43-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (30-Dec-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:00:00
Ali bhai aap shia ki kitabon se unke ghalat aqaid ka radd kyu nehi karte kya aap shia ki islah nehi karna chahte ? kya sunni shia dono apni apni kitabon ko maante hein ?
00:10:52
Ali bhai aap qabron se maangne walon ki takfeer kyu nehi karte unko musalman kyu samjhte hein ? kalma go mushrik aur kafir mushrik mein faraq ? kya kisi par by name lanat ki ja sakti hai ? ek dusray par kufar o shirk ke fatway lagana ?
00:16:00
qadiyaniyon ne ummati nabi banaya to hum ne unki takfeer ki jabke yahan logon ne apne ulma aur buzurgo ko khuda bana liya hai lekin hum phir bhi unhen musalman kyu kehte hein ? log jitna duniyawi maamlat ko serious letay hein deen ko itna serious kyu nehi letay ?
00:30:00
konsa firqa haq peh hai ? firqa najiya jannati garoh konsa hai ? 73 firqon wali hadees ka sahi mafhoom ?
00:56:00
kya bank ke current acount mein bhi sood hai ? kya islami bank se loan le sakte hein ?
01:04:15
aap kehte hein imam masjid ka tankhuwah lena haraam hai aur dusri taraf kehte hein imam masjid ki tankhuwah hakumat ko deni chahiye, kya ye khula tazad nehi ?
01:12:14
jo biwi har waqt apne khawind se larti rehti hai aur khawind ki na shukri karti hai kya aisi biwi ko talaq de deni chahiye ?
01:17:36
jo ulma Quran ka tarjuma ghalat karte hein unka boycott karna chahiye ? jese tariq jameel ne surah al doha ka tarjuma ghalat kiya "ay Nabi apke chehre ki qasam" lekin phir bhi aap tariq jameel ki tareef karte hein ? kya ulma is liye haq baat qabool nehi karte ke unke pichle saray buzurg farigh ho jayen gey ?
01:22:53
ek shakhs ne apni jaidad ka adha hissa ek betay ko diya aur baki adha hissa baki aulad ko diya, ab baap ke marne ke baad gift kiya huwa hissa bhi wirasat mein taqseem hoga ? kya islam mein dada ki wirasat mein potay keliye hissa nehi hai ?
01:25:36
Ali bhai aap kehte hein ghar ki mulazma agar ghair muslim hai to us se kapre nehi dhulwa sakte aur dusri taraf kehte hein ghair muslim ke sath ek bartan mein khana khaya ja sakta hai ? kya haiz wali aurat khana paka sakti hai ? kya ghusal e janabat ko delay kar sakte hein ?
01:28:46
kya sharam gaah ko direct hath lagane se wazu toot jata hai ?
01:31:45
kya Rafa yadain is liye hota tha ke munafiqeen baghlon mein but rakh ke aatay thay ?
01:38:32
surah muzammil mein aya hai Quran ko thehar thehar kar parho lekin hanafiyon ki masjidon mein taraweeh bohat tezi se parhtay hein kya ye Quran ki toheen nehi hai ? fiqah hanafi ke buzurg ki Quran ki shadeed gustakhi aur Ghulam Rasool saeedi barelvi ke comments ?
01:43:42
kya Quran khol ke samne rakh kar dil mein tilawat karne ka sawab mile ga ? jisay Quran parhna nehi aata kya wo sirf Quran par ungli phair sakta hai ?
01:46:00
namaz Qaim karo is se kya murad hai, hum jab kisi ko namaz parhnay ka kehte hein to wo aagay se kehte hein Quran mein namaz parhnay ka hukam kahan likha hai Quran mein to namaz qaim karne ka kaha gya hai ? kya rafa yadain ke baghair namaz ho jati hai ?
01:50:00
kya bay namazi aashiq e Rasool ho sakta hai ? kya road peh milad ka chanda maangne walay aashiq e Rasool hein ?
01:55:00
jab mere sehaba ke apas ke ikhtilafat discuss hon to tum khamosh raho, kya aisi koi hadees mojood hai ? mere sehaba ko bura mat kaho is hadees ka sahi mafhoom kya hai ?
01:58:42
kya arabi tajweed ke baghair Quran parhna theek hai ? kya tajweed seekhna zaruri hai ?
02:00:28
Allah shirk ke ilawa har gunah maaf karde ga lekin jiske liye chahay ga jabke Allah adal karne wala hai aur aadil ka kaam insaf karna hai to maafi kis baat ki ? Nabi saw ki shafaat kisko naseeb hogi ?
02:05:26
ek behen ka sawal hai main job ki waja se fajar ki namaz ke ilawa 4 namazen ghar aa kar jama karti hon to kya har namaz keliye alag se ayat ul kursi parhi hogi ? kya ek wazu se chaar namazen jama ki ja sakti hein ?
02:08:28
kya bait hona zaruri hai aur kisi jamat ke ameer ko pakarna zaruri hai ? peeri mureedi aur taqleed ki sharai haisiyat kya hai ? jo imam ki bait ke baghair mara wo jahiliyat ki maut mara is hadees se kya murad hai ? kya kisi sehabi ki taqleed ki ja sakti hai ? kya sehabi ka ijtehad agar kitab o sunnat ke khilaf ho to acceptable hai ? kya kisi ke kalmay ka ehtraam karna zaruri hai ?
Icon this is notification panel