39-ILMI-o-Tahqeeqi MAJLIS (Open Q & A Session) with Engineer Muhammad Ali Mirza Bhai (02-Dec-2018)
For Download: Please right click on the icon and select the option save as link
00:01:20
tauheed aur shirk ka beyan, Allah itna bara hai iske bawajood shirk ko naqabil e muaafi jurm qarar kyu deta hai aur insan ki 50, 60 saal ki mukhtasar zindagi ki waja se usko hamesha ki dozakh mein kyu phenkay ga isme ek aam aadmi ka kya qasoor hai jisko Allah ne uski marzi ke baghair paida kar diya hai ? Allah ne hamen hamari marzi ke baghair kyu paida kiya aur aakhir wo humse kya chahta hai aur hum khuda ki pehchan kaise kar sakte hein ? kya Allah jannat mein insan ko apni qualities ataa farmaye ga ? kya ghair muslim kafir bhi jannat mein jayen gy jin tak islam ka paigham nehi pohncha ? atheist khuda ka inkar kyu karte hein ?
00:25:53
khudkushi karne ke gunah peh hamesha ki dozakh kyu, detail clip ? insan peh jo aazmaish aur takleefen aati hein kya wo pehle hi Loh e mehfooz mein likhi hui hein ?
00:39:42
khane peh phook marna dam karna, bartan mein phoonk marna pani par dam karna kaisa, part 1 ?
00:43:15
kharay ho ke pani pina ya kharay ho kar khana pina kafiron ka tarika hai ? zamzam ka pani kharay ho kar pina sunnat hai ?
00:48:45
pani peenay ka sunnat tarika kya hai aur kya bartan mein saans lena mana hai, part 2 ?
00:53:14
paida huwe bachay ka aqeeqah karna, baal mundwana, khatna karna sunnat e ibraheemi hai ? bachay ke baal chandi ke wazan ke barabar sadqa karna kaisa ? agar bachay ke baal nehi katwaye to bacha musalman nehi hoga ?
00:55:12
kya ilaj karwana sunnat hai kyu ke baaz log kehte hein bimari Allah ki taraf se aati hai isliye shifa bhi Allah hi dega ?
01:00:07
kya hazrat Ali (rz) ko maola e kainaat kehna jaiz hai aur kya Nabi saw ne kisi aur sehabi keliye maola lafz istemal kiya hai ? kya Ali (rz) ko maola Ali kehna Ali (rz) ka haq hai ? kya kisi hadees mein kisi ko maola kegne se mana kiya gya hai ?
01:08:09
ek aadmi ke dil mein usman (rz) ka bughz tha to Nabi saw ne us aadmi ka janazah nehi parha tha ? abu bakr (rz) ne kaha jibraeel sidra tul muntaha tak ruk gaye agar main hota to Nabi saw ke sath jata chahay main jal bhi jata, kya ye abu bakr (rz) ka qaul hai ?
01:12:49
Ali bhai aap kehte hein buzurgon ko qabron se nikalen agar inki laashen salamat niklen to tamam kafiron ko ye mojizah dikha kar musalman kar lein, to agar yehi asool maan liya jaye aur isi cheez ko daleel banana hai to hum Nabi saw ka jisam mubarak qabar se nikal kar puri duniya ko musalman kyu nehi kar lete ki daleel hai ?
01:17:51
nawaqiz e islam kya hein jinki waja se insan dayera islam se kharij ho jata hai ? kufar aur gustakhi ke jhootay fatway ? kya quran o sunnat ka deen aur india pakistan bangladesh ka deen koi aur hai ? Nabi saw ki wafat peh abu bakr (rz) ka khutba aur wafat un Nabi saw ka beyan ?
01:30:34
khuda insan ki zarurat kyu hai ? Allah ne insan ko ashraf ul makhluqat banaya lekin insan ko profect kyu nehi banaya isme kya hikmat hai ? duniya ki zindagi ka ek minute jannat ki lakhon saal ki zindagi se behtar hai ?
01:36:55
ek behen ka sawal hai ke mera shohar beech par nahane jata hai aur kehta hai main achi niyat se beech par jata hon iski waja se hamare darmiyan jhagra ho jata hai ? islam mein pakizah mohabbat ka kya concept hai ? bay hayai ka fitnah, kya sirf dil ka pardah hona lazmi hai ?
01:42:46
shadi shuda zindagi mein sirf naan o nafqa dena zaruri hai ya azdawaji zindagi mein jinsi khuwahish, jinsi taluq qaim karna bhi zaruri hai, agar kisi aurat ka shohar na mard hai to wo kya kare jabke uske khawind ka ilaj bhi na mumkin hai ? agar koi mard paidaishi disable hai to usay shadi karni chahiye ?
01:44:43
kya sadqa ke paison se kisi ki shadi karwai ja sakti hai ?
01:45:27
chacha ki koi aulad nehi hai unki wirasat se kuch hissa mere walid ko mila hai, kya in paison ko apne chacha ki mooh boli aulad ko gift kar sakte hein ?
01:46:25
Eisa (as) aur Nabi saw ke darmiyan ke zamane mein koi aisa shakhs guzra hai jinka naam khalid bin sannan tha aur kya wo paighambar thay ?
01:48:10
masjid e Nabwi ke 3 mehrab konse hein ?
01:52:08
kya kisi larki ka naam bismillah rakh sakte hein ? bachon ke naam kiske naamon par rakhen ?
01:54:47
quran Allahka kalam hai to phir isko qaul e jibreel kyu kaha jata hai ? quran arabi zuban mein nazil kyu kiya gya ?
01:58:46
ahadees e qudsi aur wahi e khafi ko quran mein shamil kyu nehi kiya gya ? quran mein namaz ka tarika kyu nehi likha huwa ? wahi matlu aur ghair matlu kise kehte hein ? log bukhari muslim peh amal kyu nehi karte ?
02:06:37
quran se hidayat kaise hasil ki ja sakti hai aur khud ko quran par kaise paish karen, aalim e deen ki tarha ya ek chotay bachay ki tarha, takay hidayat mil jaye ? qeyamat ke din humse quran peh amal karne ke baray mein pucha jaye ga ya buzrgon ki shair o shayeri ke mutaliq pucha jaye ga ?
02:08:14
22 number martaban wala funny lateefa ?
02:13:19
alfaz ki pronunciation ke hawale se ghalatiyan aur islah ? alfaz ki adaigi kaise karni hai ? alfaz mein zabar zair waghera ki ghalatiyan ? imam bukhari ko lakhon hadeesen yaad thin aut Nabi saw ki total ahadees kitni hein ?
Icon this is notification panel