to kya gunah hoga ? kya wazu se pehle bismillah parhna zaruri hai ?
01:52:47
islam mein karobar mein munafah ki sharah kitni hai kya zeyada munafah kamana jaiz hai ? zakheerah andozi black black marketing haraam hai ? jis cheez ke rates government fix karde usko mehngay ilaqay mein leja kar mehnga baichna jaiz hai ? agar koi salesman zeyada profit kama kar usme se kuch munafah apne paas rakh sakta hai ya saray paise dukan ke maalik ko dene honge ?
01:56:20
agar mohallay mein kisi dusre maslak ki qareebi masjid ho to usay chor kar ddor wali masjid mein jana chahiye ya qareeb wali masjid ka zeyada haq hai ?
01:58:31
joint family system mein dewar bhabi ke mutaliq kya islam mein hukam hai ?
01:58:50
kya musafir peh jamaat ke sath namaz parhna farz hai ya ghar mein bhi parh sakte hein ? musafir aur muqeem peh jamaat wajib hai ?
01:59:18
umar (rz) ke daur mein kisi ne qabr e Rasool saw peh ja ke manga ummat halak ho rahi hai aap duaa karen, lehaza is se qabar peh ja ke mangna sabit hota hai ?
02:00:19
kya aaj ke daur mein khumus har musalman peh farz hai ya sirf zakaat hi farz hai ? kya sayyid ko khumus dena zaruri hai ?
02:01:24
isha ki namaz ka waqt kab tak rehta hai aadhi raat tak ya talu e fajar tak ?
02:02:10
sarkari mulazmeen par GP fund ka sood kata jata hai aur munafah diya jata hai ?
02:02:51
agar maghrib ki namaz nikal jaye aur isha ki namaz ki dusri rakat mein masjid mein pohnchen to pehle konsi namaz parhi jaye gi, kya namaz ko tarteeb se parhna zaruri hai ?
02:03:25
jis janwar ke naak mein nakail ho ya naak mein rassi wala janwar ho, ya wo janwar jiske seeng bachpan mein jala diye jayen kya aise janwar ki qurbani jaiz hai ?
02:03:37
jannat tak risai kaise mumkin hai kya jisne ek dafa kalma parha wo jannat mein jaye ga ?
02:04:07
kya mard keliye surkh (red) libas pehnna jaiz hai ?
02:04:30
jummah ke khutbay ke doran imam lakri ka sahara lekar khara hota hai kya ye sunnat hai ?
02:05:52
Ali bhai apko ittehad e ummat peh baat karni chahiye na ke dusron par tanqeed aur mazaq ka rawaiyya hona chahiye kisi firqay ke ulma par tanqeed na ki jaye aur auliya Allah ka mazaq na uraya jaye ?
02:08:30
kya moaviah (rz) keliye haadi aur mahdi wali hadees ke ilawa unki fazeelat mein koi aur hadees sabit hai ? moavia (rz) ke mutaliq ali mirza bhai ka kya moaqaf hai ?
02:09:47
sehaba ke naamon ke sath ya ahle bait ke naamon ke sath maola ya aleh salam lagana kaisa jabke urfe aam mein aleh salam Ambia (as) sath lagaya jata hai ?
02:11:02
kya islam mein aurat aur mard ki gawahi barabar hai aur kya fasiq ki gawahi qabool hogi ?
02:11:26
aaj kal imam masjid aqamat se pehle hi musallay par baitha hota hai jabke hadees mein ata hai jab tak mujhe aata huwa na dekh lo kharay na huwa karo ? aqamat mein kis waqt khara hona chahiye ?
02:11:45
kitab us sunnah mein ibne abi asim ki riwayat hai nabi saw ne Ali (rz) se farmaya tum mere baad momineen ke khaleefa ho aur wassi ho aur is hadees ko albani ne sahi kaha hai ?
02:12:11
kya masjid mein rakhi hui kursi (chairs) peh namaz parhna bidat hai kyu ke is se church ki mushabehat hoti hai ?
02:13:15
insan rozmarrah ke mamulaat mein jane anjane mein koi aisi baat kar deta hai ke Allah ko sakht na pasand hoti hai aur uske sare amaal barbad ho jate hein, kya aisi koi hadees mojood hai ?
02:13:56
quran mein Allah farmata hai ke hum ne in par manhoos din mein azab bheja jabke islam mein to nahusat ka koi concept nehi hai ?
02:14:35
kya rafa yadain ke baghair namaz ho jati hai ?
Icon this is notification panel