38-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (25-Nov-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:01:07
kya dua ke baad chehray pe hath phairna bidat hai ? qabar par hath utha ke duaa karna kaisa ? kya aurten qabrastan ja sakti hein ?
00:02:00
Qadariya aur Jabariya ka firqa konsa hai ? buzurgon ki karamaat v/s Sehaba karaam ? kya buzurgh door se sun sakte hein aur kya buzurgh dil ka haal jaan sakte hein ?
00:13:00
agar kisi ghar mein ya plot mein na maloom qabren hon kya in qabron ko khatam kar ke washroom ya kitchen bana sakte hein ? kya purani qabar khod kar naee qabar bana sakte hein ? qabar se laash ka salamat niklna buzurgi ki nishani hai ?
00:14:40
imran khan par fatwa lagane walon ko dawat e haq ? kya Eisa (as) ke halaat o waqeyaat ka detail zikar Quran hadees mein mojood nehi hai ?
00:25:00
Ali bhai aap ne itna ilm kahan se hasil kiya hai ke aaj tamam firqon ke ulma pareshan hein ? Engineer Muhammad Ali Mirza kiska Agent hai part 1 ?
00:31:00
kya Quran ko hadees ke baghair samjha ja sakta hai ? Quran hadees ka mohtaj hai ya hadees Quran ki mohtaj hai ? Quran v/s kalaam e baahu ? Nabi saw ne ummat ko kitabon ke hawale kiya tha ya shakhsiyaat ke hawale kiya tha ? kya ulma se reference puchna ulma ki toheen hai ? ulma ko hadees pe amal karwane ka asan tarika ?
00:46:00
ek betay ne apni maa ko mara peeta baad mein maafi mangi lekin maa ne maaf nehi kiya aur wo faut ho gai ab beta tauba kaise kare ? agar aulad maa baap keliye duaae maghfirat kare to kya uska nafa walidain ko hoga ?
00:47:00
pichli majlis mein aap ne kaha tha ahle haram rush ki waja se ehraam bandh kar haram mein dakhil hon to ehraam ki niyat na karen agar moqa mile to umrah kar lein warna wapas chale jayen to kya niyat keliye ghar wapas aana hoga ya meeqaat tak jana hoga ?
00:56:00
Gharqad ko yahudiyon ka darakht kyu kaha jata hai ? kya apne aap ko sirf Muslim kehna ghalat hai ?
01:01:50
Mariyam (as) ki paidaish Moosa (as) aur Harooz (as) ke baad hui lekin Quran ne Mariyam (as) ko Haroon (as) ki behen keh kar mukhatib kyu kiya hai ? Quran mein historical mistake kyu hai ?
01:07:52
Abu Hurrairah (rz) ne 2 aloom ke peyalon ka zikar kiya jisme se 1 bata diya aur dusra nehi bataya aur kaha agar main ye bata dun to log mujhe qatal kar dein gey, dusray ilm se kya murad hai kya is se murad sufiya ka ilm e ladunni hai ?
01:12:09
agar jisam bhari hone ki waja se tashahud mein tawarruk baithna mushkil ho to kya karen ?
01:14:01
musalmanon ki pasti aur zawaal ki waja kya hai ? Ali bhai baar baar "Na main wahabi Na main baabi" ka naara kyu lagate hein ?
01:20:35
kya koi mukhtasar Darood parh sakte hein aur kya Darood e ibraheemi parhna gunah hai ?
01:25:12
baghair kisi waja ke puri zindagi shadi ke baghair guzarna jaiz hai ? jiski shadi nehi hoti uska janazah jaiz nehi hota ?
01:31:49
kya kisi dusray maslak ki mayyat ka janazah parhnay se nikah toot jata hai aur agar ghalati se parh liya to kya tajdeed e nikah karna hoga ?
01:34:27
moonchen moondhna aur moonchon ko past karna ?
01:37:17
kya islam mein nazriya irtiqa Evolution sahi hai ? kya insan pehle bandar tha ?
01:43:43
kya Asif bin barkhiya ka naam Quran hadees mein aya hai ? aaj ke auliya Allah aur buzurg youtube se Nabi saw peh banai gai gustakhana video delete kyu nehi karte ? kya koi bururg ek nigah maar ke pakistan ki bijli puri kar sakte hein ? buzurgon ki jhooti karamaat ka jaizah ?
01:48:09
farz namaz ki 17 rakaton ki tadaad kis hadees mein aai hai ?
01:51:54
kya deen mein tahqeeq karna zaruri hai ya kisi bhi aalim ko dekh kar namaz ka tarika seekh le, agar wo aalim ghalat huwa to uski ghalati ka wabaal usi par hoga ?
01:53:51
Ali bhai aap kabhi jannat aur uski naimaton ka zikar bhi kar diya karen hamesha Quran mein aai hui dhamkiyan suna suna kar daratay hi rehte hein ?
01:56:02
kya Ashra Mubashra 10 jannati sehaba ke ilawa kisi aur sehabi ko bhi jannat ki basharat mili hai ?
01:59:01
Ali bhai aap dusray city mein lecture dene kyu nehi jate aur TV channel peh kyu nehi aatay ? kya ulma se kisi cheez ka reference maangna ulma ki gustakhi aur toheen hai ? kya Ali bhai ki waja se kai ghar barbad huwe hein ?
02:11:57
kya Supreme COURT ke chief justice ka faisla agar ghalat huwa to is ijtehad par unko ek ajar mile ga ?
02:14:34
kya buzurgon ke mazaraat par rush hona unke haq peh hone ki daleel hai kyu ke aakhir Allah ne hi logon ke dilon mein unki mohabbat daali hai ? Ali Mirza kiska Agent hai part 2 ? kya Engineer Ali mirza se pehle koi engineer aisa paida nehi huwa jisne deen ka kaam kiya ho ? Shah Wali Ullah (rh) ka sacha khuwab aur taqleed ka radd ?
02:25:43
awam ki gumrahi ki asal waja kya hai ? kya barelviyon ke peechay namaz nehi hoti reply to mufti tariq masood sab ?
Icon this is notification panel